Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, February 18, 2011

kahan hai manzil-a-rah-a-tamanna hum bi dekhein gey

kahan hai manzil-a-rah-a-tamanna hum bi dekhein gey
yeh shub hum per bhi guzray gi, yeh farda hum bhi dekhen gey
tehr ay dil jamal-a-rooay zeba hum bhi dekhen gey
zara saiqal to ho ley tashnagi bada gusaron ki
daba rekhen gey kab tak josh-a-sehba hum bhi dekhen gey
utha rukhen gey kab tak jaam o mina hum bhi dekhen gey
sala aa to chukay mehfil mein ous koay malamat sey
kisay rokay ga shor-a-pind-a-bayja hum bhi dekhen gey
kisay hai ja kai lout aanay ka yara hum bhi dhekhen gey
chalay hain jan o imaan aazmanay aaj dil waley
woh layen lasker-a-aghyar o aada hum bhi dekhen gey
woh aayein to ser-a- maqtal tamasha hum bhi dekhen gey
yeh shab ki aakhri saat graan kaysi bhi ho humdum
jo is saat main pinhaan hey ujala hum bhi dekhen gey
jo farq-a- subh per chamkay ga tara hum bhi dheken gey

2 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...