Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 23, 2011

Koi mujko mera bharpoor sarapa laaday

Koi mujko mera bharpoor sarapa laaday
Meray baazoo meri aankhain mera chehra laaday
Aisa dariya jo kisi aur samander main giray
Us say beheter hai kay mujhko mera sehra laaday
Kuch nahiin chahiye tujhse aye meri umr-e-riiwaan
Mera bachpan meray jugnoo meri guriya laaday
Naaya mausam meri be naayi ko taslem nahiin
Meri aankhon ko wahi khawab poorana laaday
Jis ki aankhein mujhay ander say bhi parh sakti hon
Koi chehera tu meray sheher main aisa laaday
Kashti-e-jaan tu bhunwar main hai katyi barson say
Aye khuda ab tu dibo day ya kinarah laaday

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...