Suno piyare.
Mujhe malum he aasan lagta he.
Tumhen rahen badal lena.
Koi bhi mor mur jana.
Kisi manzil ko thokar mar kar
wapis chale ana.
Ya manzil ko faqat ik junbish-e-lab se.
Bht nazdeek le ana.
Mujhe malum he piyare.
Bht aasan he tum ko
wapis palat jana.
Meri tum be-basi dekho.
Mujhe tum se
mohabbat k siwa kuch nhi ata.
Magr is min bhi
kab koi qareena seekh payi min.
Ye dekho aankh rona chahti he.
Phir bhi banjar he.
Ye dekho hath kitne sard hen mere.
Ye dekho dil ki dharkan
kis trah tarteeb kho
kar doobne ko he.
Ye dekho mera aanchal
mere hathon se phisal kar
urh gaya kab se.
Ye dekho sans ki dori bhi
mujh se chootne ko he.
Mere ehsas ka
resham ulajh kar tootne ko he.
Mujhe to ye hunar bilkul nhi ata.
K kese apne zakhmon ko chupate hen?
Ya kese dard ko derman banate hen?
Ya kese roothti sanson ka daman.
Tham kar wapis bulatay hen?
Bht be-khwab aur wiran mosam min.
Khafa neendon ko kya keh kar manate hen?
Mujhe ye hunar bilkul nhi ata.
K kese apne mar jane pe
nohe ap karte hen?
Ya apne hi gale lag kar
dilasa kese dete hen?
Phir apni hi laash ko kese.
Kisi payab darya.
Ya kisi ki adh bujhi
taza chita min jhonk dete hen?
Ya phir aakash k neeche
khula hi chor dete hen?
Mujhe to ye hunar bilkul nhin ata.
K kese zard mosam min.
Kisi bhi sard aur be-dard mosam min.
Khushi ka aik bhi ghuncha.
Bhala kese khilate hen?
Ya kese aadhe raste se
gharon ko lout jate hen?
Mujhe bilkul nhi ata.
Mujhe tum se mohabbat k siwa.
Magr wo bhi kahan ayi.
Koi hunar bilkul nhi ata.
No comments:
Post a Comment