Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 23, 2011

uskay honay ka yaqeen jab humsfar ban jaaye ga

uskay honay ka yaqeen jab humsfar ban jaaye ga
dekh lena dasht main bhi ik ghar ban jaaye ga
yun tu dono hi shinasa hain junoon kay wasaf se
be dili yun hai kay yeh sab dard-e-sar ban jaaye ga
us ki baaton ko ujaala uski khushboo ka surwar
hijraton kay safar main rakht-e-sfar ban jaaye ga
subhadam uska badan tha meri khushboon ka safeer
kab gumaan tha wasal itna mautbar ban jaaye ga
dheeray dheeray dekhna ik din wafa ka silsila
kashti-e-dil kay liye ghum ka bhunwar ban jaaye ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...