Musalsal rokti hoon usko sheher-e-dil main aanay se
Magar who koh-e-kun rukta nahiin deewaar dhanay se
Bhala kia dukh kay aangan main salagti larkiyaan jaanay
Kahiin chuptay hain aansoo anchalon main chupaanay se
Abhi tu fasal taaza hai humaray hurf-o-maani ki
Abhi datay nahiin hum mausamon kay aanay jaanay se
Abhi tu ishq main aankhein bujhi hain dil salamat hai
Zzameenay baanjh hoti hain kabhi faslein jalanay se
Tujhay tanha mohabbat ka yeh dariya paar karma hai
Nadamat hogi us kay hoslon ko aazmanay se
Humein kis zaraf kay kirdaar kay qissay sonata hai
Tujhay aye shher hum bhi jantay hai ik zamanay se
Tujhay bhi zabt-e-ghum kay shoq nay pathar banadala
Tujhay aye dil buhut roka tha rasm-o-rah nibhanay se
No comments:
Post a Comment