Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, February 24, 2011

mila khushboo ko gul ka raasta ahista ahista

mila khushboo ko gul ka raasta ahista ahista
bani uski rifaqat ki fiza ahista ahista
yeh khamoshi tu meray dil ki deewaarein gira degi
mohabbat ho na ho per lab hilay ahista ahista
achanak shakh-e-dil teri veeraan na ho jaye
parinday meri yaadon kay ura ahista ahista
yeh socha tha kay zakham-e-dil badan main phel jaaye ga
magar tunay madawah kar diya ahista ahista
achanak saamnay pa kar kahiin saansein na ruk jaayein
meri aankhon se haath apnay hata ahista ahista
bas ik tere khayal-o-khawab ka jugnoo tha phir woh bhi
meri aankhon se ujhal ho gaya ahista ahista
meri aankhon ki baarish tham gayi tab aasmaano per
teri chahat ka haala ban gaya ahista ahista

1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...