aankhein bhi wahi hain tu daricha bhi wahi hai
aur soch kay aangan main utarta bhi wahi hai
jis nay meray jazbon ki sadaqat ko na jaana
ab meri rifaqat ko tarasta bhi wahi hai
us dil kay kharabay se guzar kis ka hua hai
aankhein bhi wahi hont bhi lehja bhi wahi hai
jo kuch bhi kaha tha meri tanhayi ne tujhse
us sheher ki deewaar pe likha bhi wahi hai
woh jis nay diya mujhay mohabbat kay fasaanay
badal ki tarhaan barsa bhi wahi hai
No comments:
Post a Comment