Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 23, 2011

bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun

bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun
Jo tu nahee hai to phir tera intezaar bhi kiun
Akelepan ka safar jab mera muqaddar hai
To phir ai waada shikan teri rehguzaar bhi kiun
Usey ganwa ke raho ab khizaon ki zad mai
Jo wo nahee hai to phir mausam-e-bahar bhi kiun
Agar bhulaye huye usko aik umr hui
To phir yeh aaj tabiyet hai sogwaar bhi kiun
Wo jin labon pe yaqeene wafa mehek na sakey
Phir unke lams ki khahish ho aik baar bhi kiun
Jab usko shauq tha raston ki dhool honey ka
Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kiun

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...