Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 23, 2011

Junoon ka zabta gum ho gaya hai

Junoon ka zabta gum ho gaya hai
Mera sheher-e-wafa gum ho gaya hai
Main jis per aaj tak maho-e-safar thi
Tera who naqsh-e-paa gum ho gaya hai
Ajab hai be saro samaan mohabbat
Mera hurf-e-dua gum ho gaya hai
Main aks-e-yaar jis main dekhti thi
Woh dil ka aaenaa gum ho gaya hai
Kisi ko kya kahein kay sheher-e-ghum main
Humaray dil se kya gum ho gaya hai
Tere ahl-e-junoon bhi dar badar hain
Kay ghar ka raasta gum ho gaya hai

Jo mujh per rehmatein barsa raha tha
Mera sacha khuda gum ho gaya hai
Abhi tu shajar-e-ghum ko katna hai
Abhi se hosla gum ho gaya hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...