Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 23, 2011

aablay poochtay hain paaon se

aablay poochtay hain paaon se
kia milay ga tumhen wafaaon se
in mundeeron pe kuch chiraagh bhi the
kaun poochay ga ab hawaaon se
bastiyaan zeer-e-aab aati gayi
hont jaltay rahay duaaon se
titliyaan kyun safar main rehti hain
betiyaan poochti hain maaon se
abar pevand-e-khak lagta hai
rait girnay lagi khalaon se
bhook ki dhoop hum ko kha jaati
bach gaye mehnaton ki chaaon se
dil ne hijrat qabool karli thi
hoslay ho sakay na paaon se

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...