Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, February 22, 2011

bhoolta kaun hai

bhoolta kaun hai
waqt kay ghaon ko
hijr kay tund toofanon ki
be yaqeen leher main
wasal kay khawab ki doobti naao ko
bhoolta kaun hai
bhoolta kaun hai
apnay qatil kay qatil khadokhal ko
dukh uthatay dino aur mah-o-saal ko
bhoolta kaun hai
bhoolta kaun hai
umar kay shak pe khilna wali us ik avalein shaam ko
be sabab jo laga hai us ilzaam ko
phir tere naam ko
bhoolta kaun hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...