Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 23, 2011

Kahan tak khaima dil main chuayein

Kahan tak khaima dil main chuayein
Apni aason aur pyason ko
Kahan tak khauf kay be shakal sehra ki hatheli per
Kiraidein jayein aankhein aur
Lakeerein roshni ki phir na ban paayein
Hum insaan ho kay bhi saaye ki khushboo ko taras jaayein
Chalo ik doosray ki khawahishon kid hoop main
Jaltay huye angan ki veerani main aankhein band kar lein aur baras jaayein
Yahan tak toot kay barsain kay paani
Wasal ki mitti main khushboo gundh layaur phir suroon tak guzar jaaye
Zameen se aasmaan tak aik hi manzar sanwar jaye
Humaray raaston per aasmaan gawahi bhaij day
Khushboo bikhar jaaye
Zameen paon ko choolay
Chandni dil main utar jaaye
Hawa agar hijr ki saazish main hissa dar ban kar darmiyaan aye
Hijr kay per bheeg jaayein aur
Hawa paani main mil jaaye.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...