Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, February 24, 2011

hawa ko likhna jo agaya hai

hawa ko likhna jo agaya hai
ab uski marzi kay woh khizaan ko bahaar likh de
bahaar ko intezaar likh de
safar ki khawahishon ko wahmo kay azaab se humkunaar likh de
wafa kay rastay pe chalnay walon ki kismaton main ghubaar likh de
hawa ko likhna jo agaya hai
hawa ki marzi kay wasal mausam main hijr ko hissa daar likh de
mohabbat main guzarnay waliruton ko na payedaar likh de
shajar ko kam saayadaar likh de
hawa ko likhna jo agaya hai
ab uski marzi kay woh humaray diye bujha kar
shabon ka ba ikhtiyaar kar kay seher ko be aitebaar likh de
Hawa ko likhna sikhanay walon
hawa ko likhna jo agaya hai....

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...