Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, February 28, 2011

Tanha Chor Kar Humko Hosla Bhi Dete Ho

Tanha Chor Kar Humko Hosla Bhi Dete Ho
Saans Cheen Kar Jeene Ki Dua Bhi Dete Ho

Ek Taraf Judaai Ka Tazkra Bhi Jari Hai
Aur Muskarane Ka Mashwara Bhi Dete Ho

wafa ka kuch to barham rahne do

wafa ka kuch to barham rahne do
tum se mohabbat hai abi ye sooch rahne do
Qataye taluqat ki ab itni jaldi b kiya hai
zara muje neend se to jagne do
wo haseen subh teri awaaz ki
wo haseen raat teri palkon ki
abi kuch din muje khawaab dekhne do
palat jao
lout jao
mur k mat deekhna
par abhi aaye ho to zara
kuch dair tahair k to jao

Rakha Karo Raabta K Zindagi Ka Bharoosa Nahi Hai

Rakha Karo Raabta K Zindagi Ka Bharoosa Nahi Hai,,,
Phir Mat Kehna K Chalaye Gaye Or Bataya Bhi Nahi....

Kabhi nazre milane main zamaney beet jate hain

Kabhi nazre milane main zamaney  beet jate hain
Kabhi nazre churane main zamaney beet jate hain
Kisi ki aankh bhi khulti  ha to sonay ki nagri main
Kisi ko ghar bananey main zamaney beet jate hain

Kabhi  ghar say nikaltey hi nazar  aa jati ha  manzil
Kabhi  rasto  ko paney  main zmaney beet jate hain

Kabi sadyo ki se ratey humain pal bhar ki lagti hain
Kabhi  soraj  ko aane  main zamaney beet jate hain

Koi  sajday  main gir jata hay  to pa  lata  ha rab ko
Kisi  ko  lao  lagane  main zamaney beet  jate  hain

Abr -e-Nesa  sepi  ko  gohar  karta   ha ik  pal  may
Pr  us ik pal  ko aaney  main zmaney beet jate hain

Kabhi  pal bhar  barabr  bn ka sadya  beet jate hain
Kabhi ik pal  bitaney main zamane  beet  jatey hain

Friday, February 25, 2011

Shehr-e-mohbt, hijr ka mosm, ehd-e-wfa or me

Shehr-e-mohbt, hijr ka mosm, ehd-e-wfa or me
Tu to is bsti se khush khush chla gya, or me

Tu jo na ho to jese sb ko chup lg jati he
Aapas me kya baten krte rat, diya or me

Sair-e-chamn aadat thi pehle, ab mjburi he
Teri tlash me chl prte hn bad-e-sba or me

Jis ko dekho teri hu me pagl phirta rhta he
Wrna hm-mushrib to nhi the khalq-e-Khuda or me

Ek zmane bad Faraz ye shair kahe me ne
Ik muddt se mile nhi hn yar mera or me

Es dard k bad koi dard nhi lagta

Es dard k bad koi dard nhi lagta,
K shiddat-e-dard ki inteha hoti hai MUHBAT.

Nhi uthti wo ankhaen phir kisi pe,
K jin ankhon me fana hoti hai MUHBAT.

Umar bhar jin ka azala na kar paye,
Bas ek aesi hi khata hoti hai MUHBAT.

Jo mil jae to bas phir kya kehna,
Warna ek musalsal saza hoti hai MUHBAT.

Log mujh se har bar yehi pochte hain,
tum ne us me kya dekha,
Dost Main har bar yehi kahta hun"BE WAJA" hoti hai MUHBAT

Teray Shaher Teri Soch Say Nikal Jaon Ga

Teray Shaher Teri Soch Say Nikal Jaon Ga,
Kisi Udaas Sham Main Dhal Jaon Ga,

Tu Jo Mukar Gaya Hai Her Baat Say Apni,
Dekh Lena Eik Din Main Bhi Badal Jaon Ga,

Mat Dikha Muj Ko Apna Pasheman Chehra,
Jab Ke Tu Janta Hai Main Pighal Jaon Ga,

Chahay Lakh Tarpon Tere Intzaar Main,
Mat Lot Ke Aana Main Sambhal Jaon Ga,

Tera Hona Itna Zarori To Nahi Hai,
Main To Yaadon Ke Khilony Say Behal Jaon Ga

Gun'gunatey hue aanchal ki hawa de mujhko..

Gun'gunatey hue aanchal ki hawa de mujhko..
Ungliyan phair k baalon me sula de mujhko..

Yaad kr k mujhe takleef hi hoti ho gi.,
Aik qissa hun purana sa, bhula de mujhko.,

Doobte doobte aawaz teri sun jaon.,
Aakhri baar tu sahil se sada de mujhko.,

Main tere hijr me chup chap na mr jaon kahin.,
Main hun sakte me, kabhi aa k rula de mujhko.,

Dekh main ho gaya badnaam kitabon ki tarah.,
Meri tash'heer na kr, ab tu jala de mujhko.

Teri Shidat-E-Muhabat K Diye Jala Kar

'*.Teri Shidat-E-Muhabat K Diye Jala Kar.*"*.*"*.
'*.Shab-E-Tanhai Men Tujhe Dhonda Aksar.*"*.*"*.

'*.Kabhi Teri Aankhon Men Khud Ko Utarte Dekha.*"*.*"*.
'*.Kabhi Tere Honton Ko Apne Honton Se Lagaya Aksar.*"*.*"*.

'*.Apni Bahon K Saye Men Sula loo Mujh Ko.*"*.*"*.
'*.K Teri Yaad Ki Dhoop Ne Jalaya Aksar.*"*.*"*.

*.Jee Men Aata Hai K Tujh Se Lipat K Ro Don.*"*.*"*.
'*.K Ab Bardasht Nahi Hoti Judayi Aksar.*"*.*"*.

Jagti raat k honton pe fasaney jaisy

Jagti raat k honton pe fasaney jaisy,
Ek pal me simitt aaye hon zamany jaisy,

Aqal kehti hai bhula do jo nahen mil paya,
Dil wo pagal k koi baat na maany jaisy,

Rasty men wohi manzar hain puraany ab tak,
Bus kami hai tou nahen log puraany jaisy,

Ek chehra jo mere khwab saja deta hai

Ek chehra jo mere khwab saja deta hai
Mujh ko mere hi khayalon main sada deta hai

Woh mera kon hai maloom nahi hai lekin
Jab bhi milta hai to pahlu main jaga deta hai

Main jo ander se kabhi toot k bikhron
Woh mujh ko thamny k liye hath barha deta hai

Main jo tanha kabhi chupkay say bhi rona chahon
To Dil k darwazay ki zanjeer hila deta hai

Uski qurbat main hai kya baat na'janay FARAZ
Ek lamhay k liye sadiyon ko bhula deta hai.

" Zid Achi Nahi"

 Uljhay Huay Haalaat Ka Shikwa Na Kia Kar,
Kheraat Mein Khushiyon Ki Tamanna Na Kia Kar,

So Baar Kaha itni Mohabat Nhi Achi,
So Baar Kaha itna Bharosa Na Kia Kr,

Halaat Tujh ko Mujh se Na Milny Kabhi Dein Ge,
Ae Mery humsafar Meri Tamanna Na Kia Kr,

Kya janey Ye Kis Morr Pe Le jaey Zamana,
Tu Mujh Ko Kisi Pal Bi Elehda Na Kia Kr,

Mumkin Ha Kisi Roz Bichar jaen Achanak,
Tu Mujh Se Pyar itna Ziyada Na Kia Kr...

KhaMoshi Mein Shor Tha, Maine Suna Kuch Bhi Nahi,

KhaMoshi Mein Shor Tha, Maine Suna Kuch Bhi Nahi, 
Usne Sab Kuch Keh Diya, Lekin Kaha Kuch Bhi Nahi, 

Tujhko Kya MaluM Aye Dost Tere Bagair, 
Mera Jeewan Kat Gaya, Aur Main Jiya Kuch Bhi Nahi, 

HuquM Ye HuM Ko Mila Uske Siwa Kuch Maangiye, 
Uth Gaye Dast-E-Dua Lab Pe Kuch Bhi Nahi, 

Pyaar Se Dekha Mujhe Jab Hai Usne, 
Dil Dhadak Utha Mera, Usne Kaha Kuch Bhi Nahi...

Mere Pyaar Ki Umar Ho Itni Sanam

♥♥ Mere Pyaar Ki Umar Ho Itni Sanam
Tere Naam Se Shuru, Tere Naam Pe Khatam
Teri Khushi Se Hai, Khushi, Tere Gham Se Hai Gham,
Tere Naam Se Shuru, Tere Naam Pe Khatam
Mere Pyaar Ki...♥♥

Mere Sapne Gulaabi Neenden Ho Gayi Jawaan
Lo Aake Teri Baahon Mein, Ho, Lo Aake Teri Baahon Mein
Maein Kho Gayi Kahaan
Haazir Hai Jaan, Jaan-E-Man, Jaan Ki Qasam,
Tere Naam Se Shuru...♥♥

Bin Tere Ik Pal Bhi Mujhse Raha Nahin Jaye
Ye Door Door Rehna,
Ye Door Door Rehna, Ab Sahaa Nahin Jaye
Teri Pyaar Bhari Baahon Mein Hi Niklega Dam,
Tere Naam Se Shuru♥♥

Thursday, February 24, 2011

Zara Jo Dur Jaate Ho

Zara Jo Dur Jaate Ho
Tab Ahsaas Hota Hay
K Baaqi Kuch Nahi Rehta
Mere Jivan K Aangan Me
Meri Khushiyon K Daaman Me
Tere Bin Kuch Nahi Rehta
Udaasi Chhai Rehti Hay
Sapne Adhure Se Lagte Hain
Din Sadiyon Se Lagte Hain
In Aankhon Ki Jalti Lo
Maddham Parne Lagti Hay
Ummiden Marne Lagti Hain
Tere Haathon Se Mere Haath
Achanak Chhut Jaate Hain
Mere Armaan Rote Hain
Tujhe Awaaz Dete Hain
Tujhe Wapas Bulaate Hain
Suno Tum Lot Aao Na
Suno Tum Lot Aao Na...!

