Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, May 31, 2013

Bas Itna Sa Khwaab Hai

Yaar Tu Bhi Sun Zara
 Aarzoo Meri Hai Kya 
Main Kya Ban Jaana Chaahta Hoon 
Main Kahan Kharaab Hoon
 Main To Lajawaab Hoon 
Main Ye Manvana Chaahta Hoon 
Maan Ja Ay Khuda 
Itni Si Hai Dua 
Main Ban Jaoon Sabse Bada 
Main Ban Jaoon Sabse Bada 
Mere Peechhe Mere Aage 
Haath Jode Duniya Bhaage 
Bas Itna Sa Khwaab Hai 
Bas Itna Sa Khwaab Hai 
Shaan Se Rahoon Sada
 Mujhpe Log Hon Fida 
Haseenayein Bhi Dil Hon Khoti 
Dil Ka Ye Kamal Khile 
Sone Ka Mahal Mile 
Barasne Lage Heerein Moti 
Maan Ja Ay Khuda 
Itni Si Hai Dua 
Main Jyaada Nahin Maangta 
Main Jyaada Nahin Maangta 
Saari Daulat Saari Taakat 
Saari Duniya Par Hukoomat 
Bas Itna Sa Khwaab Hai 
Bas Itna Sa Khwaab Hai 
Bas Itna Sa Khwaab Hai .


Main Koi Aisa Geet Gaun



Main Koi Aisa Geet Gaun
Ki Aarzoo Jagaunn
Main Koi Aisa Geet Gaun
Ki Aarzoo Jagaoon
Agar Tum Kaho..oo
Main Koi Aisa Geet Gaun
Ki Aarzoo Jagaunn
Agar Tum Kahoo
Main Koi Aisa Geet Gaun
Ki Aarzoo Jagaunn
Agar Tum Kaho..oo

Tumko Bulaun
Ye Palkhe Bichaun
Kadam Tum Jahan Jahan Rakho..oo
Zameen Ko Aasman Banaun
Sitaro Se Sajaun
Agar Tum Kaho..oo
Main Koi Aisa Geet Gaun
Ki Aarzoo Jagaunn
Agar Tum Kahoo
Main Titliyon Ke Peeche Bhagu
Main Jugnuon Ke Peeche Jau
Ye Rang Hai Wo Roshni Hai
Tumhare Paas Dono Laun
Jithni Khushbuain Baag Mein Mile
Haan Jitni Khushbuain Baag Mein Mile
Main Lau Vahan Pe Ki Tum Ho Jahan
Jahan Pe Ek Pal Bhi Tehro Main Gulsitan Banau
Agar Tum Kaho..oo
Main Koi Aisa Geet Gau
Ki Aarzoo Jagau
Agar Tum Kaho..oo
Agar Kaho To Main Sunau
Tumhe Haseen Kahaniyaa
Sunogi Kya Meri Zabani
Tum Ek Pari Ka Daasta
Kya Main Karoo Tumse Bayaan
O Ya Main Karoo Tumse Bayaan
Ki Raja Ko Rani Mili Thii Kaha
Kahaniyo Ke Nagar Mein Tumhe Leke Jau
Agar Tum Kaho
Tumko Bulau
Ye Palkhe Bichau
Kadam Tum Jahan Jahan Rakho..oo
Zameen Ko Aasmaan Banau
Sitaron Se Sajau
Agar Tum Kaho
Main Koi Aisa Geet Gau
Ki Aarzoo Jagau
Agar Tum Kaho..oo
Agar Tum Kaho..oo


Khwabon ki dekh bhaal min

Khwabon ki dekh bhaal min aankhen ujar gain.

Tanhaiyon ki dhoop ne chehre jala diye.

Lafzon k jorne min ibarat bikhar chali.

Ayina dhoondne min kai aks kho gaye.

Aye na phir wo loat k aik baar jo gaye.

Wo din, wo waqt, wo rut, 
wo mosam, wo sarkashi.

Ay gardisht-e-hayat, 
ay raftar-e-mah-o-sal.

Kya jama is zamin pe nhi hon ge phir kabhi?

Jo hamsafar faraq ki daldal min kho gaye.

Patte jo gir k perh se raston k kho gaye.

Kya phir kabhi na loat k aaye gi wo bahar.

Kya phir kabhi na aankh min utre gi wo dhanak.

Jis k wafoor-e-rang se jhalki hoi hawa.

Karti he aj tak.

Aik zulf min saje hoe phoolon ka intizar.

Lamhe zaman-e-hijar k phele kuch is trah.

Dag-e-rawan-e-dasht ki tamsaal ho gaye.

Is dasht-e-pur sarab min bhatke hen kuch is qadar.

