Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 23, 2011

Mazaaron per mohabbat ki ja widani sun rahay the

Mazaaron per mohabbat ki ja widani sun rahay the
Kabootar keh rahay the hum kahaani sun rahay the
Meri guriya tere jugnoo humari maaon kay ghum
Hum ik doojay se bachpan ki kahaani sun rahay the
Kabhi sehra kay seenay per bikharta hai tu kaisay
Sunheri geet gaaata hai yeh paani sun rahay the
Guzarti umar kay har ik lamhay ki zabaani
Mohabbat rayegaani! Rayegaani sun rahay the
Mizaaj-e-yaar se itni shinasayi ghazab thi
Hum uski guftgo main bay dihaani sun rahay the
Wafa kay sheher main aik shaam thi khamosh baithi
Hum us main bhi kamala-e-khush bayani sun rahay the

Dua-e-akhir-e-shab aasmaan ko choo rahi thi
Navaid-e-roshni uski zabaani sun rahay the
Woh bachay shaam ko chopaal main baithay huye the
Kay jaisay daastaan koi puraani sun rahay the
Hatheli per rakhay pholon pe ko aansoo giray the
Unhi se koi azn-e-hukumraani sun rahay the

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...