Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, August 23, 2011


'Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon

Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon

Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon

Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon

Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon

Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon

Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon

Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon







'Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya

Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya

Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya

Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya……!! !!








'Main na mil sakon jo tum se, meri justujo na karna
Tumhain meri hi qasam hay, meri arzoo na karna

Mujhy jis se thi muhabbat, use thi ajab si adat
Kabhi mounh phair lena, kabhi guftugo na karna

Maine chaha tha kisi ko, mera haal kya hay dekho
Jo kiya qusoor maine, wo tum kabhi na karna

Meri ho agar buraayi to naa denaa tum safaai
Mere saath khud ko ruswaa kabhi koobako na karna

Tumhain meri hi qasam hay, meri arzoo na karna
Main na mil sakon jo tum se, meri justujo na karna

Koi poochhe badnaseebi ki hai intihaa bhi koi
To meri misaal denaa to mujhe namona karna.. ..







Agar mein bata don mein kia chahti hon
nazron say apni gira tou na doo gay

Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho
Mujhey koi kari si saza tou na do gay

Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon
Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay

Jo mein bata don meray mun main kia hay
Tum jahan mein tamasha bana to na do gay

Darti hon tum say mein raaz-e-dil sunatay
Tum hansi main baat ura to na do gay

Agar mein bata don mein kia chahti hon
Wafaon k badlay jafa to na do gay
Aur mujh hi say daman chura to na lo gay'







'Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya…
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya….

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan…
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya…

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi…
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya…

jane kya us ko logon sey thein shikayatein…
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya…

khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya….
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…'







'Me kisi aur ki hn itna bata kar royi
Wo mujhe mehndi lage haath dikha kar royi
Umar bhar ki judai ka khayal aya tha shayad
Wo mujhe pas apne der tak bitha kar royi
Khat kitabe wo pyar ke tofhay
Mohabbat ki sab nishanya jala kar royi
Tumhari de howi sab cheze utar li gyen
Wo mujhe sej pe saje zewar dikha kar royi
Ab k na sahi hashar me mlenge
Yakja hone ke dilasy dila kar royi
Mujh se zyada bichrne ka ghum use tha
Waqte rukhsat wo mujhe sene se laga kar royi'






'Tum Khafa Kyun Ho?
Tumhain Mujhse Gila Kia Hai?

Achanak Be-Rukhi Itni?
Batao To Hua Kia Hai?

Manaon Kis Tarah Tumko
Mujhy Itna To Batla Do

Agar Ab ho Sakey Tumse
To Ye Ehsaan Kar Do

Meri Manzil Mohabbat Hai
Mujhy Manzil Pe Pohancha Do

Tumhari Aankh Mein Aansu
Mujhy Ache Nahi Lagte

Tumhary Narm Honton Pe
Gilay Ache Nahi Lagte

Tumhary Muskurane Se
Mera Dil Muskurata Hai

Tumhary Rooth Janey Se
Mera Dil Toot Jata Hai


'Rukh Pe Aanso Baha Rahi Ho Tum
Kiya Mujhey Aazma Rahi Ho Tum

Aaj Sharmain Nam Per Uske
Kya Hameen Choor Ja Rahi Ho Tum

Guzreen Yuoon Pas Se Ke Ruk Na Sakeen
Door Kyuon Hum Se Ja Rahi Ho Tum

Kuch To Bolo Ke Yuuon Hi Chup Reh Ker
Kyuuon Sitam Hum Pe Dha Rahi Jo Tum

Yad Ker Mujh Ko, Meri Jan Dil Ko
Roog Kaisa Laga Rahi Ho Tum

Meri Aankhoon Ka Pani Pi Pi Ker
Or Mujh Ko Rula Rahi Ho Tum

Is Shajar Per Jo Nam Like Hain
Kyuoon Inhain Ab Mita Rahi Ho Tum

Jis Ko Tanha Kiya Tha, Us Jan Per
Aaj Kyuuon Haq Jata Rahi Ho Tum

Khoon De De Ke Jo Banaya Tha
Wo Makan Kyuuon Jala Rahi Ho Tum

Raah Se Main Tumhari Hat To Gaya
Ab Mujhey Kyuuon Sata Rahi Ho Tum

Aankh Main, Main Hoon Lab Pe Or Koi
Ye Mujhey Kya Bata Rahi Ho Tum







'Kuch baatein hum se suna karo,
Kuch baatein hum se kia karo,

Mujhe Dil ki baat bata daalo,
Tum hont na apne siya karo,

Jo baat Labon tak na aaye,
Woh Ankhon se keh diya karo,

Kuch baatein kehna mushkil hein,
Tum chehre se parh liya karo,

Jab Tanha Tanha hote ho,
Awaz mujhe tum dia karo.

