Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, November 25, 2011

Two Lines Poetry


jo bah jata to ker daita tah o bala dunya ko…
wo ik ansoooo,taray janay pay jo,palkon pay thahra tha…



“Yad e mazi azab hai YA RABB!!!…

Cheen ly mujhsey hafiza mera”


Aj to bay-sabab udaas hai Ji
Ishq hota to koi baat bhi thi..



hum aah bhi karte haiN to ho jaate haiN badnaam
woH qatal bhi karte haiN to charcha nahiN hota



Sab Ke Haunto Pe Tabasum Tha Mere Qatal Ke Bad
Jane Kya Soch Kar Rota Raha Qatil Mera



“Kisi ko jorney mai itnay magan thy hum…Mohsin…
hosh tab aya jab apnay Wajood k tukrey Dekhay”



Main to na tha uska talabgar kabhi bhi ‘Mohsin’.
Kashish hi us mein kuch aisi thi, ke zidd bangaya wo meri…!



Apne K Dilon Main Mehr-o-Muhabat Na Kar Talash,
Yeh Baat Kis Khaloos Se Begana Keh Giya…



sikandar khush nhy hey loot ker dolat zamaney kii
qalandar dono hathoon sey lutaa ker raqss kerta hy



Itnay jhatky say tu parbatt bhi ukharr jaty hain,,,,
Tu ne dheeray say tu daaman kO churraya hOta….



Main Shehar Bhar Main Aik Hi Aziyet Pasand Hoon “Mohsin”
Gar Chahye Dua Kisi Ko To Mera Dil Dukheye……….!



Tareeqa Yeh Nikala Hai Un Se Izhar-e-Shikayat Ka,
Labun Ko Si K Chashm-e-Shoq Men Rakh Di Zuban Maine.



Bachoon Si Tabiaat Hai Hum Ehl-e-Mohabbat Ki
Zid Krna,Machal Jana, phir Khud Hi sambhal jana.



Khamosh bethay hain to log kehtay hain udaasi acchi nahi..Mohsin…
Zara sa hans lein to log muskurane ki wajah pooch lety hain……..



Aseb zada ghar ka main wo dar hun Mohsin,
Deemak ki tarah kha gayi jise dastak ki tamanna

Mujhe Maloom Nahi K Meri Aankho ko Kyun Talash Kisi Ki Hai,,Mohsin
Usy Dekhta Hun To Manzil ka Gumaan Hota Hai..



Yeh Lehja, yeh Adawat yeh Tarz-e-Mohabbat Tumhara….
. Mohs?n.
Samajh paon to Bikhar jaon, Na samjh0n to Ulajh jaon …



wo mujh ko toot k chahay ga, chorh jaye ga
mujhe khabar thi usse ye hunar bhi ata hai.



Bichar kay wO rOz milta hai mujhey Khuwab-e-Nagar main,,,
Agar ye nend naa hOti tu mar gay hOtay…..



Hamare ghar pe girti bijliyon ko kya khabar Mohsin,
Ke is malbe pe ek taaza nagar tameer hona hai…



Maza deti hain unko Zindagi ki thokrain…Mohsin….
Jinhain Naam-e-Khuda le ker Sambhal janay ki aadat ho.



Kitnay hi dil ujaar baitha hai….
is ishq ko maot kyu nahi aati..



Aye Sanam Teri Muhabbat Ka Suroor Itna Tha Key..
Hosh Hi Na Raha K Rusva Ho Rahe They Hum!!



Bohat “Roya” kray ga wo Hijar ki weeran raton Main,,
hamari Qurbatoon k Jab Saharay “choot Jain gay…



Suna hOga tumne kisi se ,,Sb,ke Dard ki ek Hadd hOti hai,
Milo humse ke hum akser us hadd ke paar jatey hain



Na jaane kyun gale se lipat kar rone laga jab hum barson baad mile,
Jaate hue jis ne kaha tha.. ?K Tum Jese Laakhon Milenge?!!!



Daulat E Dard ko duniya se chupa kar rakho
Aankh mein aansu na ho aur dil mein samandar rakho



Suna hOga tumne kisi se,ke Dard ki ek Hadd hOti hai,
Milo humse ke hum akser us hadd ke paar jatey hain….



Tere khuloos ne barbaad kr diya hy
Fareb dety to kab k Sambhal Gaye Hote



Tum se bichar kar zehan aisa howa muntashir
Ky logo se apnay ghar ka pata pochna para

1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...