Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, December 18, 2012

Shairy with Translation in English

Khud ko kar buland itna,
ki har taqdeer se pehle,
khuda bandey se khud poochey,
bataa, "Teri raza kya hai?"

Translation:
Oh man! wake up and make yourself so strong that,
God himself will ask you before he pens your destiny
"tell me ye man,
what you want your destiny to be!"


Har ek paaon mujhe Raundete huye guzre, Na jaane kaun si manzil ka rasta hoon main.

Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo,
Saza mili hai hume muskurane ki !




Aasmaan aaj phir se roya hai,
Naakaam Aashiqon ke haar mein ek aur moti piroya hai,
Koi to bataaye kahan mera mehboob khoya hai,
mohabbat ki kabr mein mera yeh pyaar soya hai.

Mohabbat ke naam se darte thhey
Dil ki dhadkan dhadka gaya koi
Hum anjaani raahon pe chal rahe thhey
Achaanak hi manzil dikha gaya koi

Mere saath tum ho ya meri parchhaai hai
Na jaane kis mukaam pe mohabbat humein le aayi hai
Bheed mein hoon phir bhi kyun tanhai chhai hai



Haaton mein leeye paemana, jaam dhoonda karta hoon.
Tere sang gujarne ko, ek saam dhoonda karta hoon.

Duniya wale humare rishtey ko, yu hee badnaam karte hain.
Ke main eis rishtey ko, dene ek naam dhoonda karta hoon.

Teri khwaabon mein, goojartei hain raaten.
Teri yaadoin mein, kattei hain shaam.

Tere-mere baare, log karte hain baatein.
Aise-jaise, yahan charcha ho koi aam.



Ishq to khud hee ho jaata hai…
Dil bhi apna kho jaata hai…
Jab aisa ho jaata hai…
To dil bekaraar ho jaata hai.

Kyun hota hain humko pyaar…
Mujhko nahi pata yaar.

Itna zaroor pata hai mujhko…
Ek din ye bhi hoga tumko.

Jab hoga tumko pyaar…
Hawa mein udoge tum bhi yaar…
Khush rahoge hardam tum…
Pyaar karoge pyaar se tum.

Aaj tumne jisko dekha hai…
Shayad who hee tumhara apna hai…
Abhi chalega pata nahi…
Intezaar mein rahna har ghadi



Intezaar to kareiN ke jab vo aaye bhi
Bhool jaayeiN hum chhodeiN jo mere saaye bhi

Kal subah yeh zindagi jo na rahi
Tamaasha dekheNge apne aur paraaye bhi

Vo gair hai to gair ban-na bhi seekh le
YaadoN meiN aake baar-baar aazmaaye bhi

Kehta hai duniya ko chhoD dega humeiN
MuD ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi

Yeh kaisa khuda hai mere dosto
Khud hi lagaaye aag, khud hi bhujaaye bhi

Shikwa bhi to kya kareiN hum kisi se
Khoya ik humsafar to lakhoN rehnuma paaye bhi



aaj fir dil hai kuchh udaas udaas
jaane kyun ek mayusi si chhayi hai
aaj fir palkon pe pani hai
bheer mein hoon fir kyun ye tanhai hai



Zindgi mein to tumhari aa na sake, ab khwaabon mein chale aate hain
Tum laakh nazrein pher lo sanam, hum phir bhi chale aate hain

Kahne ko to tum bhul chuki thi, phir bhi anjaane mein pukarti ho
Tum kabhi bhuli nahin thi, sirf jaankar anjaane mein pukarti ho

Mann to mann hai, mann ko kya kahena
Hum aayenge sapno mein, sapno ko kya kahena

Azeez bewafa nahin, tum paas aao ya na aao,
Wo mar ke bhi mara nahin, uski yaadon ko gale se lagao......!!



