Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, February 24, 2011

mana vaadi-e-ishq main paaon andha rakhna prta hai

mana vaadi-e-ishq main paaon andha rakhna prta hai
laiken ghar ko jaanay wala rasta rakhna parta hai
tanhayi woh zeher bujhi talwaar hai jiski dehshat se
baaz auqaat tu dushman ko bhi zinda rakhna parta hai
jabar ki jitni unchi chaho tum deewaar utha lena
laiken us deewaar main ik darwaza rakhna parta hai
hijr ka dariyaa aan para hai beech tu koi baat nahiin
Ishq Main saathi thora sa tu hosla rakhna parta hai
be khabri ki shaamein hon tu aanjan musafir ko
sehra main bhi simton ka andaaza rakhna prta hai........

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...