Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, February 22, 2011

kahiin kartay nahiin izhaar chup hain

kahiin kartay nahiin izhaar chup hain
humein tu hukum hai sarkaar chup hain
kahaani kuch batana chahti hai
magar uskay sabhi kirdaar chup hain
buhut hai barish-e-sang-e-malamat
maagar hum surat-e-kohsaar chup hain
abhi tak hai buhut mehfooz qatil
kay muqtal kay darodeewaar chup hain
pata rehzan ka khulqat poochti hai
magar basti kay peheraydaar chup hain
wahi mausam wahi zanjeer-e-shab hai
magar yeh log kyun is bar chup hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...