kisi aur kay khawab nahiin dekhay kisi aur ko kab apnaya hai
phir apni dil ki galiyon main teri yaad ka diya jalaya hai
ik muddat baad milay ho tum ehsaas-e-nadamat main doobay
aankhein bhi bheegi bheegi hai chera bhi utra utra hai
teri yaad ki ujri basti main tanhayi ki gehri raaton main
aik dep abhi tak roshan hai ik zakham abhi tak gehra hai
har lamha dhoonti rehti hain meri aankhein teri aankhon main
woh baat jo main samjha na saki woh hurf jo ab tak zinda hai
bachpan main jis kay baghon main hum titli jugnoo keh laaye
woh sundar galiyaan kaisi hain gulshan ka naqsha kaisa hai
meray aangan se tere mehlon tak halaat faseelein hayil hain
meray gaon kay apnay naqshay hain tere sheher ka apna naqsha hai
No comments:
Post a Comment