Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 23, 2011

ik hisaar-e-gumaan main rakha

ik hisaar-e-gumaan main rakha
umar bhar imtehaan main rakha
ik mohabbat sa hurf be maani
humnay lafzo bayan main rakha
dil nay ik hashar kardiya bar pa
teer jab bhi kamaan main rakha
ghar ki khawahish main umar bhar khud ko
aik khali makaan main rakha
is hawa main tere chiraghon ko
humnay apni amaan main rakha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...