Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, February 22, 2011

Kisay khabar thi kay yeh dil ka haal hona tha

Kisay khabar thi kay yeh dil ka haal hona tha
Tumhen ganwaa kar humein bhi malaal hona tha
Humaray wastay rasta koi bacha kab tha
Wahin the zakham wahin indmaal hona tha
Main tera naam likhon khushbouein si jal uthi
Yeh maujza bhi meray khush Jamaal hona tha
Wahi badan kay jisay taazgi muqadar thi
Kisay khabar thi kay yun paymaal hona tha
Kabhi gulaab say mehkain kabhi chiraagh jalein
Sakhan kay baab main yeh bhi kamala hona tha
Kamala-e-sadha dili hai kay badgumani hai
Tumharay lab pe bhi koi sawaal hona tha
Hawaye sheher rakha buhut udaas magar
Mera yaqeen-e-mohabbat bahaal hona tha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...