Naqsh-e-qadam the jitne bhi pamaal ho gaye.

Ab to kahin khatam ho rasta guman ka.

Sheeshe min dil k sare yaqeen baal ho gaye.

Jis waqiye ne aankh se chheeni thi meri neend.

Us waqiye ko ab to kai saal ho gaye.


Mere aangan min aao

Mere aangan min aao.
Toot'te patte to dekho.
Meri sab khirkiyon par hijar ka kuhar jama he.
Mere darwazon k bazu.
Tumhare loatne ki chah min shal ho gaye hen.
Mere ghar k charagon ki har ik lou.
Dard min doobi hoi he.
Wo dekho thar-tharahat ben karne lagi he.
Mere takiye pe thehri dhool dekho.
Mere bistar ki chahdar be shikan gum sum pari he.
Wo aatishdan dekho kis qadar soona rakha he.
Wo dekho rat ka khana para he.
Ye dekho chae thandi ho sakti he.
Tumhare khat, kitaben, card, tohfe.
Mujhe milne ki khwahish min
 mere charon taraf bikhre hoe hen.
Wo ik tasweer mere samne gum sum pari he.
Wo ik kone min hasrat thak gai he, so gai he.
Ye barhti shave, ye gadle sleeper.
Mere balon min furqat jam gai he.
Mere honton se chup lapti hoi he.
Tumhare lams ki hiddat nhi to.
Mere poron min sardi tham gai he.
Tumhara hijar had se barh chuka he.
Mujhe tanhai chubhne lag gai he.
Min thak kar tootne wala hoa hon.
Min khud se rabte na tor bethon.
Kahin min hosla na chor bethon.
Kahin min hosla na ...



Tujh ko kis phool ka kafan hum den.

Image



Tujh ko kis phool ka kafan hum den.

Tu juda aise mosamon min hoa.

Jab drakhton k hath khali hen.

Aayine jis ko dhoondte the khud.

Aisa bemisal aks gar tha wo.

Sare kante samet leta tha.

Aisa anmol humsafar tha wo.

Apne dil min sambhal kar us ko.

Aj hathon se kho rahe hen use.

Hichkiyan bandh gai hen lafzon ki.

Aayina khane ro rahe hen use.

Us ko kis roshni min dafnaen.

Us ko kis khwab ka badan hum den.

Wo jo khushbu min dhal gaya yaron.

Us ko kis phool ka kafan hum den.

Image

Use kahin se bhi dhoond lao

Bata to dete.

K kiyon bicharne lage ho hum se.

Wafa nibhana mahal tha to humen batate.

K ab bicharna thehar gaya he.

Urooj aye ga furqaton par.

Mohabbaton ko zawal ho ga.

Har aik lamha wabal ho ga.

Bata to dete.

K kis trah hum bichar k tum se raha karen ge.

Kis aarzu min jiya karen ge.

Kis aarzu min mara karen ge.

Bata to dete k kya karen ge.

Humare dil ko sataen gi tumhari yaden.

Wo qurbaton k haseen lamhe.

Wo khushbuon si mehakti baten.

To kis se ja kar kaha karen ge.

K wo khafa he.

Manane jao.

Humari halat use batao.

Ye nazm ja kar use sunao.

Mohabbaton k diye jalao.

Use kahin se bhi dhoond lao.

Use kahin se bhi dhoond lao.




A Jao Na

Kayi jazbe.

Kisi pekar min dhalne ko tarapte hen.

Kayi aansu.

Sar-e-misargha ubarne ko machalte hen.

Kayi mosam.

Udasi k samandr min dharakte hen.

Kayi jugnu.

Sitaron ki trah khilne ko marte hen.

Kayi wade.

Abhi aankhon min jalte hen.

Kabhi fursat mile to loat aao.

Tumhare Bin yahan sab kuch adhura he.




Ab kaho, aya karo ge ?

Tang pathreeli gali ne chonk kar awaz di.
Shayad wohi he.
Dhoop, jo aahistagi se seerhiyan charhte hoe.
Be-dam si shayad thak gayi thi, aik lehza ruk gayi.


Image


Kya waqai wo aa raha he?
Zouf ki mari hoi burhi hawa ne pople moun se kaha.
Min us ki khushbu soongh sakti hon.
Wohi nat-khat he, wapas aa raha he.
Burhe darwazon ki aankhen band thin.
Kuch bhi nazar ata nhi, shayad wohi ho.
Us k bachpan ka khilandra dost, ik kancha.


Image


Jo pichle sath barson se.
Gali k aik kone min, manon miti k neeche, so raha tha.
Kulbula kar cheekh utha.
Al-madad! koi mujhe bahar nikalo.
Han, wohi he, dhoop boli.
Par woh bacha jis ko min pehchanti thi.


