Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, February 18, 2011

Raat Bi Rukti Nehi Din Bi Guzar Jata Hai

Raat Bi Rukti Nehi Din Bi Guzar Jata Hai
Ye Roz-o-Shab Ka Salab Jane Kidhar Hai
Kar k Amadaa Koi Shakhas Safar Par Mujh ko
Apna Rasta Meri Dehleez Par Dhar Jata Hai
Hath Pe Hath Dhare Is Liye Betha Hon
Dil Agar Than Lay Marne Ki Tu Mar Jata hai
Subha Hote Hi Uchak Lete Hain Alfaz Mujhe
Mera Har Din Kisi Misra Mein Guzar Jata hai
Chand Bi Sath Nibhane Mein Hai Sayah Ki Tarha
Ye Bi Har Shakhas ko Chodne Ghar Jata hai
Dil Mein Rekhta Hon tu Arman Namoo Pate Hain
Lab Pe Lata Hon Mein Jazbe Tu Asar Jata Hai
Mein Bhatanke Se Fiqat Is Liye Darta Hon
Mein Jidhar Jata Hon Har Shakhas Udhar Jata hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...