Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 23, 2011

Roshni dil kay darichon main bhi lehranay day

Roshni dil kay darichon main bhi lehranay day
Usko ehsaas kay aangan main utar jaanay day
Habs barh jaaye tu be naayi chali jati hai
Khirkiyaan khol kay rakh taaza hawa aanay day
Teray roknay se who bad ahad kahan rukta hai
Paon choonay se tu behetar hai usay jaanay day
Jin main ab tak meray bachon ka lahoo jalta hai
Un makano per tu mera parcham lehranay day
Tu jo ayaa hai tu ji bhar kay tujhay dekhay gay
Bearish-e-ashak zara aankh se tham jaanay day

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...