Aanken band kar bhi, hum tera deedar karte hain,
Aye sanam, hum to sirf tum se pyar karte hain.
Lakh chaah kar bhi main tujhe bhula nahi sakta,
Saans rahte, teri tasvir aankhon se hataa nahi sakta.
Aakhiri pal tak o bewafaa, tujehe yaad karta hoon,
Teri yaadon ko seene mein basaa kar chalta hoon.



Tu ne yeh mashvara suna hai kya?
Zindagi ishq ke siwaa hai kya!

Kaatli sab sazayein ab to bataa,
Aye sitamagar, mera gunaah hai kya?

Aah mehfil mein naa nikalne di ,
Chhup ke rona bhi kuchh gunaah hai kya?

Umr bhar na mila hai mujhko sukoon ,
Maut hi aakhiri panaah hai kya?

Aye mere jurm ginaane wale
Tere ghar koi aaina hai kya?

Chaand itna udaas dhundhala tu,
Mujhse zyaada, tanhaa hai kya?

Ajnabi se woh aaj baithe hain,
Qatl ka yeh hi din chuna hai kyaa ?


Meri ghazal ko shikaayat hai mere sheron se
Jude hue hain is qadar kyon andheron se


Achcha hua ke raah mein thokar hame lagi
hum gir pade to sara zamaana sambhal gaya


Mere khuda mujhe thodi si zindagi dede
Udaas mere janaaze se koi jaa raha hai

Pata nahi tha ki shaayari mein itna dum hai
Pata nahi tha ki shaayari mein itna dum hai
har dil mein kahin chhuppa hua koi gum hai


Beeti baatein dohraanein ki aadat si ho gayi hai,
chalte chalte ruk jaane ki aadat si ho gayi hai...

Hum ko ye bhi yaad nahin, kya khoya hai kya paaya hai,
logon se dhoka khane ki, aadat si ho gayi hai...

Jab dil par koi zakhm laga, khaamosh rahe yaa hasne lage,
hum ko aansoon pe jaane ki, aadat si hogayi hai...

Apni to yeh aadat hai, chup rahte hain, yaa sach kahte hain...
shaayad isi liyee duniya wale humse hamesha khafa rahte hai.


Dost ban-banke mile mujhko mitaane wale
maine dekhe hain kai rang badalne wale

Tumne chup rehkar sitam aur bhi dhaaye mujhpar
tumse achche hain mere haal par hasne wale

Main to ikhalaq ke hathon hi bika karta hoon
Aur honge tere baazaar mein bikne wale

Akhree daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo
phir naa lautenge shab-e-hijr pe rane wale


Jab kashti sali-o-saalim thi to saahil ki tamanna kis ko thi
ab tooti huwi kashti se saahil ka nazaaara kaun kare


Baat itni hai kehdey koi naadano se
aadmi woh hai jo khela kare toofano se


jo na samjha, umar guzar gayi us but-e- kaafir ko samjhaate samjhaate
pighal kar moum ho jaata, agar pathar ko itna samjhaate


Mohabbat chhod di maine, girebaan see liya maine
zamaane ab to khush ho ja, zehar yeh bhi pee liyaa maine


Agar kuch thi to bas itni tamanna aakhri apni
ke tum saahil p hote aur kashti doobti apni


Aye dil zara sambhal ke mohabbat ka naam le
kambhakt dard-e-ishq uthaaya na jayega


Mohabbat mein jo saadiq hain woh kab faryaad karte hain
zubaan pe mehr-e-kahmoshi hai dil mein yaad karte hain


Jee raha hoon kis liye, main is gum-e-zindagi ko,
marke bhi keh na sakoonga, apni kahaani ko!
Chup raha to maar degi mujhe, meri hi tanhaaee,
keh diya to seh na sakoonga main, duniya ki rusvaee!


Puchha hai kai baar kisi ne pata mujhse meri taqdeer ka,
meri mohabbat ke kore kagaz par bani hui tasveer ka!
Na bataa sakaa hoon aur na hi khud jaan sakaa hoon main,
rang un gore hathon mein mere ishq ki laqeer ka!


