Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 23, 2011

Hashar ka samaa rehta hai

Hashar ka samaa rehta hai
Ya wasal ka gumaan rehta hai
Is rastay se uski gali tak
Aik chiragaan rehta hai
Baraf pe dhoop ka jism bhi dekho
Din bhar raqsaan rehta hai
Khaima-e-shaam saja lete hain
Jashan ka smaa rehta hai
Dil kay liye tu hurf-e-dua main
Dard ka darmaan rehta hai
Janay kis ki khauj main tera
Deedah hairaan rehta hai
Raat dhalay ik khawab ka chehra
Roz pashemaan rehta hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...