Bin tere kya hai jeena

♥♥ Bin tere kya hai jeena
mere dil ki raani tum
meri khushiyon ka mausam
mere khwaabon ki taaviz
mere sapanon ki tasveer
bin tere kaisi aas
woh jeet ho ya haar
tere sang hai sab kuchh
tu na ho toh bekaar
bin tere kya hai jeena♥♥
suni khaali raaten
ruthi feeki baaten
har aahat pe chaaukun
tujhko harsu dekhu
tujhko hardam sochu
tujhko har pal chahu
tere bin toh jeevan mera hai intezaar
bin tere kya hai jeena♥♥
tere saath jiye jo pal
kuchh unse nahi badhkar
tere khaatir saans main loon
teri khaatir jeeta hoon
marne ki tamanna bhi
tere saath main rakhta hoon
tu hai jeene ki wajah
kar mera aitbaar
bin tere kya hai jeena...♥♥

mila khushboo ko gul ka raasta ahista ahista

mila khushboo ko gul ka raasta ahista ahista
bani uski rifaqat ki fiza ahista ahista
yeh khamoshi tu meray dil ki deewaarein gira degi
mohabbat ho na ho per lab hilay ahista ahista
achanak shakh-e-dil teri veeraan na ho jaye
parinday meri yaadon kay ura ahista ahista
yeh socha tha kay zakham-e-dil badan main phel jaaye ga
magar tunay madawah kar diya ahista ahista
achanak saamnay pa kar kahiin saansein na ruk jaayein
meri aankhon se haath apnay hata ahista ahista
bas ik tere khayal-o-khawab ka jugnoo tha phir woh bhi
meri aankhon se ujhal ho gaya ahista ahista
meri aankhon ki baarish tham gayi tab aasmaano per
teri chahat ka haala ban gaya ahista ahista

yeh kaisa khauf tha ka rakht-e-safar bhi bhool gaye

yeh kaisa khauf tha ka rakht-e-safar bhi bhool gaye
woh kaun log the kay apnay ghar bhi bhool gaye
yeh kaisi quvat-e-parvaaz dar ne paida ki
parinday urtay huye apnay par bhi bhool gaye
dukhon ne cheen li aankhon ki saari benaayi
hum uska sheher tu kya reh guzar bhi bhool gaye
khayal tha kay sunaayein gay haal-e-dil laiken
hum uskay saamnay arz-e-hunar bhi bhool gaye
juda huye tu khula hai tumhari basti main
hum ik dil hi nahiin chashm-o-tar bhi bhool gaye

hawa ko likhna jo agaya hai

hawa ko likhna jo agaya hai
ab uski marzi kay woh khizaan ko bahaar likh de
bahaar ko intezaar likh de
safar ki khawahishon ko wahmo kay azaab se humkunaar likh de
wafa kay rastay pe chalnay walon ki kismaton main ghubaar likh de
hawa ko likhna jo agaya hai
hawa ki marzi kay wasal mausam main hijr ko hissa daar likh de
mohabbat main guzarnay waliruton ko na payedaar likh de
shajar ko kam saayadaar likh de
hawa ko likhna jo agaya hai
ab uski marzi kay woh humaray diye bujha kar
shabon ka ba ikhtiyaar kar kay seher ko be aitebaar likh de
Hawa ko likhna sikhanay walon
hawa ko likhna jo agaya hai....

Koi Ham Safar

mere paaon chilni hui magar
kahiin ruk saaka na mera safaR
meri naarsayi kay haath main
na chiraagh hai na koi hunar
kisi raastay ki talaash main
hai lahou lahou meri chashm-e-tar
meri be basi kay hisaab main
aye mere khuda meray mautbar
koi humsafar
koi humsafar

khawab ki musafat se

khawab ki musafat se
wasal ki tamazat se
roz-o-shab riyazat se
kia mila mohabbat se
ik hijr ka sehra
aik shaam yaadon ki
aik thaka hua aansoo

wahmay saaray tere apnay hain

wahmay saaray tere apnay hain
hum kahaan tujhko bhool saktay hain
meri aankhon main ik muddat se
qaaflay rut jagon kay theheray hain
sar barhana hawaon se poocho
zaiqay hijraton kay kaisay hain
baaz auqaat khushk patay bhi
paon parta hi cheekh uthtay hain
ishq kay khush gumaan mausam main
patharon main gulaab khilatay hain

wahmay saaray tere apnay hain

wahmay saaray tere apnay hain
hum kahaan tujhko bhool saktay hain
meri aankhon main ik muddat se
qaaflay rut jagon kay theheray hain
sar barhana hawaon se poocho
zaiqay hijraton kay kaisay hain
baaz auqaat khushk patay bhi
paon parta hi cheekh uthtay hain
ishq kay khush gumaan mausam main
patharon main gulaab khilatay hain

kaise ayega tere khadokhal ka mausam

kaise ayega tere khadokhal ka mausam
kismaton main likha hai jab zawaal ka mausam
kisnay khel khela hai kis ne hijr jheela hai
ab guzar gaya jaana is sawaal ka mausam
kis tarhaan se mumkin tha ik shakh pe khiltay
main kay hijr ka lamha tu wasaal ka mausam
dil kay ab tu sehra hai aur aisaY sehra main
jaanay kab talak theray ab malaal ka mausam
aj tak bhi tehra hai dil ki rehguzaaron per
tere lams ka tere khadokhal ka mausam
hum kabhi to dekhay gay wehshaton kay sehra main
aye khuda mohabbat kay aitedaal ka mausam

humein humrah chalnay ka hunar aata tu hai laiken

humein humrah chalnay ka hunar aata tu hai laiken
mohabbat main buhut dushwaar hota hai
badan saanson ki huddat se phigaltay hon
magar dil badgumaani kay ghubaar alood raston pe nikal jaayein
jahaan per khawahishein bhi haath malti hon nadamat se
unhi be simat lamhon main dilon pe yeh bhi khul jaaye
mohaabat aur samjhotay main kitna faraq hota hai
wahiin humrah chalnay ka hunar dam tor deta hai....

mana vaadi-e-ishq main paaon andha rakhna prta hai

mana vaadi-e-ishq main paaon andha rakhna prta hai
laiken ghar ko jaanay wala rasta rakhna parta hai
tanhayi woh zeher bujhi talwaar hai jiski dehshat se
baaz auqaat tu dushman ko bhi zinda rakhna parta hai
jabar ki jitni unchi chaho tum deewaar utha lena
laiken us deewaar main ik darwaza rakhna parta hai
hijr ka dariyaa aan para hai beech tu koi baat nahiin
Ishq Main saathi thora sa tu hosla rakhna parta hai
be khabri ki shaamein hon tu aanjan musafir ko
sehra main bhi simton ka andaaza rakhna prta hai........

aankhein bhi wahi hain tu daricha bhi wahi hai

aankhein bhi wahi hain tu daricha bhi wahi hai
aur soch kay aangan main utarta bhi wahi hai
jis nay meray jazbon ki sadaqat ko na jaana
ab meri rifaqat ko tarasta bhi wahi hai
us dil kay kharabay se guzar kis ka hua hai
aankhein bhi wahi hont bhi lehja bhi wahi hai
jo kuch bhi kaha tha meri tanhayi ne tujhse
us sheher ki deewaar pe likha bhi wahi hai
woh jis nay diya mujhay mohabbat kay fasaanay
badal ki tarhaan barsa bhi wahi hai

na koi khawab na koi saheli thi

na koi khawab na koi saheli thi
us mohabbat mein main akeli thi
ishq main tum kahaan kay sachay the
jo aziyat thi woh hum ne jheeli thi
yaad ab kuch nahiin raha laiken
ik dariya tha ya haveli thi
jis nay uljha kay rakh diya dil ko
woh mohaabbat thi ya paheli thi
mein zara si bhi kam wafa karti
tum ne tu meri jan le li thi
waqt kay sanp kha gaaye usko
meray aangan main ik chanbeli thi
us shab-e-ghum main kis ko batlaon
kitni roshan meri hatheli thi

usi ki yaad kay jugnoo safar ki shaam main hain

usi ki yaad kay jugnoo safar ki shaam main hain
kay jis kay naam kay sab hurf meray naam main hain

Wednesday, February 23, 2011

ik hisaar-e-gumaan main rakha

ik hisaar-e-gumaan main rakha
umar bhar imtehaan main rakha
ik mohabbat sa hurf be maani
humnay lafzo bayan main rakha
dil nay ik hashar kardiya bar pa
teer jab bhi kamaan main rakha
ghar ki khawahish main umar bhar khud ko
aik khali makaan main rakha
is hawa main tere chiraghon ko
humnay apni amaan main rakha

dil mera ik kitaab ki surat

dil mera ik kitaab ki surat
jis main woh hai gulaab ki surat
humse poocho hum guzaar aaye
zindagi ko azaab ki surat
husn kachay gharay ka shidayi
IShQ mauj-e-chanaab ki suraat
IshQ main is tarhaan nahiin hota
yeh nahiin hai nasaab ki surat
main kari dopahar ki tanhayi
woh shab-e-mehtaab ki surat
poochta hai kay meri ghazlon main
kaun hai aztaraab ki surat
main wafa ki wahi porani kitaab
woh naye intisaab ki surat
jo nahiin kar sakay kabhi woh sawaal
usnay likha jawaab ki surat

uskay honay ka yaqeen jab humsfar ban jaaye ga

uskay honay ka yaqeen jab humsfar ban jaaye ga
dekh lena dasht main bhi ik ghar ban jaaye ga
yun tu dono hi shinasa hain junoon kay wasaf se
be dili yun hai kay yeh sab dard-e-sar ban jaaye ga
us ki baaton ko ujaala uski khushboo ka surwar
hijraton kay safar main rakht-e-sfar ban jaaye ga
subhadam uska badan tha meri khushboon ka safeer
kab gumaan tha wasal itna mautbar ban jaaye ga
dheeray dheeray dekhna ik din wafa ka silsila
kashti-e-dil kay liye ghum ka bhunwar ban jaaye ga

kisi aur kay khawab nahiin dekhay kisi aur ko kab apnaya hai

kisi aur kay khawab nahiin dekhay kisi aur ko kab apnaya hai
phir apni dil ki galiyon main teri yaad ka diya jalaya hai
ik muddat baad milay ho tum ehsaas-e-nadamat main doobay
aankhein bhi bheegi bheegi hai chera bhi utra utra hai
teri yaad ki ujri basti main tanhayi ki gehri raaton main
aik dep abhi tak roshan hai ik zakham abhi tak gehra hai
har lamha dhoonti rehti hain meri aankhein teri aankhon main
woh baat jo main samjha na saki woh hurf jo ab tak zinda hai
bachpan main jis kay baghon main hum titli jugnoo keh laaye
woh sundar galiyaan kaisi hain gulshan ka naqsha kaisa hai
meray aangan se tere mehlon tak halaat faseelein hayil hain
meray gaon kay apnay naqshay hain tere sheher ka apna naqsha hai

be shak na mere saath sfar ikhtiyaar kar

be shak na mere saath sfar ikhtiyaar kar
aye mere badgumaan mera aitbaar kar
woh khud tu titliyon ko le kar ghoomta raha
aur mujhko khat main likhta raha intezaar kar
ab in kay qaaflay tu kahiin door ja chukay
jin ki talab main aye the sehra guzaar kar
main ne tu tere hijr ka dukh jheel hi liya
ab tu bhi khud ko waqf-e-reh-e-intezaar kar
kab ho saki hai inki samunder se dosti
mitti kay in ghirondon pe kam anhisaar kar
fursat milay tu dekh meray dil kay aaeenay
aankhon se apni kaghazi parday utaar kar

aaj barson kay baad dekha hai

aaj barson kay baad dekha hai
ab bhi aankhon ka rang gehra hai
aur mathay ki sanwli si lakeer
dil main kitnay diye jalati hai
teri qamat kay saaye ki khushboo
guftgo main bahaar ka mausam
be sabab aitbaar ka mausam
kyun mujhay saaray dhang yaad rahay
kitni hairaan ho gayi khud per
main tujhay aaj tak nahiin bhooli
pichlay mausam ki yaad baaqi hai

aaj barson kay baad dekha hai

aaj barson kay baad dekha hai
ab bhi aankhon ka rang gehra hai
aur mathay ki sanwli si lakeer
dil main kitnay diye jalati hai
teri qamat kay saaye ki khushboo
guftgo main bahaar ka mausam
be sabab aitbaar ka mausam
kyun mujhay saaray dhang yaad rahay
kitni hairaan ho gayi khud per
main tujhay aaj tak nahiin bhooli
pichlay mausam ki yaad baaqi hai