Ahsaas to hai hamein, judaai mein jeene ka!
magar mazaa aata nahin, sabar ke ghoont peene ka!!


Nazar jhuka ke dekhoon, yaa palke uthaa ke dekhoon!
aye mere mehboob, tujhe mein kis tarah se dekhoon!!


Mere marne ke baad mere seene se dil nikaal lena
kahin woh na jal jaayein jo mere dil mein rahte hain


Mere khune-arzoo ko woh samajh rahe hain paani,
unhe hosh tak na aaya meri loot gayi jawaani.


Jeete hain tumhaara naam lekar,
marna bhi tumhaare naam se hi hoga.
Arthi par kafan hataa kar dekho,
hothon par tera naam hi hoga.


Humein pyaar nibhaana na aayaa to kya hua,
dagha dene ki adaa to koi tumse sikhe


khoob gaye pardes ke apne, deewaar-o-dar bhool gaye,
sheesh mahal me aisa bhi kya, mitti ke ghar bhool gaye...


Hazaro jaam piye hain humne, tumse bichadne ke baad,
par woh nasha nahin jo tumhare hothon se milne ke baad.


Judaai ka pata hota agar pyaar se pehle,
to maut ki dua maangte hum deedar se pehle.


Arz karne ki tamanna to bahut hai,
par alfaaz nahin hai.
Yeh kudrat ke ajeeb karishmein hai,
ke dil mein dard hai, par zubaan nahin hai.


Har ikraar mera tere inkaar se achha hoga
mera har din teri us raat se achha hoga
Na ho yakeen to jhaank lena apni doli se
mera janaaza teri baaraat se achha hoga


Unhone hamein bhule se yaad na kiya
par hamien unki yaad mein sab kuch bhula diya


Unhone wada to kiya that khwaab mein milne ka
yeh to hamari badkismati thi ki hamein neend hi nahin aayee


Rang ho jin mein magar, boo-e-wafa nahin,
aise pholon se ghar apna sajaana hargis nahin.


Umr daraaz maang kar laye the chaar din,
do kat gaye aarzoo main, dop intezaar mein


Yoon jaam pe jaam peene se kya fayda,
subaah to utar jayegi.
Thodi apni aakhon se pila si saqi,
saari umar guzar jayegi.


Main waqt ki mez par ek dard ka guldasta hoon,
bahaar ke baagh main patjhar ka rasta hoon,
aur aajkal zindagi ki fitrat hi kuch aisi hai ki,
aanchal ke saaye mein bhi, dhoop mein phansa hoon...


Jis kadar chhod diya karte the paimaane mein
aaj to utni bhi nahin hai tere maikhaane mein


Suno oh shurveer fauji
dil se nikli
kore kagaz pe utri
Aansoo mein doobi
pyaar ki yeh shaayari
likhti hai teri gauri


Jab jab bhi kaali ghata chhaayee
aur mann mein udaasi gheree
Tab tab sanam humne teri yaad
seene se lagayee, palko mein chhupaayee
aur raat bas yoon hi jaag ke bitaayee


Dil ka raaz kisi se keh nahin paaye
sanam tum raah me chhod gaye
yeh dukh hum seh nahin paaye
kis tarah se baaki zindagi guzregi
mann ko yeh soch reh reh sataye


Sacha pyaar karne ka dawa sabhi karte hain
nibhana kuchh ko hi aata hai
Humne kiya aur nibhaya bhi
aap hi uske kaabil nahin


Agar humse pyaar hai
aisa kuchh kijiye dildaar
Jeewan bhar hum aapka
karte rahein aitbaar


Jeewan ke is lambe safar mein
patjhad bharee hai rahein
mila ek aisa musafir
jis se dil khud hi karne laga baatien


Sacha pyaar hota hai
do aatmaon ke beech
Is pyaar ko kaise maare hum
jab aatma kabhi nahin marti?


Ik baar mulakat bahooton se hua karti hai,
dibaara mulakat itefaak se hua karti hai,
mujhko yakeen hai, yeh mohabbat hai dil,
unse mulakat kyon baar -baar hua karti hai.


