Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 23, 2011

Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai

Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai
Mujhay tumse mohabbat ho gayi hai
Kisi ka lams hai kay jis kay hunar se
Mukamal sab ibadat ho gayi hai
Siva hai shor-e-dil shor-e-jahaan se
Magar ab is say nasbat ho gayi hai
Koi din kay liye deewangi bhi
Mere dil ko gainmat ho gayi hai
Buhut be haal rahay the magar ab
Humein hijrat ki aadat ho gayi hai
Gulaab asaar rastay muntazir hain
Kay mausam ki anaayat ho gayi hai
Zameen se aasmaan tak roshni hai
Meherban hum pe fitrat ho gayi hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...