Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, February 22, 2011

Naat likhnay ka agar m ujhko qareena aajaaye

Naat likhnay ka agar m ujhko qareena aajaaye
Jitna dushwaar ho jeena mujhay jeena aajaye
Us safar main kabhi thaktay nahiin dil aur paaon
Jis safar main kahiin ehsas-e-madeena ajaaye…
Doobnay walon kabhi dil se pukaaron tu unhein
Khud bhunwar leaky kinaaray pe safeena aajaye
Aisi rehmat ki ghari bhi koi aasakti hai………
Main madinay main rahun mujh main madina aajaye
Mujh gunah gaar bhikaran ki yeh hi jannnat hai
Un(s.a.w)ki nasbat kameray haath khazeena aajaye
Ho tu sakta hai agar aap(s.a.w) karam farma dein
Mere aankhon se meray dil main madina aajaye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...