Aarzoo yeh hai ki unki har nazar dekha kare
woh hi hamare saamne ho hum jidhar dekha kare


Phool si aakhon mein jabse dekhi hai kuch nami...
jheelon ka sab guroor bhi khayaali laga mujhe.

Poornamaashi ki woh raat thi magar...
uska chaand bhi teri haath ki thaali laaga mujhe.

Uske peechey jo taaron ka nazaara tha...
dekh ke teri bindiyaa kuch sawaali laga mujhe.


Woh kaun hai?
jisne kiya hai meri dhadkano ko bechain.

Woh kaun hai?
jisne chura liya hai meri raaton ka chain.

Woh kaun hai?
jo aati hai roz mere khwabo mein.

Woh kaun hai? Woh kaun hai?
yeh poochhta hoon aksar main apne dil se,
Aur mera dil kehta hai ki woh tum ho...


Hamari wafa ko mili bewafaai
kaise sahenge ab hum yeh judaai?
Aye mere khuda humein na bhaai
teri yeh khudaai


Yoon manch par khada dekh kar, hasa na karo yaaron,
yeh lavz jo aate hain, woh dil se aate hain
Kahte hain kuch log ke dimaag se soch, yeh dil se bada hota hai
hum kahte hain, yaaron dil se socho kyon ki har dil mein khuda hota hai.


Raahi hai hum us raah ke
jiski koi manzil nahin
Muzafir hai hum us kashti ke
jiska koi saahil nahin

Wada kiya gaya tha humse
har raah, har mod par saath dene ka
Aaj majdhar mein hai kashti
aur uska koi manjhi nahin

Kaha tha hum unki zindagi hain
sab kuch niyochhaavar karenge hum par
doosron ki khaatir jeewan se alag kiya
Aaj jeewan hai, lekin jeewan saathi nahin

Unke har labz amrit ki vaani samjhe
sach maan kar dil mein utaare
Nadaan the jo itna bhi nahin samjhe
yeh duniya gairon ki hai apni nahin

Humare dil pe kya guzree
yeh usne poochha tak nahin
waade kiye kyon the
yeh humne poochha nahin

Duniya mein jis se aatma jude
dhoondte hai log jeewan bhar
Yeh anmol ratan paya hum dono ne
unko iski keemat hi nahin

Chidiya chug gayee hai sara khet
ab kuch ho sakta nahin
apni to duniya hi loot gayee
unki ooph tak nikli nahin


Shaayad humari sazaa yahi hai
jisko apni aatma arpan ki
apna humsafar aur humnawaz mana
woh bhi humein kasoorwar kehta hai


Humare jazbaat ka koi bayaan nahin
humare pyaar ki koi zubaan nahin
Yeh dil hi sirf gawaf hai
humne pyaar kiya tha dhoka nahin


Door hi se saath chaaha tha
unke pyaar ki chhaon chaahi thi
Gum ka pahad nahin chaaha tha
khushiyon ki bahar chaahi thi


Door pahad ke peechhey dhooa uth raha tha.
Door pahad ke peechhey dhooa uth raha tha.
hum soche ki yeh kaisi aag lage hai
magar wahan to kisi ka dil jal raha tha


Dil lagaane se pehle iski sazaa jaan lo yaaron,
bhari mehfil mein yeh dil tod diya jaata hai
Dard ban jaati hai phir yaad uski
jiski chaahat mein yeh dil deewana hota hai


Manzil safar mein thi, qadam faaslon mein tha
Main door tha zaroor, magar raaston mein tha.


