Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 23, 2011

mujh ko ruswa sare mehfil to na kerwaya kare

mujh ko ruswa sare mehfil to na kerwaya kare
kaash ansoo meri ankhon mai hi reh jaaya kare
ai hawa maine to bas uska pata poochha thaa
ab kahaani to na har baat ki ban jaaya karey
bas bahut dekh liye khwaab sunaahey din ke
ab wo baton ki rifaqat se na behlaaya karey
ik museebat to nahee tootee hai so is dil per
jis qayamat ne guzarna hai guzar jaaya karey
dil ne ab soch liyaa hai ke yeh zalim duniaa
jo bhi kerna hai karey mujh ko na uljhaya karey
jis ke khwabon ko mai aankhon mai saja ker rakkhoon
uski khushboo kabhi mujh ko bhi to mehkaaya karey

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...