Image


Aane wale mard k dil min kahin gum ho gaya he.
Burhe darwazon ne aankhen khol din.





Pehchante hen hum ise, larka wohi he.
Bap ki manind lamba ho gaya he.


Image


Tang pathreeli gali boli.
Min kitni peerhiyon se.
Nanhe qadmon k bare hote hoe sab naqsh.
Apne jism par sambhal kar rakhti rahi hon.


Image


Cheekhta kancha manon matti k neeche ro diya.


Image


Min kese niklon?
Aur phir burhi hawa jo dam-ba-khud si ruk gayi thi.
Khilkhila kar hans pari.
Aao, zara dekhen.
Tumhare gaal, aanken, baal, chehra to wohi he.
Itni muddat tak kahan gum ho gaye the?
Ab kaho, aya karo ge ?

Koi hunar bilkul nhi ata.

Suno piyare.
Mujhe malum he aasan lagta he.
Tumhen rahen badal lena.
Koi bhi mor mur jana.
Kisi manzil ko thokar mar kar
 wapis chale ana.
Ya manzil ko faqat ik junbish-e-lab se.

Bht nazdeek le ana.
Mujhe malum he piyare.
Bht aasan he tum ko 
wapis palat jana.
Meri tum be-basi dekho.
Mujhe tum se
 mohabbat k siwa kuch nhi ata.
Magr is min bhi
 kab koi qareena seekh payi min.

Ye dekho aankh rona chahti he.
Phir bhi banjar he.
Ye dekho hath kitne sard hen mere.
Ye dekho dil ki dharkan 
kis trah tarteeb kho
 kar doobne ko he.
Ye dekho mera aanchal 
mere hathon se phisal kar 
urh gaya kab se.
Ye dekho sans ki dori bhi
 mujh se chootne ko he.
Mere ehsas ka 
resham ulajh kar tootne ko he.

Mujhe to ye hunar bilkul nhi ata.
K kese apne zakhmon ko chupate hen? 
Ya kese dard ko derman banate hen? 
Ya kese roothti sanson ka daman.
Tham kar wapis bulatay hen? 
Bht be-khwab aur wiran mosam min.
Khafa neendon ko kya keh kar manate hen? 

Mujhe ye hunar bilkul nhi ata.
K kese apne mar jane pe
 nohe ap karte hen? 
Ya apne hi gale lag kar
 dilasa kese dete hen? 
Phir apni hi laash ko kese.
Kisi payab darya.
Ya kisi ki adh bujhi
 taza chita min jhonk dete hen? 
Ya phir aakash k neeche
 khula hi chor dete hen? 

Mujhe to ye hunar bilkul nhin ata.
K kese zard mosam min.
Kisi bhi sard aur be-dard mosam min.
Khushi ka aik bhi ghuncha.
Bhala kese khilate hen? 
Ya kese aadhe raste se 
gharon ko lout jate hen?

Mujhe bilkul nhi ata.
Mujhe tum se mohabbat k siwa.
Magr wo bhi kahan ayi.
Koi hunar bilkul nhi ata.



Agr min pathar ki larki hoti

Agr min pathar ki larki hoti.
To apne pekar ki sabz rut par.
Bht si kaai ugaya karti.

Bht se tareek khwab bunti.
Ujale ko thokron min rakhti.
Khamoshiyon k babool chunti.

Dehakti kirnon ka jharna hoti.
Sama’aton k tamam fasoon.
Pash karti min kuch na sunti.

Min apne pallu min sog baandhe.
Kisi ko in ka pata na deti.
Safar k har aik marhale par.

Min rehzanon ki trah mukarti.
To min aziyat ki malgaji.
An-ginnat udasi k rang chunti.

Tumhari sari wajahaton ko.
Min so trah paara paara karti.
Na tum ko yon aeena banati.
Agr min pathar ki larKi hoti.



Tum ne mujhe chorne ka

Barhte raho k der tak.
Gham se rahe ga wasta.

Chalte raho k raah min.
Dukh k diyar aen ge.
Touq-o-hisar aen ge.

Likha he jo naseeb min.
Chashm-e-atab dekhna.

Mujhe mat batana.
K tum ne mujhe
 chorne ka irada kia tha.
To kiyon or kis waja se?

Abhi to tumhare bicharne ka 
dukh hi nhi kam hoa.
Baton k, wadon k, 
shehar-e-tilsimaat min.

Ankh par khush gumani ki patti liye.
Tum ko perhon k piche,
 darakhton k jhund.
Or deewar ki pusht par 
dhundne min magan hon.