Seeney se mere zehar utarney nahin dete
Zinda rahe woh log jo marne nahin dete


Baithe baithe ghabraaye hum
jaane kis ko yaad aaye hum


Apni aankhon ke sanadar mein uatr jaane do
Tere mujrim hain hum, humein doob ke mar jaane do


Tera saath hai to mujhe kya kami hai
andheton se bhi mil rahi roshni hai


Apni kismat se gila hai mujhe
tu bahoot der se mila hai mujhe


Mohabbat ab nahin ho gee..
yeh kuch din baad hogi
Guzar jaayenge jab yeh din
yeh un ki yaad mein hogi


Milna tha itefaaq
bichhardna naseeb tha
Woh mujhse itna door ho gaya
jitna kareeb tha


Zinda hoon is tarah ke gum-e-zindagi nahin
Jalta hua diya hoon, magar roshni nahin


Dil to hai aap ka pathar ka, pighlega nahin
Dil pe likhne ki koshish karo, kabhi mitega nahin


Hazaaron phool kam hain
dulhan sajaane ke liye
Ek phool kaafi hai
janaaza sajaane ke liye


Is hadh tak hum tumhein chaahne lage hain
ki ab dewaangi bhi humse sharmaane lagi hai


Dil ki nazuk dhadkano ko
mere sanan tumne dhadakna sikha diya
Jab se mila hai tera pyaar dil ko
gum ne bhi muskurana sikha diya hai


Bewaffa se waffa nahin milti
dard milta hai par dawaa nahin milti


Dard aisa laga ki kisi ko bataaya na gaya
Aansoon ko piya bahoot magar chhupaaya na gaya


Aap gairon ki baatien kartein hain
humne apno ko aazmaya hai
Log kaaton se bach ke chalte hain
humne phoolon se zakhm khaaya hai


Humne tumhein chaaha woh humari chaahat ki hadh thi
Humne tumhein opyaar kiya woh humari pyaar ki hadh thi
Mar kar bhi khuli rahin aankhein
Woh humari pyaar ki intezaar ki hadh thi


Kyon banati ho ret ke yeh mahal
jinhe ek roz khud hi mitaaogi
Pyaar kahti ho tum jise
ek rangeen dhoka hai aur kuch nahin


Chaar log inhe bhi utha rahe the
Chaar log unhe bhi utha rahe the
fark sirf itna tha, yahan doli uth rahi thi
wahan log janaaza utha rahe the


Mein shaayar hoon nahin
aap hi logon ne mujhe shaayar banaya hai
Par yeh shaayari hai sahi
samajh mein aayegi kahin na kahin


Muddatein lagi jise dil se bhulane ke liye
Phir chale aaye wahi humein rulaane ke liye


Tere aane ki jab koi umeed nahin baaki.
phir kyon dehleez pe shama jalaaye baithe hai...
Ik tu hi nahin jisne humein bhula diya,
Ik hum bhi hain jo khud ko bhulaaye baithe hai...


Jisko Bhoolne ki koshish karte hain hum,
yaad usi ki dilaate hain yahi log...
Ek to kehte hain ki muskurate raho,
phir zikr uska chhedkar rulate hain yahi log...
Pehle to kaha mujhse ki yeh raasta teekh hai,
hum chale to har qadam pe ungaliyaan uthaate hain yahi log...
Khade rahe zindagi pe yahi sochte hain ab hum,
kyon apni hi kahi baat se mukar jaate hain yahi log...
Yoon to kehne ko har qadam pe mere saath hain yeh,
par waqt aane pe tamaashaayee ban jaate hain yahi log...


Ek dukh sa dil mein uthta hai
Ek dard jigar mein hoat hai
Main raaton ko uth uth rota hoon
Jab sara aalam sota hai


Mujhe dil se nikal dene wale
mere marne ka dukh na karna
hum to kudh hi aansoon baha lenge
apni lash ko jalta dekh kar


Woh jaan hi kya
jis mein ro nahin
Woh ishq hi kya
jis mein ladai nahin
Woh pyaar hi kya
jis mein judaai nahin
Woh dil hi kya
jis mein tu nahin


Phool pedhon se judaa hai
khushbu se nahin
Tum mujh se juda ho
meri dil se nahin


Woh dil hi kya
jo tujhse milne ki duwa na kare
Main tujhe bhool kar zinda rahoon
khuda na kare