aablay poochtay hain paaon se

aablay poochtay hain paaon se
kia milay ga tumhen wafaaon se
in mundeeron pe kuch chiraagh bhi the
kaun poochay ga ab hawaaon se
bastiyaan zeer-e-aab aati gayi
hont jaltay rahay duaaon se
titliyaan kyun safar main rehti hain
betiyaan poochti hain maaon se
abar pevand-e-khak lagta hai
rait girnay lagi khalaon se
bhook ki dhoop hum ko kha jaati
bach gaye mehnaton ki chaaon se
dil ne hijrat qabool karli thi
hoslay ho sakay na paaon se

mere mehboob

mere mehboob
meri simat na dekh
meri ankhon ko bhi nam rehne de
terk-e-khawahish ka bharam rehne de
phir phigal jaye na seenay main yeh dil
kitni muddat se bhulaya hai machalna isko
kitni mushkil se sikhaya hai kay jeenay kay liye
yun mohabbat se dharaknay ka hunar
rayegaani kay siva kuch nahiin
ik tamasha hain woh saaray nazaaray
jin kay chehre pe hon taqdeer kay naraaz naraaz naqoosh
ab to tu khud se mukarnay de mujhe
mere mehboob nahiin aur nahiin
jism ko raakh na kar shola na bana
yun meri simat na dekh

bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun

bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun
Jo tu nahee hai to phir tera intezaar bhi kiun
Akelepan ka safar jab mera muqaddar hai
To phir ai waada shikan teri rehguzaar bhi kiun
Usey ganwa ke raho ab khizaon ki zad mai
Jo wo nahee hai to phir mausam-e-bahar bhi kiun
Agar bhulaye huye usko aik umr hui
To phir yeh aaj tabiyet hai sogwaar bhi kiun
Wo jin labon pe yaqeene wafa mehek na sakey
Phir unke lams ki khahish ho aik baar bhi kiun
Jab usko shauq tha raston ki dhool honey ka
Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kiun

mujh ko ruswa sare mehfil to na kerwaya kare

mujh ko ruswa sare mehfil to na kerwaya kare
kaash ansoo meri ankhon mai hi reh jaaya kare
ai hawa maine to bas uska pata poochha thaa
ab kahaani to na har baat ki ban jaaya karey
bas bahut dekh liye khwaab sunaahey din ke
ab wo baton ki rifaqat se na behlaaya karey
ik museebat to nahee tootee hai so is dil per
jis qayamat ne guzarna hai guzar jaaya karey
dil ne ab soch liyaa hai ke yeh zalim duniaa
jo bhi kerna hai karey mujh ko na uljhaya karey
jis ke khwabon ko mai aankhon mai saja ker rakkhoon
uski khushboo kabhi mujh ko bhi to mehkaaya karey

Us dil kay chand asasonm main ik mausam hai barsaton ka

Us dil kay chand asasonm main ik mausam hai barsaton ka
Ik sehra hijr ki raaton ka ik jungle-o-wasal kay khawabon ka
Us chaudhveni raat kay saaye main jab akhri baar milay the hum
Yeh dil pagal kab bhoolta hai woh bagh safaid gulaabonn ka
Mere khaima-e-dil kay paas kahiin ik jugnmoo thair gaya aur phir
Selaab tha saari basti main andaazon ka awaazon ka
Hum log junoon kay alam main apni manzil ki talab bhi bhool gaye
Ab dil ko bhala lagta hai sehraa main aks suraabon ka
Jin lafzon kay kuch maani the woh lafz tu khawab huye laiken
Ab sheher main lagta jaata hai ik mela nayi kitaabon ka

Musalsal rokti hoon usko sheher-e-dil main aanay se

Musalsal rokti hoon usko sheher-e-dil main aanay se
Magar who koh-e-kun rukta nahiin deewaar dhanay se
Bhala kia dukh kay aangan main salagti larkiyaan jaanay
Kahiin chuptay hain aansoo anchalon main chupaanay se
Abhi tu fasal taaza hai humaray hurf-o-maani ki
Abhi datay nahiin hum mausamon kay aanay jaanay se
Abhi tu ishq main aankhein bujhi hain dil salamat hai
Zzameenay baanjh hoti hain kabhi faslein jalanay se
Tujhay tanha mohabbat ka yeh dariya paar karma hai
Nadamat hogi us kay hoslon ko aazmanay se
Humein kis zaraf kay kirdaar kay qissay sonata hai
Tujhay aye shher hum bhi jantay hai ik zamanay se
Tujhay bhi zabt-e-ghum kay shoq nay pathar banadala
Tujhay aye dil buhut roka tha rasm-o-rah nibhanay se

Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai

Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai
Mujhay tumse mohabbat ho gayi hai
Kisi ka lams hai kay jis kay hunar se
Mukamal sab ibadat ho gayi hai
Siva hai shor-e-dil shor-e-jahaan se
Magar ab is say nasbat ho gayi hai
Koi din kay liye deewangi bhi
Mere dil ko gainmat ho gayi hai
Buhut be haal rahay the magar ab
Humein hijrat ki aadat ho gayi hai
Gulaab asaar rastay muntazir hain
Kay mausam ki anaayat ho gayi hai
Zameen se aasmaan tak roshni hai
Meherban hum pe fitrat ho gayi hai

Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai

Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai
Mujhay tumse mohabbat ho gayi hai
Kisi ka lams hai kay jis kay hunar se
Mukamal sab ibadat ho gayi hai
Siva hai shor-e-dil shor-e-jahaan se
Magar ab is say nasbat ho gayi hai
Koi din kay liye deewangi bhi
Mere dil ko gainmat ho gayi hai
Buhut be haal rahay the magar ab
Humein hijrat ki aadat ho gayi hai
Gulaab asaar rastay muntazir hain
Kay mausam ki anaayat ho gayi hai
Zameen se aasmaan tak roshni hai
Meherban hum pe fitrat ho gayi hai

Junoon ka zabta gum ho gaya hai

Junoon ka zabta gum ho gaya hai
Mera sheher-e-wafa gum ho gaya hai
Main jis per aaj tak maho-e-safar thi
Tera who naqsh-e-paa gum ho gaya hai
Ajab hai be saro samaan mohabbat
Mera hurf-e-dua gum ho gaya hai
Main aks-e-yaar jis main dekhti thi
Woh dil ka aaenaa gum ho gaya hai
Kisi ko kya kahein kay sheher-e-ghum main
Humaray dil se kya gum ho gaya hai
Tere ahl-e-junoon bhi dar badar hain
Kay ghar ka raasta gum ho gaya hai

Jo mujh per rehmatein barsa raha tha
Mera sacha khuda gum ho gaya hai
Abhi tu shajar-e-ghum ko katna hai
Abhi se hosla gum ho gaya hai

Kiya hai pash-e-nazar nahiin khulta

Kiya hai pash-e-nazar nahiin khulta
Hum pe khud apna dar nahiin khulta
Umer per kitna mah-o-saal khulay
Lamha-e-khair-o-shar nahiin khulta
Lafz koi tu ism-e-azam ho
Hum pe baab-e-hunar nahiin khulta
Dil ki aankhon pe khawab ka lamha
Janay kyun raat bhar nahiin khulta
Munkshaf ho gaye sabhi manzar
Roshni tera dar nahiin khulta
Janay kaisa guraiz hayil hai
Hum pe woh humsafar nahiin khulta
Ishq ik aisa maujza hai jo
Har kisi zaat pe nahiin khulta
Shab se manoos ho gaye itnay
Hum pe waqt-e-seher nahiin khulta

Mazaaron per mohabbat ki ja widani sun rahay the

Mazaaron per mohabbat ki ja widani sun rahay the
Kabootar keh rahay the hum kahaani sun rahay the
Meri guriya tere jugnoo humari maaon kay ghum
Hum ik doojay se bachpan ki kahaani sun rahay the
Kabhi sehra kay seenay per bikharta hai tu kaisay
Sunheri geet gaaata hai yeh paani sun rahay the
Guzarti umar kay har ik lamhay ki zabaani
Mohabbat rayegaani! Rayegaani sun rahay the
Mizaaj-e-yaar se itni shinasayi ghazab thi
Hum uski guftgo main bay dihaani sun rahay the
Wafa kay sheher main aik shaam thi khamosh baithi
Hum us main bhi kamala-e-khush bayani sun rahay the

Dua-e-akhir-e-shab aasmaan ko choo rahi thi
Navaid-e-roshni uski zabaani sun rahay the
Woh bachay shaam ko chopaal main baithay huye the
Kay jaisay daastaan koi puraani sun rahay the
Hatheli per rakhay pholon pe ko aansoo giray the
Unhi se koi azn-e-hukumraani sun rahay the

Hashar ka samaa rehta hai

Hashar ka samaa rehta hai
Ya wasal ka gumaan rehta hai
Is rastay se uski gali tak
Aik chiragaan rehta hai
Baraf pe dhoop ka jism bhi dekho
Din bhar raqsaan rehta hai
Khaima-e-shaam saja lete hain
Jashan ka smaa rehta hai
Dil kay liye tu hurf-e-dua main
Dard ka darmaan rehta hai
Janay kis ki khauj main tera
Deedah hairaan rehta hai
Raat dhalay ik khawab ka chehra
Roz pashemaan rehta hai

Hashar ka samaa rehta hai

Hashar ka samaa rehta hai
Ya wasal ka gumaan rehta hai
Is rastay se uski gali tak
Aik chiragaan rehta hai
Baraf pe dhoop ka jism bhi dekho
Din bhar raqsaan rehta hai
Khaima-e-shaam saja lete hain
Jashan ka smaa rehta hai
Dil kay liye tu hurf-e-dua main
Dard ka darmaan rehta hai
Janay kis ki khauj main tera
Deedah hairaan rehta hai
Raat dhalay ik khawab ka chehra
Roz pashemaan rehta hai

Dhondnay jis mein zindagi nikli

Dhondnay jis mein zindagi nikli
Wohee us shakhs kee gali nikili
Teray lehjay mein tha nahee kia kuchh
Sirf such kee zara kami nikli
Woh jo legti thi kanch ki guriya
zZarb perhnay pe aahini nikli
us haveli mein shaam dhelnay per
her dereechay se roshni nikli
Woh hawa tu nehi thi lerki thi
Kis liye itni sirphri nikli
Woh teray asmaan ka kia kerti
Jis ki mitti se dosti nikli

Dhondnay jis mein zindagi nikli

Dhondnay jis mein zindagi nikli
Wohee us shakhs kee gali nikili
Teray lehjay mein tha nahee kia kuchh
Sirf such kee zara kami nikli
Woh jo legti thi kanch ki guriya
zZarb perhnay pe aahini nikli
us haveli mein shaam dhelnay per
her dereechay se roshni nikli
Woh hawa tu nehi thi lerki thi
Kis liye itni sirphri nikli
Woh teray asmaan ka kia kerti
Jis ki mitti se dosti nikli

Koi mujko mera bharpoor sarapa laaday

Koi mujko mera bharpoor sarapa laaday
Meray baazoo meri aankhain mera chehra laaday
Aisa dariya jo kisi aur samander main giray
Us say beheter hai kay mujhko mera sehra laaday
Kuch nahiin chahiye tujhse aye meri umr-e-riiwaan
Mera bachpan meray jugnoo meri guriya laaday
Naaya mausam meri be naayi ko taslem nahiin
Meri aankhon ko wahi khawab poorana laaday
Jis ki aankhein mujhay ander say bhi parh sakti hon
Koi chehera tu meray sheher main aisa laaday
Kashti-e-jaan tu bhunwar main hai katyi barson say
Aye khuda ab tu dibo day ya kinarah laaday

Kahan tak khaima dil main chuayein

Kahan tak khaima dil main chuayein
Apni aason aur pyason ko
Kahan tak khauf kay be shakal sehra ki hatheli per
Kiraidein jayein aankhein aur
Lakeerein roshni ki phir na ban paayein
Hum insaan ho kay bhi saaye ki khushboo ko taras jaayein
Chalo ik doosray ki khawahishon kid hoop main
Jaltay huye angan ki veerani main aankhein band kar lein aur baras jaayein
Yahan tak toot kay barsain kay paani
Wasal ki mitti main khushboo gundh layaur phir suroon tak guzar jaaye
Zameen se aasmaan tak aik hi manzar sanwar jaye
Humaray raaston per aasmaan gawahi bhaij day
Khushboo bikhar jaaye
Zameen paon ko choolay
Chandni dil main utar jaaye
Hawa agar hijr ki saazish main hissa dar ban kar darmiyaan aye
Hijr kay per bheeg jaayein aur
Hawa paani main mil jaaye.

