Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, February 22, 2011

azaab-e-darbadri se nikalna chatay hain

azaab-e-darbadri se nikalna chatay hain
ab uskay khema-e-khushboo main rehna chahtay hain
sada-egul ki tarhan mauja-e-saba ki tarhan
teri gali se kisi din guzarna chahtay hain
talaash-e-rizq main bhatki huitakaan kay baad
parinday apnay gharon ko palatna chahtay hain
humein na dekh zamanay ki garz aankhon se
tujhay khabar nahiin kay hum tujhko kitna chahatay hain
wafa hai shat tu phir apnay darmiyaan ab bhi
yeh log kis liye deewaar rakhna chahtay hain
umeed-e-sheher salamat musahibaan samait
hum ahl-e-sabar unse mukarna chahtay hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...