Her dharkan meray naam karo,
Her saans mein mujh ko jiya karo,

Jo khushiyan tumhari Chaahat hein,
Mere Daaman se Chun liya karo





'Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho

Kuch chanchal se , kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagtey ho

hain chahney waaley aur buhut
par tum mein hai aik baat buhut
Tum apney apney lagtey ho

Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho

Yeh baat baat pe kho jaana
kuch kehtey kehtey ruk jaana

yeh kiss uljhan mein rehtey ho?
Kiya baat hai hum se keh daalo

Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho




'Meri zindagi meri jaan-e-jaan,
Mujhe le chalo kabhi us jahan,

Jahan tu he mera naseeb ho,
Jahan dil se tu he kareeb ho,

Jahan gham koi na aa sake,
Jahan nafraten na sataa saken,

Jahan qarb ho jahan ho khushi,
Jahan chahti ho hamen zindagi,

Jahan dil mera na udaas ho,
Jahan her ghari teri aas ho,


Meri zindagi meri jaan-e-jaan,
Mujhe le chalo kabhi us jahan.





'Hamari Hasti Mita Rahay ho, Tumhari Marzi,
Nishaan-e-Ibrat bana rahay ho, Tumhari Marzi,

Mere Jigar main Jafa k Khanjer utaar kar Tum,
Wafa k Nagmay Suna rahay ho, Tumhari Marzi,

Tumhari Khaatir jo Saari Duniya ko Chhor Aaya,
Ussi say Daaman Chura rahay ho, Tumhari Marzi,

Meri Umeedon k Aashiyane Ujarr Kar tum,
Kisi ki Duniya Basa Rahay ho, Tumhari Marzi,

Tumhara Deedar ek Bahisht-e-Nazar hai lekin,
Tum Apna Chehra Chupa Rahy ho, Tumhari Marzi

\



'Usay mene hi likha tha,

K lehjay barf ho jaen
To phir pighla nhi kerte
Parinde darr k urr jaen
Tu lauta nhi krtay

Usay mene hi likha tha..

Yaqeen uth jae to shayed
Kabhi wapas nhi aata
Hawaon ka koi tufan
kabhi barish nhi lata

Usay mene hi likha tha,

K sheesha toot jae tu
Kabhi phr jurr nhi pata,
Jo rastay se bhatak jae,
Wo wapis murr nhi pata.
Usay kehna wo aadha khat

usay mene hi likha tha,

Usay kehna k Dewane
Mukamal khat likha Nhi Kerte



'Hoti hai tere naam se vehshat kabhi-kabhi
barham huee hai yoon bhi tabiyat kabhi-kabhi

ae dil kise naseeb ye taufeeq-e-iztiraab
milti hai zindagi mein ye raahat kabhi-kabhi

tere karam se ae alam-e-husn-e-aafreen
dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi-kabhi

josh-e-junoon mein dard ki tugyaaniyon ke saath
ashkon mein dhal gaee teri soorat kabhi-kabhi

tere qareeb reh ke bhi dil mutmaeen na tha
guzri hai mujh pe ye bhi qayaamat kabhi-kabhi

kuch apna hosh tha na tumhara khayaal tha
yoon bhi guzar gaee shab-e-furqat kabhi-kabhi

ae dost hamne tarq-e-mohabbat ke baawajood
mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi-kabhi.




'kisiki yaad nay har raat bhar hay jagaya mujhko
Kya saza di hay mohabat nay khudaya mujhko

Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujhko

Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujhko

Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujhko

Youn to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujhko

Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maut nay pyar say pehloo main bithaya mujhko

