mere mehboob
meri simat na dekh
meri ankhon ko bhi nam rehne de
terk-e-khawahish ka bharam rehne de
phir phigal jaye na seenay main yeh dil
kitni muddat se bhulaya hai machalna isko
kitni mushkil se sikhaya hai kay jeenay kay liye
yun mohabbat se dharaknay ka hunar
rayegaani kay siva kuch nahiin
ik tamasha hain woh saaray nazaaray
jin kay chehre pe hon taqdeer kay naraaz naraaz naqoosh
ab to tu khud se mukarnay de mujhe
mere mehboob nahiin aur nahiin
jism ko raakh na kar shola na bana
yun meri simat na dekh
No comments:
Post a Comment