yeh kaisa khauf tha ka rakht-e-safar bhi bhool gaye
woh kaun log the kay apnay ghar bhi bhool gaye
yeh kaisi quvat-e-parvaaz dar ne paida ki
parinday urtay huye apnay par bhi bhool gaye
dukhon ne cheen li aankhon ki saari benaayi
hum uska sheher tu kya reh guzar bhi bhool gaye
khayal tha kay sunaayein gay haal-e-dil laiken
hum uskay saamnay arz-e-hunar bhi bhool gaye
juda huye tu khula hai tumhari basti main
hum ik dil hi nahiin chashm-o-tar bhi bhool gaye
No comments:
Post a Comment