Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, August 24, 2011

itnay khaif kion rahtay ho?

itnay khaif kion rahtay ho?
her aahat say darr jatay ho

taiz hawaa nay mujh say poocha
ait per kia likhtay rahtay ho?

kaash koi hum say bhi poochay
raat gaye tak kion jagay ho?

mien darya say bhi darta hon
tum darya say bhi gahray ho

kaun si baat hai tum mien aisi
itnay achay kion lagtay ho?

peechay murr kar kion dekha tha
patthar ban kar kia taktay ho

jao jeet ka jashan manao
mien jhoota hon tum sachay ho

apnay shahar kay saray logon say
meri khatir kion uljhay ho

kahnay ko rahtay ho dil mien
phir bhi kitnay duur kharay ho

raat humien kuch yaad nahi tha
raat buhut hee yaad aye ho

hum say na poocho hijar kay qissay
apni kaho abb tum kaisay ho

faraz tum badnaam buhut ho
jaisay ho phir bhi achay ho


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...