Kiya hai pash-e-nazar nahiin khulta
Hum pe khud apna dar nahiin khulta
Umer per kitna mah-o-saal khulay
Lamha-e-khair-o-shar nahiin khulta
Lafz koi tu ism-e-azam ho
Hum pe baab-e-hunar nahiin khulta
Dil ki aankhon pe khawab ka lamha
Janay kyun raat bhar nahiin khulta
Munkshaf ho gaye sabhi manzar
Roshni tera dar nahiin khulta
Janay kaisa guraiz hayil hai
Hum pe woh humsafar nahiin khulta
Ishq ik aisa maujza hai jo
Har kisi zaat pe nahiin khulta
Shab se manoos ho gaye itnay
Hum pe waqt-e-seher nahiin khulta
No comments:
Post a Comment