Jab yaad teri aati hai
cigarette jal leta hoon
dhooein se teri
tasveer bana leta hoon


Sitamgar waqt ka chehra bahoot hai
jise dekho wahi tanha bahoot hai
tumhein aakar badi wahshat si hogi
mere aangan me sannata bahoot hai


Tera chehra teri zulfe ke beech dekh ke hota hai yeh guman
roshan ho jaise chaand ghataon ke darmiyaan


Humein phoolon ki tarha dil mein sajaaye rakhna
hum tumhare hain, humein apna banaaye rakhna


Maut aaye to kuch is tarha aaye
teri aankhon ka teer mere dil ko chhu jaaye
Tere dil mein khar kar jaane hi hai to kuch is tarha
raat ne lapeta hoat hai chaand ko jis tarha


Tera naam jo mere band hothon par rehta hai
baahar na le koi yahi darr rehta hai
din mein khoi rehti hoon tere khayaalon mein
raat ko aate ho tum ik khwab ban ke meri aankhon mein


Khuda kare tujhe meri mohabbat na yaad aaye
jahan bhi rahoo har pal mujhe teri yaad sataye


Jab woh milegayeh kahoongi main
Dil mein ik chhota sa khwaab hai mera
Tum aur main aur na ho is jahan mein koi
bas ek baar ho jaaye jo saamna tera


Aati hai teri yaad kisi teerki tarah
pathar ko cheerti hui takdeer ki tarah
Yeh baat aur hai kitu ranjha naa ban saka
par chaaha tha maine tujhe heer ki tarah


Thokar kha kar bhi na sambhle
woh insaan ka apne naseeb
Warna farz ti nibha jaate hain
raaste ke pathat apna apna


Tum lakh chhupao seene meinizhaar humari chaahat ka
dil jab bhi tumhara dhadka hai awaaz yahan tak aayee hai


Mujhko is ka ghum nahin
ke mein akeli rah gayee
chhod kar tahna mujhe
woh khud bhi tanha reh gaa


Yeh kaliya bhi khil uthti
magar baharon ne aane mein der kar di
Aaj woh bhi humare hote
par humne izhaar karne mein der kar di


Apni haalat main bayan karoon kaise
yaad ka saamp dil ko dasta hai
aahatein goonjti hain kano mein
meri aankhon mein koi basta hai
main tumhein dhoondhne kahan jaaoon
koi manzil na koi rasta hai
teri bahen meri manzil hai
dil musafir aur pyaar rasta hai
waqt aankhon mein tham gaya ho jaise
ek pal ek saal lagta hai
mere khwaabon ki sans toot na jaye
aa bhi jaao ke aas toot na jaye


Adalat husn ki hogi
muqadma ishq ka hoga
gawahi main doongi
mujrim tera pyaar hoga


Kyon mere pyaar ka imtehaan lete ho
tum to meri jaan ho kyon meri jaan lete ho


Hasrat thi tere qadmo mein dam nikle
bewaffa tum nahin badnaseeb hum nikle


Shararat ho shrifo ki
sharatat kam nahin hoti
karo sone ke sau tukde
keemat kam nahin hoti


Nazar nazar mein koi ghum chhupa sa rehta hai
Bahaar ho ya khizaan dil bhuja sa rehta hai


Kuch tabiyat hi mili thi aisi
chain se jeene ki surat na hui
jisko chaaha usko apna na saki
jo mila us se mohabbat na hui


Kaise mumkin tha kisi shaks ko apna kahti
aaina the log kya logon se dhoka karti
hanste phirte the sar-e-bazum ana ki khatir
warna haalat to aisi thi ki roya karti


Jab shaam ke saaye madham hon
aur door nadi ki lehron par
likha hua koi naam mile
Jab jaagte jaagte nainon mein
sapney hon utre apno ke
Jab yaad ki kirnein dohrayein
kabhi bhooley bisrey afsaaney
Tab hansti chamakti aankhon par
yaadon ka dhua chha jata hai
Jab yaad koi aajata hai
Jab yaad koi aa jata hai


Zindagi ji kar dekho to haseen lagti hai
mar ke kisi par dekho zindagi kya cheez hai.