Roshni dil kay darichon main bhi lehranay day

Roshni dil kay darichon main bhi lehranay day
Usko ehsaas kay aangan main utar jaanay day
Habs barh jaaye tu be naayi chali jati hai
Khirkiyaan khol kay rakh taaza hawa aanay day
Teray roknay se who bad ahad kahan rukta hai
Paon choonay se tu behetar hai usay jaanay day
Jin main ab tak meray bachon ka lahoo jalta hai
Un makano per tu mera parcham lehranay day
Tu jo ayaa hai tu ji bhar kay tujhay dekhay gay
Bearish-e-ashak zara aankh se tham jaanay day

Tuesday, February 22, 2011

Magar hlaat kay zeenay pay

Magar hlaat kay zeenay pay
Kaisi maashk jaari hai
Kay jis main saans lenay kay liye
Muhalat nahiin milti……..

Jo dard kay sehra main akela buhut hai

Jo dard kay sehra main akela buhut hai
Us kay liye deewaar ka saaya bhi buhut hai
Dekha nahiin tanhayi main tumnay kabhi usko
Bichray huye logon ko woh roya bhi buhut hai
Kuch tujhko mohabbat per yaqeen tha na wafa per
Kuch dukh meri taqdeer main likha bhi buhut hai
Benaayi andhairon se bhala kaisay bachataa
Aik shaks tere hijr main jaga bhi buhut hai
Woh aur hai jo tujhay chook kay dekhna chahain
Mujhko tu tere khawab ki duniya bhi buhut hai
Kiraddarse mehroom tha sheher tu is ne
Humko dar-o-deewaar per likha bhi buhut hai

Abhi tehro !!!

Abhi tehro  !!!
‘’Abhi kuch din lagay gay’’
wasal ki khawahish bananay main
tumhen apna samajhnay kay liye dil ko mananay main
Abhi kuch din lagay gay
Abhi hum apni apni khushbouon ko dil se milnay dein
Unhein mehsoos karnay dein
Wafa kia taqaazaye mohabbat kihadein kia hain
Hadon ki sarhadein kia hain
Phir in kay paar jaanay ka sabab kia hai
Dehaan-o-be dihaani main
Tumhaari bheegti baton ki nadiya ki rawaani main
Kahaani hi kahaani main
Agar bay jaadeh-o-manzil
Koi khawahish dilon ki kaukh se paida hui tu kaun dekhay ga
Humaray naam ki sachayi ko
Aur khawahishon kay be nasab mehtaab chehron ko
Abhi tehro!
Abhi kuch din lagay gay

Rishta-e-benaam ko humnaam karnay main
Kahaani ko kisi aghaaz se anjaam karnay main
Kahiin izhaar karnay main
Humein iqraar karnay main
Abhi tehro!
Abhi kuch din lagay gay………….

Mohabbatein jab shumaar karna tu sazishein bhi shumaar karma

Mohabbatein jab shumaar karna tu sazishein bhi shumaar karma
Jo meray hissay main aayi hain woh aziyatein bhi shumaar karma
Jalaye rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhein
Magar kahiin zabt toot jaaye tu baarishein bhi shumaar karma
Jo hurf luoh-e-wafa pe likhay huye hain unko bhi dekh lena
Jo rayegaan ho gayi woh sari woh abaaratein bhi shumaar karma
Yeh sardiyon ka udas mausam kay darkanay bhi baraf ho gayi hain
Jab unki yakh bastagi parakhna tu tamazatein bhi shumaar karnaa
Tum apni majbooriyon kay qissay zaroor likhna wazahaton say
Jo meri aankhon main jal bujhi hain woh khawahishein bhi shumaar karna

Titliyaann jugnoo sabhi hongay magar dekhay ga kaun

Titliyaann jugnoo sabhi hongay magar dekhay ga kaun
Hum saja bhi lein agar deewar-o-dar dekhay ga kaun
Ab tu hum hain jagnay walay teri khatir yahaan
hum na hongay tu tere shaam-o-sehar dekhay ga kaun

jis ki khatir hum sakhan sachayi kay rastay chalay
jab wahi usko na dekhay tu hunar dekhay ga kaun
sab nay apni apni ankhon per naqaabein dal li
jo lih hai sheher ki deewaar per dekhay ga kaun
bay sitarah zindagi kay ghar main ab bhi raat ko
ik kiran teray khayalon ki magar dekhay ga kaun

Log dariya talaash kartay hain

Log dariya talaash kartay hain
Hum kinarah talaash kartay hain
Shaam hotay hi janay kyun khud ko
Bay iraadah talaash kartay hain
Aye zameen tere rizik main hum bhi
Apna hissa talaash kartay hain
Jo tere raastay se mil jaaye
Aisa rasta talaash karta hain

Log dariya talaash kartay hain

Log dariya talaash kartay hain
Hum kinarah talaash kartay hain
Shaam hotay hi janay kyun khud ko
Bay iraadah talaash kartay hain
Aye zameen tere rizik main hum bhi
Apna hissa talaash kartay hain
Jo tere raastay se mil jaaye
Aisa rasta talaash karta hain

Kabhi hum bheegtay hain chahton ki tez baarish main

Kabhi hum bheegtay hain chahton ki tez baarish main
Kabhi barson nahiin miltay kisi halki si ranjish main
Tumhi main devtaon ki koi kho boo na thi warna
Kami koi na thi meray andaaz-e-pursatish main
Yeh pehlo soch lo phir aur bhi tanha na ho jaana
Usay choonay ki khawahish main usay paanay ki koshish main
Buhut say zakham hai dil main magar ik zakham aisa hai
Jo jal uthta hai raaton main jo loo deta hai baarish main

Kisay khabar thi kay yeh dil ka haal hona tha

Kisay khabar thi kay yeh dil ka haal hona tha
Tumhen ganwaa kar humein bhi malaal hona tha
Humaray wastay rasta koi bacha kab tha
Wahin the zakham wahin indmaal hona tha
Main tera naam likhon khushbouein si jal uthi
Yeh maujza bhi meray khush Jamaal hona tha
Wahi badan kay jisay taazgi muqadar thi
Kisay khabar thi kay yun paymaal hona tha
Kabhi gulaab say mehkain kabhi chiraagh jalein
Sakhan kay baab main yeh bhi kamala hona tha
Kamala-e-sadha dili hai kay badgumani hai
Tumharay lab pe bhi koi sawaal hona tha
Hawaye sheher rakha buhut udaas magar
Mera yaqeen-e-mohabbat bahaal hona tha

Sabhi jazbay badaltay ja rahay hain

Sabhi jazbay badaltay ja rahay hain
Kay jaisay khawab martay ja rahay hain
Koi dil kay liye dil kay makin ko
Nazar andaaz kartay ja rahay hain
Jo dil ka haal hai dil jaanta hai
Bazahir tu sambhaltay ja rahay hain
Chalay tu hain tumharay sheher say hum
Kaaf-e-afsos maltay ja rahay hain
Kabhi jin main guroor-e-tazgi tha
Who khado khaal dhaltay ja rahay hain

Aankhein tanha ho jaati hain

Aankhein tanha ho jaati hain
Dard ka sehra ho jaati hain
Dil ka kya hai dil ki baatein
Aksar ruswaa ho jaati hain
Tu hota hai laiken shaamein
Kaisay tanha ho jaati hain
Teray bin yeh chandni raatein
Ghum ka naksha ho jaati hain
Asal ki janib laut kay akhir
Naslein ik ja ho jaati hain
Kyun har baar safar ki shamein
Tera chehra ho jaati hain

Humein khabar haiHumein khabar hai

Humein khabar hai
Tamaam dukh hai
Yeh zindaagi ko jo aasmaano ki wasaaton say
Hazaar sadiyon se mil raha hai
Piyaam dukh hai
Jo karzaar-e-zawaal-e-hasti ko
Dhoop chauon ki aahaton se chal raha hai
Nizaam-e-dukh hai..
Seher tu ikn mukhtasir sag hum hai
Tauveel din ki havailiyon kay
Jo raaston main thair gayi hain..
Who sham dukh hai..
Who shaam dukh hai
Kay iski shay per kayi dino se
Musaafiran-e-abad ka aisay firaaq asaar raaston per
Safar tu khair ik ulmiya hai
Qayaam dukh hai…
Yeh as dukh hai,niraas dukh hai
Udaasiyon ka libaas dukh hai
Yeh tashangi jo azaab ban kart hair gaayi hai
Badan kay boseedah saahilon per
Tu uska ahd-e-dawaam dukh hai
Yeh shor karti hawa ka sara kharaam dukh hai
Humein khabar hai
Tyamaam dukh hai
Yeh tum mohabbat nibahtay ho
Tu us mohabbat ka naam dukh hai
Yeh wasal mausam jo ik musalsal mughalta hai
Tu us rifaaqat ka naam dukh hai
Aur aisi wehshat numaan fiza main
Khamosh rehna bhi ik saza hai
Magar kisi se kalaam dukh hai

Humein khabar hai
Tamaam dukh hai………..

HUM APNE AAP SE ITNI MORAWAT KER HI LETE HAIN

HUM APNE AAP SE ITNI MORAWAT KER HI LETE HAIN

KABHI TANHAI MAIN KHOD KO MALAMAT KER HI LETE HAIN

UNHEN ILZAM KYA DEN JIN K ZEHAR AALOOD HAIN LEHJE

KAHIN THORI BOHT HUM B TO GHAIBAT KER HI LETE HAIN

KOI TOTA HOWA DIIL JOR DETE HAIN MOHABBAT SE

NAMAZI TO NAHI LEKIN IBADAT KER HI LETE HAIN

DILON MAIN UON AGER IK DOSRE SE PYAR BERTA HAI

CHALO IK DIN BICHER JANE KI HIMAT KER HI LETE HAIN

Mehfil ki chaka'chond ma kuch khoob sifat log

Mehfil ki chaka'chond ma kuch khoob sifat log
Andar se kabhi daikho to weeraan bohat hain
Kyun hum ko sunaate hain kissi khwaab ki ta'beer
Hum apne hi khwaabon se pareishan bohat hain

Kabhi ithkaliyan karna hawa se

Kabhi ithkaliyan karna hawa se
Kabhi tilti ki khawahish main machalna
Humein bhi raas aata jaa raha hai
Tumharay ghum ki bahon main sambhalna…….

Kabhi ithkaliyan karna hawa se

Kabhi ithkaliyan karna hawa se
Kabhi tilti ki khawahish main machalna
Humein bhi raas aata jaa raha hai
Tumharay ghum ki bahon main sambhalna…….

Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna

Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna
Phir uskay baad reh-e-intizaar main rehna
Kabhi sukon kabhi khalafshaar main rehna
Humein azeez teray ikhtiyaar main rehna
Woh bay iraada teri khushbouon ko choo lena
Phir ik ajeeb se kaif-o-khumaar main rehna
Woh ik pal kay liye arzoo mohabbat ki
Phir ik umar safar kay ghubaar main rehna
Meri dua ko kahiin raasta nahiin milta
Jahaan bhi rehna isi intishaar main rehna

Dard ki lay madham tu ho

Dard ki lay madham tu ho
Dhund kahiin per kam tu ho
But saazi hum jaan gaye hain
Laiken mitti nam tu ho
Umar ka saath kahaan maanga hai
Phir bhi chaar qadam tu ho
Shaam ka raqs bhi ho jaaye ga
Dhoop ki shiddat kam tu ho
Mehfil-e-shab bhi saj jaaye gi
Koi shareek-e- ghum tu ho
Jaan pe she jaatay the laiken
Koi aik sitam tu ho

Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain

Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain
Yeh phool khushboo ki raye gain se dar gaaye hain
Humein bhi rukhsat ki rasam kuch tu nibahna thi
Tumhaari aankhon mein aaye paani se dar gaaye hain
Yeh teer jitney fizaa main aakar thair gaaye hain
Kisi parinday ki bay zubaani se dar gaaye hain
Inhein bhi dariya main apni kashti utarna thi
Jo log lehron ki sar giraani se dar gaaye hain
Yeh hum jo sheher-ewafa main gumsum kharay hue hain
Phir ik taaza ghalat bayani se dar gaaye hain
Abhi tu dil ko udaas karti nahiin hain shaamein
Abhi se kyun ghum ki hukumraani se dar gaaye hain
Humein bhi saahil pe geet likhna the seepiyon se
Magar hawaon ki meherbaaniyon se dar gaaye hain

Naat likhnay ka agar m ujhko qareena aajaaye

Naat likhnay ka agar m ujhko qareena aajaaye
Jitna dushwaar ho jeena mujhay jeena aajaye
Us safar main kabhi thaktay nahiin dil aur paaon
Jis safar main kahiin ehsas-e-madeena ajaaye…
Doobnay walon kabhi dil se pukaaron tu unhein
Khud bhunwar leaky kinaaray pe safeena aajaye
Aisi rehmat ki ghari bhi koi aasakti hai………
Main madinay main rahun mujh main madina aajaye
Mujh gunah gaar bhikaran ki yeh hi jannnat hai
Un(s.a.w)ki nasbat kameray haath khazeena aajaye
Ho tu sakta hai agar aap(s.a.w) karam farma dein
Mere aankhon se meray dil main madina aajaye

Palat Kar Pher Kabhi Usnay Pukara He Nahi Hai

Palat Kar Pher Kabhi Usnay Pukara He Nahi Hai
Wo Jiske Yaad Say Dil Ko Kenara He Nahi Hai

 Mohabbat Khail Easa Tu Nahi Ham Lout Jaye
Kah Is Main Jeet Bhi Hoge Khasara He Nahi Hai

Kabhi Wo Jugnoon Ko Muttyoon Main Qaid Karna
Mager Ab Tu Hamay Yah Sab Gawara He Nahi

Ab Us Kay Khaal o Khud Ka Zekar Kia Kartay Kese Say
Kah Ham Per Aaj Tak Wo Aashakara He Nahi Hai
Yah Khowahish Thi Kah Ham Kuch Dorr Tak Tu Sath Chaltay
Setaroon Ka Mager Koee Eshara He Nahi Hai

Bohat Say Zakham Khayay Dil Nay Aakher Tay Kia Hai
Tumharay Shaher Main Apna Guzara He Nahi Hai

kahiin kartay nahiin izhaar chup hain

kahiin kartay nahiin izhaar chup hain
humein tu hukum hai sarkaar chup hain
kahaani kuch batana chahti hai
magar uskay sabhi kirdaar chup hain
buhut hai barish-e-sang-e-malamat
maagar hum surat-e-kohsaar chup hain
abhi tak hai buhut mehfooz qatil
kay muqtal kay darodeewaar chup hain
pata rehzan ka khulqat poochti hai
magar basti kay peheraydaar chup hain
wahi mausam wahi zanjeer-e-shab hai
magar yeh log kyun is bar chup hain

har zarah umeed se khushboo nikal aaye

har zarah umeed se khushboo nikal aaye
tanhayi kay sehra main agar tu nikal aaye
kaisa lagay is baar agar mausam-e-gul main
titli ka badan orh kay jugnoo nikal aaye
phir din teri yaadon kay mundeeron pe guzaara
phir shaam huyi aankh se aansoo nikal aaye
bechaain kiye rehta hai dharka yeh hi ji ko
tujh main na zamanay ki koi khau nikal aye
phir dil ne kiya tarak--taluk ka iradah
phir tujhse mulaaqaat kay pehlu nikal aaye...

bhoolta kaun hai

bhoolta kaun hai
waqt kay ghaon ko
hijr kay tund toofanon ki
be yaqeen leher main
wasal kay khawab ki doobti naao ko
bhoolta kaun hai
bhoolta kaun hai
apnay qatil kay qatil khadokhal ko
dukh uthatay dino aur mah-o-saal ko
bhoolta kaun hai
bhoolta kaun hai
umar kay shak pe khilna wali us ik avalein shaam ko
be sabab jo laga hai us ilzaam ko
phir tere naam ko
bhoolta kaun hai

azaab-e-darbadri se nikalna chatay hain

azaab-e-darbadri se nikalna chatay hain
ab uskay khema-e-khushboo main rehna chahtay hain
sada-egul ki tarhan mauja-e-saba ki tarhan
teri gali se kisi din guzarna chahtay hain
talaash-e-rizq main bhatki huitakaan kay baad
parinday apnay gharon ko palatna chahtay hain
humein na dekh zamanay ki garz aankhon se
tujhay khabar nahiin kay hum tujhko kitna chahatay hain
wafa hai shat tu phir apnay darmiyaan ab bhi
yeh log kis liye deewaar rakhna chahtay hain
umeed-e-sheher salamat musahibaan samait
hum ahl-e-sabar unse mukarna chahtay hain

Saturday, February 19, 2011

AaNsoo

Osne apni ungaliyon se
aik aik
ker k
apny sary
AaNsoo
samait liye
aur socha k
Ashaq samaitny wala
aj itny Ashaq kesy de gaya??

Hairan nahi hun main ager dil tooty kisi ka

hairan nahi hun main ager dil tooty kisi ka
ab to kisi payar ki kamyabi pe chuonk jati hun main

Kabhi abad krta tha kabhi barbad krta tha

Kabhi abad krta tha kabhi barbad krta tha,
Sitam woh roz ik naya ijad krta tha,
Zamana ho gaya lekin khabar lene nahi aya,
Jo panchi roz mere nam pr azad krta tha…

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai,

Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah,
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai,

Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar,
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai,

Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse,
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai……!!!!

Na Tuje Chor Saktay hain Tere ho bhi nhi saktay

Na Tuje Chor Saktay hain Tere ho bhi nhi saktay,
Ye Kesi Bebasi hy Ham ro bhi nhi saktay,
Ye Kesa Dard Hy Hmein Pal Pal Tarpaey Rakhta Hy,
Teri Yaad Aati Hy To Phr So Bhi Nhi Saktay,
Chupa Saktay Hain Na Dikha Saktay Hen Logon Ko,
Kuch Aesay Daagh Hain Dil Per Ham Dho Bhi Nhi Saktay.
Kaha To Tha Chor Deingay Ye Nagar Phr Ruk Gaey Lakin,
Tumhein Paa To Nhi Saktay Lakin Kho Bhi Nhi Saktay.
Hmara Aik Hona Bhi Nhi Mumkin Raha Ab To,
Jein Kesay Keh Tum Se Door Reh Bhi Nhi Saktay.

Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya…

Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya…
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya…
Hum To Samje Te K Hum Bhol Gaye Hain Un Ko…
Kia Hova Aaj Ye Kis Baat Pe Rona Aaya…
Kis Liye Jeete Hai Hum Kis K Liye Marte Hai…
Baarha Aise Sawalaat Pe Rona Aaya…
Kon Rota Hai Kisi Aur Ki Katir Ae Dost…
Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya…
Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya…
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya…

Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise

Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise
Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise
Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise
Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise

In ankhon mai dekh ker bata sakta hoon

In ankhon mai dekh ker bata sakta hoon,
Mujh se bicher ne ke baad tum soye nahi hoge,
Ye nain jis mai abhi hansi nazer ati hai,
Vo nain tum ne aanso\’o mai bhigoye hoge,
Ye haath jispe mehekti hai surkhiya,
Vo haath dard chupane mai tumhare kaam aye hoge,
Zindagi ka ye safer ab tanha hi katega yaara,
Udaas mai hoon to khush tum bhi nahi hoge,
Ghum ye nahi ke mere pyaar pe hans diye,
Ghum ye hai ke uske baad tum bohot roye hoge..

Youn Na Idhar Udhar Din Guzaray Hote

Youn Na Hum Ne Idhar Udhar Din Guzaray Hote
Chain Mil Jata Humein Jo Dil Se Khelay Hote
Humein Kabi Khud Se Itni Fursat Hi Na Mili Warna
Hum Bi Jo Aa Jate Khailnay Madan Mein Tu Tum Humare Hote
Tujhe Agar Pata Chalta Meri Mohabbat Ka Daaira
Chehre Par Tumhare Phir Aasaar Humare Hote
Ho Gaye Kuch Aise Alug Tujh Se Warna
Yeh Jo Khasare Ho Rehay Hain Abb Faiday Hote
Tu Aik Bar Hi Sehi Meri Humayat Tu Karti
Phir Hum Na Is Raah Mein Kabi Haaray Hote
Guzar Hi Gayee Apni Saari Umar Aise Warna
Zindagi Hum Tere Hi Darwazay Pe Haare Hote
Kharich Ho Hi Jate Is Mohabbat Mein Nazim
Dil Or Bi Jitnay Seenay Mein Humare Hote
Youn Bekaar Se Nazar Aate Hain Sab Ko Hum Log Nazim
Aankhon Se Jo Koi Lagata Tu Sitaare Hote
                                                            ( Nazim Ali )

Friday, February 18, 2011

kahan hai manzil-a-rah-a-tamanna hum bi dekhein gey

kahan hai manzil-a-rah-a-tamanna hum bi dekhein gey
yeh shub hum per bhi guzray gi, yeh farda hum bhi dekhen gey
tehr ay dil jamal-a-rooay zeba hum bhi dekhen gey
zara saiqal to ho ley tashnagi bada gusaron ki
daba rekhen gey kab tak josh-a-sehba hum bhi dekhen gey
utha rukhen gey kab tak jaam o mina hum bhi dekhen gey
sala aa to chukay mehfil mein ous koay malamat sey
kisay rokay ga shor-a-pind-a-bayja hum bhi dekhen gey
kisay hai ja kai lout aanay ka yara hum bhi dhekhen gey
chalay hain jan o imaan aazmanay aaj dil waley
woh layen lasker-a-aghyar o aada hum bhi dekhen gey
woh aayein to ser-a- maqtal tamasha hum bhi dekhen gey
yeh shab ki aakhri saat graan kaysi bhi ho humdum
jo is saat main pinhaan hey ujala hum bhi dekhen gey
jo farq-a- subh per chamkay ga tara hum bhi dheken gey

Jo lekha kaghaz py wo kalaam mit gea

Jo lekha kaghaz py wo kalaam mit gea.
Rait py lekha jo wo naam mit gea….
Ummed tot gae hasrat reh gae……
Jo thi lakeer wo lakeer mit gae….
Pene dy Sharab kuch gham ghalat ho saqi.
Mohabbat kisi ki aghosh mein so gae….
Zamana gham to deta hy marham nahe deta.
Meri subh shaam k saae mein so gae.
Zindagi jis ko samjha tha Ali.
Wo ZINDAGI hum sy roth gae…

Suno….!