Main Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-aam bujhaya mujhko

kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujhko

'Meri mehbooba ko meri Aashiqi se Nafrat thi,
Kai baar zakhm diye the usne kai baar namak lagati thi,
Bahut pyaar aata tha uspar jab os k bad wo muskurati thi,
Muskurakar mujhe yun khushidena, ye uski mujhpar inayat thi,
Meri mehbooba ko meri Aashiqi se nafrat thi,
Aaj bewafaai ki inteha k wo ghero ki bahon mein So gaya..
Mujhe torne ki hasrat itni thi, k wo kisi aur ka ho gaya..
Kisi aur ka uska ho jaana mere liye qayamat thi,
Meri mehbooba ko meri Aashiqi se nafrat thi,
Aaj pehli baar usse meri mohabbat par yakeen aaya hai,,
Uski aankhon ne bhi aaj ek ashq ka qatra chalkaya hai,
Pal bhar ki mohlat de khuda,pal bhar ko uth jane dey,
Dekh meri maiyat par mera mehboob aaya hai



Yun to khoob aazmayi meri mohabbat usne,
Khuda se kai baar lagayi meri shikayat usne,
Uski har ek dua mein meri ruksati ki hasrat thi,
Meri mehbooba ko meri Aashiqi se Nafrat thi,
Uski in adaon ka bhi main deewana hua baitha tha,
Uske dil ki panah ko apna aashiyana kehta tha,
Uski aankon ki Dilkashi maano meri Jannat thi,
Meri mehbooba ko meri Aashiqi se Nafrat thi,
Os se Ishq ka shauk rakhne wala, uske liye ek Gair tha,
Jitni mujhe mohabbat thi, usey utnaa hi mujhse Bair tha,
Meri maut ki aarzoo mere, mashooq ke liye ibadat thi.

'“~*~Betaab Nazrain Youn Mili Iqraar Hum Karne Lage...~*~
~*~Yeh Kiya Hua Kyun Is Tarha Izhaar Hum Karne Lage...~*~
~*~Chalke Hue Jazbaat Kuch Ansoo Bhi Kuch Bikhre Hue...~*~
~*~Ab Qatra Qatra Zindagi Sarshaar Hum Karne Lage...~*~
~*~Shaadab Hain Aankhain Lahoo Se Kuch Gulabii Shaam Hai...~*~
~*~Quose-e-Qaza Rangoo Main Ghuftaar Hum Karne Lage...~*~
~*~Veeraan Kade Main Aa Gaye Jo Wo Baharoon Ki Tarha...~*~
~*~In Ke Tassawur Se Sakhan Gulzar Hum Karne Lage...~*~
~*~Rahne Lage Hain Gurizaan To Tumhare Qurb Se...~*~
~*~Is Ehd-e-Ulfat Se Ghazab Ka Pyaar Hum Karne Lage...~*~
~*~Shama Kyun Shikwa Gila Ehl-e-Wafa Thehre Jo Hum...~*~
~*~Jalte Hue Sholoon Ka Dariyaa Paar Hum Karne Lage.
\
ik chand tanha khara raha
mery asma say zara pary
mery sath sath safar main tha\
meri manzilon say zara pary
tiri justaju k hisar say
tery khwab tery khyal say
main wo shakhs tha jo khra raha
teri chahton say zara pary
kabi dil ki bat kahi na thi
jo kahi wo b dabi dabi
mery lafz poray to thay mager
teri samaaton say zara pary
tu chala gya mery humsafr
zra dekh mur k to ik nazr
meri kashtian hain jali hoi
tery sahlion say zara pary


haf e ranjish pe koi bat b ho sakti hai
ain mumkin hai mulaqat b ho sakti hai
zindagi phool hai khushbu hai magr yaad rahy
zindagi gardsh e halat b ho sakti hai
hum ne ye soch k rakha tha qadam gulshan main
lala o gul main tiri zat b ho sakti hai
chal chlty huway shtranj ki baazi k usool
bhool jaogy to phir maat b ho sakti hai
aik to chat k bina ghar hy humara mohsin
us pe ye khoaf k barsaat b ho sakti hai

mery zarf ka ye qasoor tha
k main darday dil na chupa saka
mere zarf ne b dagha dia
main to zarf b na bacha saka
mera nafs sik alaao tha
meri rooh tak to nighl gya
k main khwahishon k alaao ko
na jila ska na bujha ska
jo di ik dost ne aziatain
theen wo dushmanu k inayatain
main tamaam umar darta raha
koi dost phir na bana saka
mujy mufsli ny thaka dia
mere walwlon ko sula dia
mujy log ye keh k juda howy
ye dosti na nibha saka.

raat sunti rahi main sunata raha
dard ki dastaan main sunata raha
log logon say muhabt nibhatay rahay
ik wo tha mera dil jalata raha
dhoop chaon si us ki tabiat rahi
wo nigahain milata churata raha
ik main hi pyasa mere dosto
log pitay rahay main pilata raha
hum-mktab nay sara sabk parh liya
main tera naam likhta mitata taha.