Yoon to dua maangte the aksar khuda se
ishq mein doob kar dekho bandagi kya cheez hai.

Dil seene mein uchhalkar deta hai yoon dastak
yeh haal humara hai kyon? woh maujoodgi kya cheez hai

Kuch lamho ka nasha hota hai sharaab mein
kisi nazar mein utar kar dekho bekhudi kya cheez kya

Dard ka ehsaas to hai humdardon ko mere
par door mehboob se hokar dekho judaai kya cheez hai

Samajhdaaron ko khabar kya mushkiley ishq ki
deewano se kabhi poochhkar dekho deewangi kya cheez hai

Mohabbat ik junoon hai, jo jaan bhi maang leti hai
chalke raah-e-ulfatt par dekho dil ki lagi kya cheez hai

Hosh waalon ko khabar kya bekhudi kya cheez hai
Ishq kijiye phir samjhiye zindagi kya cheez hai


Chaand ko dekhte rahe
magar deedar na kar sake
Tumse pyaar karte rahe
magar izhaar na kar sake


Toot gayi mala
moti bikhar gaye
Do din saath reh kar
maloom nahin kahan gujar gaye


Unki ek muskurahat mein, haye kya ada thi????
har ek ladki unpe, isi liye to fida thi.
Baat kare woh aise, jaise zameen pe bikhre tare...
yeh bhi ek ada thi jisne hosh uda diye the humare.


Anjaam-e-ishq sunkar haal-e-dil se darti thi
phir vaar ik teer-e-nazar ka laga jigar par
ki aashiqui woh hi mere saath ho gayi


Be-noor hai aakhein, bechain hai raatein judaai mein
Mujhe hai khabar kis kadar royi hoon main raaton mein


Pal aalam-e-furqat ke jiye jaate hai aise
Waqt se pehle aayee ho qayamat jaise


Koi is adaa se judaa humse hua
ki khwaabon khyaalon mein har waqt harsoo hua

Daaman mein sitamgar ne kuch rakha hi na baaqi
dil, karaar, pyaar, sab kuch to hai lutaa hua

Kismat ne yoon shab bhar mein hai badle sitaare
oh! yaaron bahoot zulm hua, humse bada dhoka hua

Be-panaah mohabbat hai tumse mere rakeeb
taali ho tumhari baat koi aisa hai kis mein dum hua?

Shaayad jud jaaye sheesha batkar hazaaron mein...
yeh dard-e-dil ke tukde jude ho...kab hai aisa hua??


Kisko maaloom tha din yeh bhi aayenge
unki ek jhalak ko nain taras jayenge
Haal yeh kaisa hai? Saal yeh kaisa hai?
ik ik pal lamba ik saal jaisa hai

Dil ka kya hai phir manaa lenge
humein dard-e-dil ki kya dawaa denge?
Mann machla hai yoon ki mushkil sambhalna hai
phir unke aaghosh mein khone ki tammana hai

Baahon mein unki jab pure armaan humare honge
aur bhi haseen tab saare yeh nazaare honge
Unpe dil-o-jaan lutaaneko jee chaahta hai
paas unke aake na jaaneko jee chaahta hai

Jazbaat ubharkar aakhon mein na aane denge
palkon pe kaapte hue sitaare na girne denge
Zaahir dabi mohabbat unpe karni nahin hai
varna judaai seh na paayenge humein yakeen hai...


Aapse milkar sochti reh gayi
Zindagi mein ab na koi kami reh gayi

Chaaha tha humsafar ik umar bhar ke liye
Saath aapka jo mila, manzil khudi mil gayi

Yoon dilki gehraaion tak aapka utar jaana
Ki aapko paakar aap hi ki ho gayi

Log milkar hote hain judaa aksar yahaan
Aapka pyaar ab ek anmol nishaani ho gayi

Chale the pyaar se jaana hai pyaar tak
Kood ke dariya mein aana hai paar tak
Sahil pe hum miley judaai waqt ki baat ho gayi...