Suno….!
Kese kahen tum ko tumhary bin
Adhuray hain.
Na koi pyas hy baqi
Na koi dard utha hy.
Haan!
Magar EHSAS BAQI HY
k
Tumhary bin
Adhuray hain
Koi aisa lafz ho jo
Zuban se hum ada karty
Tumhare dil py jagerta
Dukh se kanp uthti rooh
Tarp k tum bhi ye kahtain
k
Tumhare bin ADHURE hain………

Suno….!

Suno….!
Kese kahen tum ko tumhary bin
Adhuray hain.
Na koi pyas hy baqi
Na koi dard utha hy.
Haan!
Magar EHSAS BAQI HY
k
Tumhary bin
Adhuray hain
Koi aisa lafz ho jo
Zuban se hum ada karty
Tumhare dil py jagerta
Dukh se kanp uthti rooh
Tarp k tum bhi ye kahtain
k
Tumhare bin ADHURE hain………

Sham ko parindon ki tarah lout aata

Sham ko parindon ki tarah lout aata,
Muntazir agar koi hamara hota,
Chand taaron ki talab kisey thi,
Bas roshni ke liye aik sitara hota,
Hum mein shayad koi kami thi,
Warna zaroor koi hamara hota,
Sari Dunia ki tamana kiss ko thi,
Hum ne chaha tha bas itna ke wo shakhs hamara hota……….

Pher satao k satane mein maza aata hai

Pher satao k satane mein maza aata hai.
Rooth jao k manane mein maza aata hai.
Apna keh dena kisi ko bari baat nahin.
Apna keh kr nibhane mein maza aata hai

Ek Baat…….

Ek Baat…….
Bs Ek Baat Karni thi..
Tum Se Magar Choro…
Samey Beet Gea Aur Tum Kahenn k Hogae..
Hum Aur Kahen K Hogae..
Kae Zard Rutain Guzar Gaein..
Kae Bahar Mousam Guzar Gae Shabab Rut Nekal Gae.. Tumhare Baloon Mein Chandi k Taar Utar Aae.Hamain Waqt Ne Shekasta Badan kia.. Choro Kia Batain Ly Kr Baith Gae.. Yaad Aya !!
Hum Ne To Pouchna Tha
Sunao Ghar ka Kia Haal Hy?
Tumhare Ghar k Makeen Kese Hain??

Tera chehre py meri Aankhe safar krti hai

Tera chehre py meri Aankhe safar krti hai,
Chand k pehlu mein jese Raatain Safar krti hain,
Main tujhe or kia wafa ka sila doon,
Tere sene mein meri Sansen Safar krti kain,

Kabhi jo hum nahi hon gay, Koho kis ko Batao Gay, Wo Aapni Uljhanain Sari, Wo Bechaini Main Doobay Pal, Wo Aankhon main Chuppy Aansu, Kisay Phir Tum Dikhao Gay, Kabhi jo hum nahi hon gay, Bohot Bechain Ho Gay Tum, Bohot Tanha Reh Jao Gay, Abhi Bhi Tum Nahi Samjhey, Hamari An-kahi Batain, Magar Jab yaad Aain Gay, Bohot Tum ko Rulain Gay, Bohot Choho Gay Phir Bhi Tum, Hamain Na Dhoond Pao Gay, “KABHI JO HUM NAHI HOONGAY”

Dil lagi thi usey hum sy Mohabbat kab thi. Mehfil-e-Ghair sy un ko Fursat kab thi. Hum thay Mohabbat mein lut jane k Qabil. Us k wadoon mein wo “HAQEQAT” Kab thi.

Dil lagi thi usey hum sy Mohabbat kab thi. Mehfil-e-Ghair sy un ko Fursat kab thi. Hum thay Mohabbat mein lut jane k Qabil. Us k wadoon mein wo “HAQEQAT” Kab thi.

unhi Umeed Dilatay Hain Zamane Wale,

unhi Umeed Dilatay Hain Zamane Wale,
Laut Kay Kab Aatay Hain Jane Wale,
Tu Ne Dekha Kabi Sehra Main Jhulasta Hua Darakht,
Iss Tarha Jaltay Hain Wafaon ko Nibhane Wale,
Tu Aa Kar To Dekh Kabi Un Ki Shabon Main,
Kitna Rotay Hain Zamane Ko Hasane Wale?!

raat ki tanhai mai jab naam usko pukara

raat ki tanhai mai jab naam usko pukara,
har sitare ne uska naam dohraya,
ah gaye ashq bhi humari ye mehfil mai,
jab uski duri ka ehsaas chand ne dilaya..

raat ki tanhai mai jab naam usko pukara,

raat ki tanhai mai jab naam usko pukara,
har sitare ne uska naam dohraya,
ah gaye ashq bhi humari ye mehfil mai,
jab uski duri ka ehsaas chand ne dilaya..

Mujh Per Ilzaam Hain Sabhi Tum Jin Per Khafa Hote Ho

Mujh Per Ilzaam Hain Sabhi Tum Jin Per Khafa Hote Ho
Main Mujrim To Nahe Kyun Mujh Ko Saza Detey Ho
Gar Muhabbat Nahe Ikhlaq Bhe Koi Cheez Hai Sanam
Tum Har Baar Mujhe Nazroon Sey Gira Detey Ho…

Zindagi ne kuch is tarah se Mayoos kr dya

Zindagi ne kuch is tarah se Mayoos kr dya,
Apni jeet ko haar mai badal dya,
Ap k siwa or kuch na Chaha tha maine,
Bus Qisamt ne srf isi se Mehroom kr dy

Gulshan ka har khwaab bahaaron mein qaid hai

Gulshan ka har khwaab bahaaron mein qaid hai
lagta hai dariya bhi kinaro mein qaid hai
ab uski yaadon se nikla nahi jata
koi hai jo dil ki diwaro me kaid hai.

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga
Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga
Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga
Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga
Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga
Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga…!!!

Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai

Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Barasti Bondon Ko Hathon Mein Sameit Leti Hai ?.
Suna Hai Phool Usey Bhi Pasand Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Ghanton Pholon Se Batein Kerti Rehti Hai ?..
Suna Hai K Chand Usey Bhi Aacha Lagta Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Raat Raat Bher Usey Takti Rehti Hai ?.
Suna Hai Tanhaee Usey Bhi Bhati Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Per Woh Tanha Baith Ker Kis Ko Sochti Hai
Sari Batein Sachi Hein Magar
Yeh Bhi Sach Hai !
Mein Jo Us K Barey Mein
Her Baat Ki Khabbar Rakhta Hon
Yeh Bhi Janta Hoon K Us Ki
Soochon Ka Mehwar Mein Nahi ??!!!

Wo Aankhein

Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Dekhti Hain
Dekhti Rehti Hain
Main Bhi Dekhta Hoon
Dekhta Rehta Hoon
Jis Se Rooth Jaati Hain
Main Us Se Rooth Jaata Hoon
Wo Jis Se Pyaar Karti Hain
Main Us Se Pyaar Karta Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Sochti Hain
Sochti Rehti Hain
Main Bhi Sochta Hoon
Sochta Rehta Hoon
Jis Dam Muskuraati Hain
Main Us Dam Muskurata Hoon
Wo Jab Afsurda Hoti Hain
To Main Afsurdsa Hota Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein Ho Nahi Sakteen
Magar Phir Bhi
Diwaana Hoon Jo Un Ko
Chaahta Hoon, Chaahta Hoon
Chaahta Rehta Hoon

Ashq Ankhoon Main Meri Dekh Kay Rotay Kiyon Ho

Ashq Ankhoon Main Meri Dekh Kay Rotay Kiyon Ho
Dil Bar Aata Hai To Pher Mujh Ko Rolatay Kiyon Ho

Yeh Aankhain Bhi Ek Dariya Bahati Hain

Yeh Aankhain Bhi Ek Dariya Bahati Hain
Sab Jaanti Hoon Magar Phir Bhi
Kyun Tumko Bhula Nahin Paati
Is Dil Se Teri Tasveer Hata Nahin Paati
Muskurane Ki Koshish Karti Hoon Lekin
Ankhon Ke Motiyon Ko Chupa Nahin Paati
Jab Sochti Hoon Ki
Tum Ho Kisi Aur Ka Muqaddar
Jalan Si Hoti Jise Mita Nahin Paati
Jab Barasta Hai Saawan Toot Ke Kahin
Yeh Aankhain Bhi Ek Dariya Bahati Hain
Sulagti Hai Rooh Teri Ek Jhalak Ko
Is Khwaaish Se Main Dil Ko Bacha Nahin Paati!!!

Aankhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta Nahi Dhuhaan

Aankhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta Nahi Dhuhaan
Uthta To Hai Ghata Sa Barasta Nahi Dhuhaan
Aankhon K Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
Yun Chehra Peher Lene Se Chuhpta Nahi Duhaan
Aankhon Se Aanso?on K Marasim Poorane Hain
Mehmaan Yeh Ghar Main Aayen To Chubhta Nahin Duhaan

Tamanaon Ke Bahlaave Mein Aksar Aa Hi Jaate Hain

Tamanaon Ke Bahlaave Mein Aksar Aa Hi Jaate Hain
Kabhi Ham Chot Khaate Hain Kabhi Ham Muskurate Hain
Ham Aksar Doston Ki Be-Vafaaii Sah To Lete Hain
Magar Ham Jantey Hain Dil Hamaare Toot Jaate Hain
Kisi Ke Sath Jab Bite Hue Lamhon Ki Yaad Aai
Thaki Aankhon Mein Ashkon Ke Sitaare Jhil-Milate Hain

Udas Shaamain

Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulaian Tou Luat Ana
Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagay Kay Aazaab Aain Tou Luat Aana
Abhi Naeye Wadiyoon,Naeye Manzaroon Mein Reh Lo Magar Meri Jaan
Yeh Saray Ik Aik Kar Kay Jab Tum Ko Choor Jain Tou Laut Ana
Jo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoon Ko Lautay Hain
Agar Woh Panchi Koi Dasttan Sunain Tou Laut Ana
Mein Roz Younhi Hawa Pay Likh Likh Kar Us Ki Janib Ye Bayhajta Hoon
Kay Achay Moosam Agar Paharoon Par Muskurain Tou Laut Ana
Agar Andeeroon Mein Choor Kar Tum Ko Bhool Gain Tumharay Sathi
Aur Apni Katir Hi Apnay Apnay Diyay Jalain Tou Laut Ana
Meri Woh Batain Tou Jin Pay Hansta Tha Kilkila Kar
Bicharnay Walay Meri Woh Batain Kabhi Rulaian Tou Laut Ana

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon ?
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon ?
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ?.
Main To Ek Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

Ijazat Hai

Tumhain Janan Ijazat Hai K in Tareek Rahon Par
Thakan Si Khud Mein Pao to Andheron Se Kabhi Dil Dol Jae
Thak Si Jao To Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Bekangal Hathon Se ChOra K Apne Hathon Ko
…Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena
Koi Gar Pooche Mera To Usse Zikar Mat Karna
Mere Jeevan Ki Jalti Dopahar Se Begharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Raton Mein Jugnoo Palti Rehna
Meri Tanhaiyon Ki Wehshaton Ki Fikar Mat Karna
Tumhein Is Ki Ijazat Hai
Mere Sab Khat Jala Dena Mere Tehfoon Ko Darya Mein Baha Dena
Meri Har Yad Ko Dil Se Khurachna Or Mita Dena
Tumhain Bilkul Ijazat hai
K Jab Chaho Bhula Dena Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aisa Na ho Janan To Acha Hai Na………

Na pooch mere sabar ki intaha kahan tak hai

Na pooch mere sabar ki intaha kahan tak hai
tu sitam karle teri taaqat jahan tak hai
wafa ki umeed jinhein hogi unhein hogi
humne tu dekhna hai tu bewafa kahan tak hai..