zameen pe chal na saka asmaan say b gaya
kata k par wo parinda uraan say b gaya
tbah kar gai pakay makaan k khwahish
main apnay gaon k kachay mkaan say b gaya
prai aag main jal k b kaya mila tujko
usay bcha na saka apni jaan say b gaya
bhulana chaha to us ki b intaha kar di
wo shakhs mere wehmo gumaan say b gaya
kisi k haath ka nikla howa wo teer hon main
haddf ko chu na saka kmaan say b gaya.

chalo khwab ankhon main saja k daikhtay hain
chalo hum kisi ko apna bana k daikhty hain
khoon k rishton say itbaar to uth gaya
chalo benaam rishtay bana k daikhtay hain
zindagi asan ho jay shaid humari
chalo haath ki lakirain mita k daikhtay hain
andhairi shab to kisi surat kat-ti nahi
chalo ghar apna jala k daikhtay hain
humain maloom hai k tum ne humara hona nahi
chalo tum par ye zindagi luta k daikhtay hain.


be nam musafir hon benam safar mera
kis raah nikal jaon kuch keh nahi sakta
benaam meri manzil benaam thikana hai
kis dar pe main ruk jaon kuch keh nahi sakta
is paar to roshan hai sara mera rasta
us paar andhaira ho kuch keh nahi sakta
tinkay ki tarha main behjaon samandar main
mil jay ga kinara kuch keh nahi sakta
mil jay gi tabeer mare khuwabon ki ik din
ya khuwab bikhar jain gay kuch keh nahi sakta

wo aksar fusat main ik kaam kartay hain
bana k aaina humain salam kartay hain
us ki masoom adain usay ruwa na kardain
wo likh k dharknon pay mera naam aam kartay hain
us k mathy say ubharta hai subah ka noor
or andhairay us ki zulfon main kyaam kartay hain
ankhon say wardatain karna pesha hain unka
dilon ki chorian wo sar-e-aam kartay hain
zamana tera hi talabgaar sahi lekin
kuch husan walay humara b ehtaraam kartay hain

kia tha pyaar jisay hum nay zindagi ki tarha
wo ashna b mila humsay ajnabi ki tarah
barha k pyaas mera haath chor dia
wo kar raha tha murwt b dil lagi ki tarha
kisay khabar thi barhay gi kuch or tariki
chupay ga wo kisi badli main chandni ki tarha
kabi na socha tha hum nay QTEEL us k liye
karay ga sitam hum pay wo b har kisi ki tarha.

muhabt ki qasam wo aesa nahi tha
apna tha wo mager lagta nahi tha
najanay kiun na aya mujh say milay
zamanay say to wo darta nahi tha
tabsum ki thi bari adat usay
mager muj ko daikh kar wo hansta nahi tha
mere dil main hai bas usi ki hi ulfat
wo mera tha mager mere jesa nahi tha.


sach to ye hai jo mujy jhoot ki adat hoti
mujhy tum say na tumhain muj say koi shikayat hoti
apnay mazi ki fasanay jo sunata tum ko
kesay zinda hun ab tak tumhain hairat hoti
kuch nahi kaha to kehta hai k magroor hun main
or kuch kehta to kuch or he shikayat hoti
khud parsti jo na insan ki fitrat hoti
sari dunian main muhabat hi muhabat hoti
tum nay acha kiya mujhy na dia wafa ka badla
tum b mujh say jo kartay muhabat to tijarat hoti.

ab teri yaad say wehshat nahi hoti muj ko
zakham khultay hain to wehshat nahi hoti muj ko
ab koi yae chala jay khush rehta hon main
ab kisi shakhs ki adat nahi hoti muj ko
aisay badla hon main tere shahar ka pani pee kr
jhoot bolon to nadamat nahi hoti muj ko
hai amanat main khyant so kisi ki khatir
koi marta ha to hairat nahi hoti maj ko
itna masroof hon main jinay ki haws mian AHMAD
sans lene ki fursat nahi hoti muj ko

