Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, February 28, 2011

Kabhi nazre milane main zamaney beet jate hain

Kabhi nazre milane main zamaney  beet jate hain
Kabhi nazre churane main zamaney beet jate hain
Kisi ki aankh bhi khulti  ha to sonay ki nagri main
Kisi ko ghar bananey main zamaney beet jate hain

Kabhi  ghar say nikaltey hi nazar  aa jati ha  manzil
Kabhi  rasto  ko paney  main zmaney beet jate hain

Kabi sadyo ki se ratey humain pal bhar ki lagti hain
Kabhi  soraj  ko aane  main zamaney beet jate hain

Koi  sajday  main gir jata hay  to pa  lata  ha rab ko
Kisi  ko  lao  lagane  main zamaney beet  jate  hain

Abr -e-Nesa  sepi  ko  gohar  karta   ha ik  pal  may
Pr  us ik pal  ko aaney  main zmaney beet jate hain

Kabhi  pal bhar  barabr  bn ka sadya  beet jate hain
Kabhi ik pal  bitaney main zamane  beet  jatey hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...