Jazbaat behkete hain jab tumse milta hu

Jazbaat behkete hain jab tumse milta hu,
Armaan machalte hai jab tumse milta hu
Saath hum dono ka koi bardasht nahi karta,
Sab humse jalte hai jab tumse milta hu
Ankho se tum jaane kya kya keh deti ho,
Toofan se chalte hain jab tum se milta hu
Haatho se hath milte hain hotho se hoth
Dil se dil milte hain,jab tumse milta hu
Aaho me beh jaati hai tanhai ki har raat,
Kai shikve dil me rahte hain jab tumse milta hu

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday,
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil,
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen,
Aise Logon Se Muraw’wat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai……!!!!

Mohabbat Ho Tu Aisi ho

Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!
Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!

yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain
faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!
mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,
talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho

Jab Raat K Tanha Lamhon Mein

Jab Raat K Tanha Lamhon Mein
Koi Aahat Mujh Se Kehti Hai
Is Dil Mein Halchal Rehti Hai
Koi Jugnu Pass Se Guzre To
Koi Baat Halak Se Nikle To
Main Khud Se Ulajhne Lagta Hon
Phir Jaane Kya Kya Kehta Hon
Phir Yaad Uski Aati Hai
Phir Pal Do Pal K Lamhe Ko
Yeh Sans Meri Ruk Jati Hai
Ek Sholah Dil Mein Bharakta Hai
Woh Dard Sehar Tak Rehta Hai
Phir Weham Mujhe Yeh Kehta Hai

Koi Mere Dil Mein Rehta Hai
Koi Mere Dil Mein Rehta Hai

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai…
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai…

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai…
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai…

Har Kisi Ko dekhna Pyar Nehin Hota

Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota,
Har kisi ko dekhna pyar nahi hota,
Yu to milta hai roz mohabbat-e-paigam,
Pyar hai zindgi jo har baar nahi hota…….! !!

Raat Bi Rukti Nehi Din Bi Guzar Jata Hai

Raat Bi Rukti Nehi Din Bi Guzar Jata Hai
Ye Roz-o-Shab Ka Salab Jane Kidhar Hai
Kar k Amadaa Koi Shakhas Safar Par Mujh ko
Apna Rasta Meri Dehleez Par Dhar Jata Hai
Hath Pe Hath Dhare Is Liye Betha Hon
Dil Agar Than Lay Marne Ki Tu Mar Jata hai
Subha Hote Hi Uchak Lete Hain Alfaz Mujhe
Mera Har Din Kisi Misra Mein Guzar Jata hai
Chand Bi Sath Nibhane Mein Hai Sayah Ki Tarha
Ye Bi Har Shakhas ko Chodne Ghar Jata hai
Dil Mein Rekhta Hon tu Arman Namoo Pate Hain
Lab Pe Lata Hon Mein Jazbe Tu Asar Jata Hai
Mein Bhatanke Se Fiqat Is Liye Darta Hon
Mein Jidhar Jata Hon Har Shakhas Udhar Jata hai.

Janta Hon K Tum Ho Pal Do Pal Ke Liye Mere Sath

Janta Hon K Tum Ho Pal Do Pal Keliye Mere Sath
Phir Bi Tujh Se Batein Karna Acha Lagta Hai
Janta Hon K Kab Tune Dur Talak Mere Sath Chalna hai
Phir Bi Ye Dil Teri Or Mujhe Kheechta Ja Raha Hai
Janta Hon K Ye Anjan Si Dosti kuch Nehi Hai Tere Liye
Phir Bi ye Dil Teri Dosti Se Mutmain Sa Hai
Janta Hon K Tum Ho Mahar Khail-e-Mohabbat Mein
Phir Bi Tujhe Apna Sa Kehan Acha Lagta Hai
Janta Hon K Tumhein Khoob Aata Hai Wada Wafaa Karna
Phir Bi Socta Hon Tujhe Wo Tera Wada Dosti Tu Hai
Janta Hon K Tum Khoob Likhti Ho shayari
Phir Bi Tum Par Gazal Likhna Acha Lagta Hai
Janta Hon K Tum Janti Ho Ye Pyar Mohabbat Kia Hai
Phir Bi Mohabbat Se Mera Dur Bhagna Abb Mujhe Pass Bulta Hai
Janta Hon K Tum Nehi Ho Abb Bi Mukamil Aye Dua
Phir bi Mujhe Tujhi Ko Sumbhalna Acha Lagta Hai

                                    ( Nazim Ali )

Thursday, February 17, 2011

Tumhari is ada ka kya jawab du

Tumhari is ada ka kya jawab du,
Apne dost ko kya uphar du,
Koi acha sa phool hota to mali se mangwate,
Jo khud gulab hai usko kya gulab du…
Rab ne jab tujhe banaya hoga
Ek surur uske dil mein aya hoga,
Sochta hoga kya doonga tohfe mein tujhe,
Tab usne mujhe banaya hoga.
Kaash ham SMS hote,
Ek click mein tumhare paas hote,
Bhale tum hame delete kar dete,
Par kuch pal ke liye ham tumhara ehsas to hote…!
Tanhaion me unko hi yaad karte hain,
Wo salamt rahe yahi fariyad karte hai,
Ham unke hi mohabbt ka intzar karte hai,
Unko kya pata hum unse kitna pyaar karte hai.
Ek din hamare annsoon humse pooch baithe,
humey roz -roz kyon bulate ho,
Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho.
Har phool ki ajab kahani hai,
chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai,
lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai
Kismat par aitbar kisko hai,
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
Kuch majburian hain mere dost,
Warna judai se pyaar kisko hai
Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga,
Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein,
Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein,
Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein.
darte hai aag se kahi jal na jaye
darte hai khwab se kahin toot na jaye
lekin sabse ziyada darte hai aapse
kahin aap hume bhool na jaye..

Faqat ek baat kehna chahta hun

Faqat ek baat kehna chahta hun
Teri ankhon main rehna chahta hun
Bohat jaag chuka hun tere hijr main
Tere anchal main sona chahta hun
Zamane bhar ki khushian aur ter gham
Ye gham kuch aur sehna chahta hun

Is dil ka kaha mano 1 kaam ker do

Is dil ka kaha mano 1 kaam ker do,
1 bay naam si mohabbat mere naam kar do,
Meri zaat pay faqat itna ehsaan kar do,
Ghar say naha k niklo, poray muhallay ko hairaan kar do

Zindgi per kitab likhunga…

Zindgi per kitab likhunga…
Us mai sarey hisab likhunga….
Pyar ko waqt guzari lik kar…..
Chahton ko azaab likhunga..,
Hui barbad m0habbat kaisey….
Kaisey bikhry hain khuwab likhunga…..
Apni khwahish ka tazkra kar k….
Naam tera jawab likhunga….
Teri ankhain sharab ki manind…..
Tera chehra gulaab likhunga….
Mai tuj se judai ka sabab….
Apni kismat kharab likhunga…

Zindgi per kitab likhunga…

Zindgi per kitab likhunga…
Us mai sarey hisab likhunga….
Pyar ko waqt guzari lik kar…..
Chahton ko azaab likhunga..,
Hui barbad m0habbat kaisey….
Kaisey bikhry hain khuwab likhunga…..
Apni khwahish ka tazkra kar k….
Naam tera jawab likhunga….
Teri ankhain sharab ki manind…..
Tera chehra gulaab likhunga….
Mai tuj se judai ka sabab….
Apni kismat kharab likhunga…

Tanhai Bani Muqader

541×406

Ashkoun Ko Aankhoun Me Aur Gham Ko

Dil Me Chupaye Naa Rakhte Toh Aur Kya Karte

Unki Yaad Ko Seene Me Dabaye Naa Rakhte

Toh Aur Kya Karte

Samjha Diya Aaqir Keh Keh Kar Ye Pagal Dil Ko

Kya Zaroori Tha Woh Bhi Tujh Se Wafaa Karte

Mein Nahi Hoon Teri Qismat Me Ye Kaha Humse

Hum Bhala Qismat Ko Naa Thukrate Toh Kya Karte

Woh Keh Rahe The Bura Humko Humare Saamne

Hum Qudko Bura Naa Kehte Toh Aur Kya Karte
Wafaa Kya Hoti Hai Puchte Rahe Humse

Hum Bhala Bewafaa Ko Yeh BataKe Kya Karte

Tanhai Bann Gayi Apna Muqaddar

Yeh Apne Dil Ko Naa Samjhate Toh Kya Karte

Dard-e-Mohabbat

300×323
" Dard-E-Mohabbat "

Tu Ne Chonk Kar Har Simt Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-E-Mohabbat Ne Sadaa Di Hogi
Yeh Jo Moti Baraste Hain Teri Yaad Me Aksar
Badaloun Ne Meri Aankhoun Ko Dua Di Hogi
Jhilmil Hui Aankh Jo Ek Baat Sonchi Mein Ne
Hawa Ne Jaakar Usse Zaroor Batadi Hogi
Zikr Aaya Jo Kabhi Mera Uski Mehfil Me
Kafiyat Mitane Ko Ussne Baat Ghooma Di Hogi
Woh Raah Se Guzra Magar Palat Ke Bhi Naa Dekha
Aaqri Umeed Mareez-E-Ishq Ki Bujha Di Ussne
Aye Dil Tu Sadaa Raha Khush Fahem Laikin
Ussne Surat Bhi Meri Bhuladi Hogi
Naam Koi Naa Le Meri Zindagi Ka Yahan
Shaher Me Ussne Manadi Karwa Di Hogi

Tum Yaad Bohat Hi Aate Ho

300×225
*

*

*
Tum Yaad Bohat Hi Aate Ho
Jab Shaam K Saaye Dhalte Hain
Jab Soraj Doobne Lagta Hai
Jab Neele Neele Ambar Pe
Ek Laali Si Cha Jati Hai
Jab Sard Hawa K Jhonko Se
Dil Moam Sa Pighla Jata Hai
Us Waqt Ka Aalam Mat Poocho
Tum Yaad Bohat Hi Aate Ho
Tum Yaad Bohat Hi Aate Ho.