us nay kaha mujh say k kitna pyar hai
main ne kaha sitaron ka koi shumar hai
ua ne kaha kon tumhain ha bohat aziz
mian ne kaha dil pay ikhtyar hai
us nay kaha kon sa tofa main tumhain don
main ne kaha wo shaam jo ab tak udhar hai
us nay kaha saath kahan tak nibhao gay
main nay kaha jitni ye sason ki tar hai
us nay kaha muj ko yaqeen aye ga kis tarha
main ne kaha mera naam ATBAR hai

safar tanha nahi kartay, suno aesa nahi kartay
chalo tum razz ho apna, tumhain afsha nahi kartay
suno jis ka muqadr ho usay chora nahi kartay
jisay shafaaf rakhna ho usay mela nahi kartay
jo bas jata hai dharkan mian usay bhola nahi kartay
kisi ko dil dete waqt bohat socha nahi kartay
jo pehlay say hi tanha ho usay tanha nahi kartay
sonu yadain satain gi mager roya nahi kartay
suno tum yaad aty ho or hum soya nahi kartay.

zara tham tham k barsa kar, abi itna na rotha kar
abi to door hai manzil , abi khud ko na tanha kar
teri ankhain samandar hain, samandar ko na sehra kar
mera dil doob jata hai, mujhy aesay na daikha kar
hawa muj say kahy pagal, na youn rastaon main baitha kar
wo ik din choor jay ga, use itna na chaha kar

us k aany ka hai imkan khuda khair kary
dil py guzray ga ye tufaan khuda khair kary
wo to hain unchay mahelon main rehnay walay
or mera ghar hai byaban khuda khair kary
un ka kehna hai k mehfil main uthain gay niqaab
mera kho jay na imaan khuda khair kary
wo ye kehtay hain k is baar judai ho gi
main ye kehta hon meri jaan khuda khair kary
main ne mangi hai wafa or wafa k badlay
us ne mangi hai jaan khuda khair kary.
 

'Labon Ki Sirsarahat Sey,
Badan K Choor honey Tak,

Main Tujh Ko is Tarah Chahoon,
K Teri Saans Ruk Jaye.

Khataon par Khataen hon,
Na ho Kuch baat
Kehney Ko,

Main Tujh Mein yon Sama Jaon,
K Teri Saans Ruk Jaye.

Na himmat Tujh Mein ho baqi,
Na himmat Mujh Mein ho baqi,

Magar itna qareeb Aaon,
K Teri Saans Ruk Jaye.

Terey haonton pey Rakhoon Main,
Apney haont Kuch Aisey!!

Ya Teri Piyaas bujh Jaye,
"YA MERI SAANS RUK JAYE"..'
--------------------------
Ik arzOo hai puri parwrdgar kre,
 Mein dair say jaon wo mere intzar kre,
Apne hathon say sanwarun zlfein uski,
Wo sharma ker mhabat ka iqrar kre,
Lipat jay mujhse aalm e madhoshi mein,
Or josh e janum mein mohabaat ka izhar kre,
Ho shab e wisal ya RAB!,
 Kia bheegi zulfon say mujhe bedaar kre,
Jab use chor kia jana chahun Wasi,


----------------------------
'Mere ishq ko na nidhal ker,
Kabhi Be hijab wasal ker,
 Meri ankh ko benai de,
Mere qalab ko ujal ker,
Mujhe dars de fana ka,
 Mere ishq ma bura haal ker,
 Mujhe de saza koi sakhat si,
Mujhe is jahan ma misal ker,
Meri asal sorat bigar de,
Kisi ishq bhati ma dal ker,
Mujhe bhi pila koi aesi she…,
Kabhi meri ankhein bhi laal ker,
 Wo jo is jahan ma halal he,
Kabhi us jahan ma halal ker,
Teri talab ma hun Dar badar,
Kabhi is samat bhi khiyal ker
 Wo roka or ik raat ka israr kre,
 Qasam khada ki main kisi or ka ho nahi sakta!
 Ya wada e wafa wo bar bar kre
-------------------------------
'tujhse mohabbat ka paigaam likh raha huN
tere husN ko khat meiN salam likh raha huN

pee kar jeese madhosh haiN tamaam duniyaa
husn-e-mohabbat ka wo jaam likh raha huN

jiss teer-e-nazar se Qtal ho rahe Diwaane
us jadugiri ka aaj ek anjaam likh raha huN

tere ishQ meiN duba rehta hun shab-o-roz
teri yaadoen ki subah aur shaam likh raha huN

haiN tujhse kis kadar mohabbat jaan-e-wafa
yeh maiN mehfil meiN sareaam likh raha huN

Omi huN, mohabbat ka Qalaam likh raha huN
k meri yeh jindagi ab tere naam likh raha huN'

-------------------------------------
'Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !


Koi aansoo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !


Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !


Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !


Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !


Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon

--------------------------------------
'Ek chhota sa sapna tha,
Us sapne mein koi apna tha,
Us apne mein kuchh sukoon tha,
Jo zindagi ka junoon tha.

Us junoon mein ek rahat thi,
Jo sirf teri chahat thi,
Us chahat mein ek andaz tha,
Jo meri dhadkano ka raaz tha.

Us raaz mein ek khushbo thi,
Jo meri soch ki justazu thi,
Us justazu mein ek hararat thi,
Jo meri khushiyoun ki shahrat thi.

Us shahrat mein ek ehsaas tha,
Ke tu jo mere pass tha,
Us pass mein jo ek aaraam tha,
Woh bus sirf ek tera naam tha

--------------------------------------

'Is Bheegi Sham K Sa’ey Mein
Chupkey Se Agr Tum Aa Jao,
Yeh Sham Suhani Ho Jaye,
Rangeen Kahani Ho Jaye,
Wo Baat Jo Lab Na Keh Sakey,
Aankhon Ki Zubani Ho jaye,
Koi Pyar Ka Naghma Tum
chero,
Koi Pyar Ka Geet Sunaen Hum,
Han Pyar Karen Yun Hum Dono,
Yeh Raat Suhani Ho Jaye,
Main Baithoon Tere Pehlon Mein,
Kuch Dil Ki Baaten Ho Jayen,
Tum Ungliyan Phairo Mere Baalon Mein,
Hum Meethi Neend So Jayen,
Is Bhegi Sham Suhani Mein Chupky Se Agr Tum Aa Ja

----------------------------------------
'Kal halki halki barish thi,
kal sard hawa ka raqs bhi tha,
Kal phool bhi nikhray nikhray the,
Kal un main app ka aqs bhi tha,
kal badal gehray kaale the,
Kal chand pe laakhon pehre the..
Kuch tukry app ki yaadon ke,
Bari dair se dil main thehre the..
Kal yaadien uljhi uljhi thien,
Aur kal tak yeh na suljhi thien..
Kal yaad buhat tum aye the…..
Kal yaad buhat tum aye th

---------------------------
'Har roz bola bhola dety ho kamal krty ho!
Hsty ko rla dety ho kamal krty ho!

Nahi hy muhabat to saaf kh do!
Kiyn umeed barah dyty ho kamal krty ho!

Hm tuhain bholany lgty hain jb bi!
Ake pyar jata dety ho kamal krty ho!

Jante bi ho keh aik hi dia hy mere ghar main!
Pher bi hawa deti ho kamal krty ho!

Bholne ka jo mjhy hr roz khty ho!
Youn yad dela dety ho kamal krty ho!

khud hi kehty ho keh nasha haram he Faraz!
Aur jam thama dyty ho kamal krty ho!!
-------------------------------
'Mere hamsafr...
Mere Hamnasheen...
Main ne Rab se manga tu kuch nahi,
Main ne jab b mangi koi dua!
Nahi manga kuch b "Tere siwa"...
Ye talab kiya k mera Khuda!
Sabhi rahatien..
Sabhi chahtien..
Wo ata kare tujhe manzilain..
Ye talab kiya k mera Khuda!
Tujhe bakht de..
Tujhe taj de..
Mere Humsafr...
Mere Chara gur...
Ye hai Dosti ka kathan safar...
Mere sath chalna zra soch kr...
Zra dekh tu mera hosla..
Mere pas jo b wo hai tera..
Nahi or kuch b tere siwa...
Meri Dosti..
Meri zindagi..
Meri khamoshi..
Meri be basi..
Mera ilam b..
Mera naam b..
K meri subha..
K meri sham b..
K jo mil skain mere daam b..
Wo sabhi kuch tujhe atta kare...
Mere chara gur..
Tu yaqeen tu kr..
Mujhe mangna tu na aa saka..
Main phr b mangi yehi dua!
k gawahi de ga mera Khuda...
Main jb b us se talab kia..
Nahi manga kuch b "Tere siwa".
-----------------------------




Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Mar gaya auroon kay liye main
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do
----------------------------------


Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,

tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,

tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.

meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,

mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee,

or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,

or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee,

or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,

kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee….

5 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...