Is dil ki uljhan, ab kya batayein
bayan-e-haal hi jaanlewa hai

Yeh dil unke deedar ko tarasta hai, aur milne se bhi darta hai
kanbhakht... deedar-e-yaar hi jaanlewa hai

Chaahta hai yeh dil kuch kehna unse, par kehne se bhi katrata hai
itihaas gawah hai, izhaar-e-mohabbat hi jaanlewa hai


Main likhta nahin hoon yeh shabd,
kavita karne ke liye
Hain in mein chhipe kuch dard,
kuch tanhaai,
aur kuch aansoon, jo anjaane hi nikal aaye

Padh sako to padho, in shabdon mein chhipe
ik dard ko, ahsaas ko ko,
Yaa jaise andhere mein rote,
ik bache ki pukar ko...


Dokhon ke is sagar mein,
rahat ko koi kinara na tha.
Tha main majhdhar mein,
chaahat ka koi sahara na tha.
Door kahin ik din ik pal,
ik saathi ka aasra dikha.
Aur phir main raha akela,
yeh saathi... humrahi na tha


Na socha tha aankhein ladane se pehle
ke cheekhenge hum muskurane se pehle
Kiya hai sitam hum pe yoon bereham ne
bana liya bhai, dil lagane se pehle


Khuda ki kasam main tumhara nahin hoon
main ek nadi hoon kinara nahin hoon
Takti ho kyon tum mujhe muskura ke
main shadi shuda hoon kunwara nahin hoon


Maut Pe Bhi Hai Hume Yakeen, Un Par Bhi Aaitbar Hai
Dekhiye Pehle Kaun Aye, Dono Ka Intezaar Hai


Galat nahin zamane mein lajwab hain hum
Samajh sake na koi, woh kitaab hain hum


Log kahte hain humein aadat hai muskurane ki
Magar woh kya jaane yeh bhi ek ada hai ghum chhupane ki


Kabhi nahin socha tha, yeh din bhi aayenge
milne ko tarasenge, mil nahin paayenge
Aaj is mehfil se doori, kal is duniya se chale jayenge


Jaati hui mayyat dekh ke bhi wallah tum uth ke aa na sake
Do chaar qadam to dushman bhi takleef gawara kartey hain


Inhi patharon pe chal key gar aa sako to aao
Mere ghar ke raastey mein koi kehkashan nahin hai


Reh gaye ashk meri aankh mein moti ban kar
Unke daaman mein chamakte to sitaare hote


Laash parvane ki aage se hata de koi
Shama maasoom hai badnam hui jaati hai


Jis dil mein basa tha pyaar tera
us dilko kabhi ka tod diya
Badnaam na hone denge tujhe
tera naam hi lena chhod diya


Zindagi mein ek sapna dekha
use hum haqiqat samajh baithe
Humne jis se pyaar kiya
woh mazak samajh baithe


Baar baar un yaadon ko
dohraana achha nahin
kisi ke liye zindagi lutana achha nahin
Khwaab dekhna achhi baat hai
khwaabon mein zindagi bitana achha nahin


Kisi pagal kavi ki kalpana ho tum
kisi ko madhosh kar dene wala woh nasha ho tum
Ab hosh na aaye to behatar hoga
sapne hi sahi, mere apne ho tum


Kaise?
Tum kitni aasani se keh dete ho ke bhool jaye hum
Hum kehte hain ke bhool ne mein kya harz hai
Woh to to ek din bhool hi jayeinge hum
Magar dil par har ek zakhm jo tumne likha hai
Kaise kehte ho aise bhool jayein hum??


Raha baagh to, phool phir khilenge
Rahi zindagi to phir milenge

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...