Mohabbat hoon Mohabbat

Mohabbat hoon Mohabbat
karke dekh
Main Mohabbat na doon
To kehna

Main muskurahat hoon Mujhe
Hansa kar dakh
Na sajoon tare honton per
to kehna

Main khushboo hoon mujhe
Mehsoos karke dekh
Na mehkoon tari zindagi main
to kehna

Main Dil hoon mujhe
Sun ker dekh
Na dhakoon Tere Dil main
to kehna

Main phool hoon mujhey
Laga ker dekh
Na mehkoon din raat
To kehna

Main mohabbat hoon mujhe
Apna karke dekh
Na banoo main teraa
to kehna

Khushbuon ki tarha

Khusbuon ki tarha meri har saans main

piyar apna basanay ka wada karo

ranng jitnay tumhari mohabbat kay hain

meray dil main sajanay ka wada karo

hai tumhari wafaon pay mujko yakeen

phir bhi dil chahta hai meray dil nasheen

yoonhi meri tasali ki khatir zara

mujko apna bananay ka wada karo

jab mohabbat ka iqrar kartay ho tum

dhadkanoon main naya rang bhartay ho tum

baarha kar chukay ho, magar aj phir

mujhko apna bananay ka wada karo

sirf lafzoon say iqrar hota nahi

ik janib say hi piyar hota nahi

main tumhain yaad rakhnay ki khaon qasam

tum mujko na bhulanay ka wada karo

JAAGI SOYI AANKHON WALA

JAAGI SOYI AANKHON WALA
DIL MEN UTARTA JATA HAI

KITNE KOMAL KOMAL CHEHRE
MERI RAAH MEN AAYE HEN

LEKIN WOH 1 SUNDAR CHEHRA
SAPNO MEN AAJATA HAI

USKA DARD CHHUPA KAR DIL MEN
GHAZLEN LIKHTA REHTA HUN

HAR MOSAM KI PEHLI BARISH
USKI YAAD DILATI HAI

BAAD-E-SABA KA HAR 1JHONKA
USKI US SE MJHE MILATA HAI

TU KYA JAANE PAGLI KOYAL
KOUN MUJHE TARPATA HAI?

Kaise Batayein

Kaise Batayein,
Kyu Tujh ko Chahe,
Yaara bata na Paaye

Baatein dil o ki,
Dekho Jo Baaki,
Aankhein tujhe Samjhaye

Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na

mil ke bhi,
Hum na Mile,
tumse na jaane Kyu,
Milo ke hai Fansle..

Tumse Na jaane kyu
Anjaane Hai SilSile,
Tum Se Na Jaane Kyu,
Sapno hai Palko Tale,
Tum Se Na Jaane Kyu,

Kaise Batayein,
Kyu Tujh ko Chahe,
Yaara bata na Paaye

Baatein dil o ki,
Dekho Jo Baaki,
Aankhein tujhe Samjhaye

Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na

Nigahon mein dekho,
jo hai bas gaya,
woh hai milta tumse,
hu ba hu..

Jaane teri Aankhein thi,
ya baatein thi,
Wajah..
hue tum jo,
dil ki aarzoo

hum pass ho ke bhi,
tum aas ho ke bhi,
ehsaas ho ke bhi...
apne nahi..
aise hai hum ko gileh..
tumse najaane kyu..

meelo ke hai fansle
tum se na jaane kyu..

tu jaane na..
tu jaane na..
tu jaane na..

ohh
jaane na.
jaane na, jaane na
tu jaane na..

Khyalon mein laakohn baatein,
yu toh keh gaya,
bola kuch na tere sahmney..

hue na begaane bhi tum hoke,
aur dekho tum mere hi na bane..
afsos hota hai,
dil bhi yeh rota hai

Sapne sanjota hoa..
pagla hua,
soche yeh..
hum the mile
tume se na jaane kyu,

meelo ke hai fansle
tum se na jaane kyu..
anjaane hai silsile,
tumse najaane kyu,
sapne hai palko tale,
tumse najaane kyu..

Kaise Batayein,
Kyu Tujh ko Chahe,
Yaara bata na Paaye

Baatein dil o ki,
Dekho Jo Baaki,
Aankhein tujhe Samjhaye

Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na.

Thoda Tehar

Thoda Tehar
Thoda Tehar
Sun le zara
Sun le zara

Dil keh raha
Dil keh raha

De na Saja
Yun bewaja
Rooth kar mujhse na ja abhi
Bhool kar Shikwa Gila sabhi pyaar ka
Aaja jaoo meri tamana
Bahaon mein aao
KE ho na paye juda hum
Aise mujh mein samao

Hoo HAr ghadi lag rahi teri Kami
Le chali ki gali yeh zindagi
Hai pata lapata hoon pyaar mein
Ankahi ansuni chahat jagi
Jo hua phele hua nahi
Aaj tum Kar lo zara yakin pyaar ka

Aaja jaoo meri tamana
Bahaon mein aao
KE ho na paye juda hum
Aise mujh mein samao

hoo Rut Jawan Dil jawan
Hasrat jawan
Tu hai to yeh bhi hai sare jawan
Woh nagar Woh dagar ho gi hassen
Tu mile pyaar se mujhko jahan
Pana hai tujhko yeh dil kahe
Har ghadi ab to nasha rahe pyaar ka

Aaja jaoo meri tamana
Bahaon mein aao
KE ho na paye juda hum
Aise mujh mein samao.

Aisa Tu Mumkin Hi Nehi Hai k Bhula Day Tum Ko

Aisa Tu Mumkin Hi Nehi Hai k Bhula Day Tum Ko
Bass Baat Itni Si Hai K Hum Majboor Bohat Hain
                                                     ( Nazim Ali )

Meri aankhon k samandar main jalan kaisi hai

Meri aankhon k samandar main jalan kaisi hai
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai
ab kisi chhat pe charaghon ki roshni bhi nahin
ab tere sheher ki galiyon main ghhutan kaisi hai
barf k roop main dhal jaaenge saare rishte
mujh se pouchho k mohobbat ki agan kaisi hai
main tere wasal ki khuwahish ko naa marne dunga
mosam_e_hijr k lehje main thakan kaisi hai
regzaaron main jo bunti rahi kaanton ki rida
usski majboor si aankhon main kiran kaisi hai
mujhe maasoom si larki pe taras aata hai
usse dekho tau mohobbat main magan kaisi hai

Tuesday, February 15, 2011

subah ro ro ke shaam hotii hai

subah ro ro ke shaam hotii hai
shab ta.Dap kar tamaam hotii hai

saamane chashm-e-mast ke saaqii
kis ko parvaah-e-jaam hotii hai

ko_ii Gunchaa khilaa ke bul-bul ko
bekalii zar-e-daam hotii hai

ham jo kahate hai.n kuchh ishaaro.n se
ye Khataa laa-kalaam hotii hai

subah ro ro ke shaam hotii hai

subah ro ro ke shaam hotii hai
shab ta.Dap kar tamaam hotii hai

saamane chashm-e-mast ke saaqii
kis ko parvaah-e-jaam hotii hai

ko_ii Gunchaa khilaa ke bul-bul ko
bekalii zar-e-daam hotii hai

ham jo kahate hai.n kuchh ishaaro.n se
ye Khataa laa-kalaam hotii hai

yaa mujhe afsar-e-shaahaa na banaayaa hotaa

yaa mujhe afsar-e-shaahaa na banaayaa hotaa
yaa meraa taaj gadaayaa na banaayaa hotaa

[afsar-e-shaahaa=royal officer; gadaaya=like a beggar]

Khaak_saarii ke liye garache banaayaa thaa mujhe
kaash Khaak-e-dar-e-jaanaa.N na banaayaa hotaa

nashaa-e-ishq kaa gar zarf diyaa thaa mujh ko
umr kaa tang na paimaanaa banaayaa hotaa

[zarf=knowledge; tang=short]

apanaa diivaanaa banaayaa mujhe hotaa tuune
kyo.n Khirad_mand banaayaa na banaayaa hotaa

sholaa-e-husn chaman me.n na dikhaayaa us ne
varanaa bul_bul ko bhii paravaanaa banaayaa hotaa

roz-e-mamuuraa-e-duniyaa me.n Kharaabii hai ’Zafar’
aisii bastii se to viiraanaa banaayaa hotaa

koii davaa na de sake, mashvaraa duaa diyaa

koii davaa na de sake, mashvaraa duaa diyaa
chaaraagaro.n ne aur bhii dil kaa dard ba.Dhaa diyaa
zauq-e-nigaah ke sivaa shauq-e-gunaah ke sivaa
mujhako Khudaa se kyaa milaa mujhako buto.n ne kyaa diyaa
thii na Khizaa.N kii rok-thaam daaman-e-iKhtiyaar me.n
hamane bharii bahaar me.n apanaaa chaman luTaa diyaa
husn-e-nazar kii aabaruu san_at-e-braahamaNn se hai
jisako sanam samajh liyaausako Khudaa banaa diyaa
daaG hai mujhape ishq kaa meraa gunaah bhii to dekh
usakii nigaah bhii to dekh jisane ye gul khilaa diyaa

dil-e-pur_aarazuu naakaam hokar

dil-e-pur_aarazuu naakaam hokar
zyaadaa Khuubasuurat ho gayaa hai
karam aise kiye hai.n dosto.n ne
ki har dushman pe pyaar aane lagaa hai
teraa Gam to merii jaan-e-tamannaa
terii suurat se ba.Dhakar dil_rubaa hai
jab aaye to ujaalaa ho gayaa thaa
gaye to phir vahii ghar kii fazaa hai
nahii.n hai apanaa Gam ai "Shad" jab se
zamaane bhar kaa Gam apanaa liyaa hai

dil-e-pur_aarazuu naakaam hokar

dil-e-pur_aarazuu naakaam hokar
zyaadaa Khuubasuurat ho gayaa hai
karam aise kiye hai.n dosto.n ne
ki har dushman pe pyaar aane lagaa hai
teraa Gam to merii jaan-e-tamannaa
terii suurat se ba.Dhakar dil_rubaa hai
jab aaye to ujaalaa ho gayaa thaa
gaye to phir vahii ghar kii fazaa hai
nahii.n hai apanaa Gam ai "Shad" jab se
zamaane bhar kaa Gam apanaa liyaa hai

jab bhii us gul-badan kii yaad aa_ii

jab bhii us gul-badan kii yaad aa_ii
ho ga_ii pur-bahaar tanhaa_ii
chau.Nk uThe haadasaat duniyaa ke
mere ho.nTho.n pe jab ha.Nsii aa_ii
jab kisii ne tumhaaraa naam liyaa
jaane kyuu.N mujh ko apanii yaad aa_ii
dekh ai sheKh mere saaGar me.n
apanii jannat kii jalvaa-faramaa_ii

hosh me.n "Shad" jab tujhe paayaa
tujh me.n ham ne terii kamii paa_ii

phir is duniyaa se ummiid-e-vafaa hai

phir is duniyaa se ummiid-e-vafaa hai
tujhe ai zindagii kyaa ho gayaa hai
ba.Dii zaalim nihaayat bevafaa hai
ye duniyaa phir bhii kitanii Khush-numaa hai
har ik apane hii Gam me.n mubtilaa hai
kisii ke dard se kaun aashnaa hai
mere naqqaad merii shaayarii to
mere TuuTe huye dil kii sadaa hai
kahaa.N huu.N "Shad" mai.n to shaad saa huu.N
vo shaad-e-Khush-navaa to mar chukaa hai

jiite rahane kii sazaa de zindagii ai zindagii

jiite rahane kii sazaa de zindagii ai zindagii
ab to marane kii duaa de zindagii ai zindagii

mai.n to ab uqtaa gayaa huu.N kyaa yahii hai qaayanaat
bas ye aa_iinaa haTaa de zindagii ai zindagii

Dhuu.NDane nikalaa thaa tujh ko aur Khud ko kho diyaa
tuu hii ab meraa pataa de zindagii ai zindagii

yaa mujhe ehasaas kii is qaid se kar de rihaa
varnaa diivaanaa banaa de zindagii ai zindagii
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...