Kahin par tumhari sada
 or kahin par tumhari mehak.
Mujh pe hansne min masroof he.

Mujhe mat batana k.
Tum ne mujhe chorne ka
 irada kia tha.
To kiyon?

Falak par jis traf dekhon

Falak par jis traf dekhon.
Andhera hi andhera he.
Sitare kis liye roothe.

Nhi he chaand bhi roshan.
Idhar ye chandni bhi to.
Kisi masum bache ki trah.

Naraz lagti he.
Zamin zinda salamat he.
Magr kala kafan pehne.

Musalsal so rhi he kiyon?
Mujhe to lagta he.
Falak se chaand taron ne na dekha ho.

Barasti ankh ka manzar.
Wo bheegi rat ka manzar.
K jese.

Koi kashti dubti ho beech darya min.
K jese koi sahil.
Door itna door ho.

Ankhon se ojhal ho.
K jese ik musafir.
Rasta apna bhatak jae.

Mujhe to lagta he.
Falak se chaand taron ne.
Ye manzar dekh rakha he.

Akeli rat ka manzar.
Wo bheegi rat ka manzar.
Barasti ankh ka manzar.

Tum ne kab inkar se

Mumkin he tum chahat k 
har harf k andar.
Lakhon ma’ani akhaz karo 
aur khud is ka inkar bhi kar do.



Mumkin he is lafz ki taqat tum ko.
Bebas kar de janaan.
Aur tum dil k tanha 
andhe ghaar min khud ko 
bebas pa kar yak dam.



Chahat ka iqrar bhi kar do.
Lekin kon zamanat de ga?



Tum ne kab asbat se 
pehle na likhi thi.
Tum ne kab inkar se 
pehle han likhi thi.

Agar kabhi meri yad aye

Agar kabhi meri yad aye.
To chaand raton ki dilgeer roshni min.
Kisi sitare ko dekh lena.

Agar wo nakhal-e-falak se urh kar.
Tumhare qadmon min a gire.
To ye jan lena.

Wo ista’ara tha mere dil ka.
Agar na aye……?
Magar ye mumkin hi kis trah he
 k tum kisi par nigah dalo.

To us ki diwar-e-jan na toote.
Wo apni hasti na bhool jaye.
Agar kabhi meri yad aye.

Gurez karti hawa ki lehron pe hath rakhna.
Min khushbuon min tumhen milon ga.
Mujhe gulab ki patiyon min talash karna.

Min aus qatra k ayine min tumhen milon ga.
Agar sitaron min, aus, khushbhuon min.
Na pao mujh ko.

To apne qadmon min dekh lena.
Min gird hoti musafaton min tumhen milon ga.
Kahin p roshan chiragh dekho to jan lena.

K har patange k sath min bhi sulag chuka hon.
Tum apne hathon se'
 in patangon ki khak darya min dal dena.
Min khak ban kar samandr min safar karon ga.

Kisi na dekhe hoe jazire par ruk k.
Tumhen sadaen don ga.
Samandron k safar pe niklo.

To is jazire pe kabhi utarna.

Tumhen jo besabab mujh se

Tumhen jo besabab mujh se 
khafa hone ki aadat he.
Ye aagaz-e-judai he
 k andaz-e-mohabbat he.

Wafa k rang min dekho
 jafa achi nhi hoti.
Kisi se piyar min 
itni ana achi nhi hoti.

Faqat kehne ki baten hen.
Nibhata kon he kis ko?

Chalo ab dekh lete hen
Manata kon kis ko?

January ki kitni shamen ayin

January ki kitni shamen ayin.
A kar beet gain.

Dil ne koi ahat, koi dastak mehsoos na ki.
Lekin sat baras bad.

Aaj ki sham min.
jane kya he.

Daen ankh ka dayan kona bheeg gaya he.

Thursday, May 30, 2013

use suna raha tha


Min kitni waraftagi se
 use suna raha tha.
Wo sari baten, wo sare qisse.
Jo us se milne se peshtar.
Meri zindagi ki hikayaten thin.

Min keh raha tha.
K or bhi log the.
Jinhen meri aarzu thi, meri talab thi 
K jin se meri muhabbaton ka raha ta'aluq.
Ki jin ki mujh par inayaten thin.

Min keh raha tha.
K un min kuch ko to min ne.
Jan se azeez jana.
Magr un min se baz ko.
Meri be dili se shikayaten thin.

Min ik ik bat.
Aik aik jurm ki kahani.
Dharakte dil,
 kanpte badan se suna raha tha.
Magr wo pathar bani.
Mujhe is trah se sunti rahi.

K jese mere labon par.
Kisi muqadas tareen
 sahife ki aayaten thin.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...