Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, April 27, 2011

Roshni mizajon ka kia ajab muqaddar hai

Roshni mizajon ka kia ajab muqaddar hai
Zindagi k rastay may, bichnay walay kanton ko
Rah say hatanay main
Aik aik tinkay say,aashiaan bananay main
Khushbuaain pakarnay main, gulistaan sajanay main
Umr kaat daytay hain
Umr kaat daytay hain....
Or apnay hissay k phool bant daytay hain
Kaisi kaisi khwahish ko, qatl kartay jatay hain
Umeed k Gulistan main abar ban kay rehtay hain
Sabr kay samandar may kishtiaan chalatay hain
Yeh nahi kay in ko iss, roz-o-shab ki kahish ka
Kuch sila nahi milta
Marnay wali aason ka,
Khoon baha nahi milta
Zindagi kay daman may jis qadar bhi khushyan hain
Sab hi haath aati hain
Sab hi mil bhi jati hain
waqt per nahi aateen..... Waqt per nahi milteen,
Yaani un ko mehnat ka,
Ajar mil tu jata hai
Laikin is tarha jaisay
Qarz ki raqam koi..qist qist ho jaay
Asal jo ibaarat ho, pass-e-nawisht ho jaay
Fasl-e-gul kay aakhir may phool in kay khiltay hain
In kay sehen may sooraj dair say nikaltay hain

5 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...