Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, May 31, 2013

Ab kaho, aya karo ge ?

Tang pathreeli gali ne chonk kar awaz di.
Shayad wohi he.
Dhoop, jo aahistagi se seerhiyan charhte hoe.
Be-dam si shayad thak gayi thi, aik lehza ruk gayi.


Image


Kya waqai wo aa raha he?
Zouf ki mari hoi burhi hawa ne pople moun se kaha.
Min us ki khushbu soongh sakti hon.
Wohi nat-khat he, wapas aa raha he.
Burhe darwazon ki aankhen band thin.
Kuch bhi nazar ata nhi, shayad wohi ho.
Us k bachpan ka khilandra dost, ik kancha.


Image


Jo pichle sath barson se.
Gali k aik kone min, manon miti k neeche, so raha tha.
Kulbula kar cheekh utha.
Al-madad! koi mujhe bahar nikalo.
Han, wohi he, dhoop boli.
Par woh bacha jis ko min pehchanti thi.


Image


Aane wale mard k dil min kahin gum ho gaya he.
Burhe darwazon ne aankhen khol din.





Pehchante hen hum ise, larka wohi he.
Bap ki manind lamba ho gaya he.


Image


Tang pathreeli gali boli.
Min kitni peerhiyon se.
Nanhe qadmon k bare hote hoe sab naqsh.
Apne jism par sambhal kar rakhti rahi hon.


Image


Cheekhta kancha manon matti k neeche ro diya.


Image


Min kese niklon?
Aur phir burhi hawa jo dam-ba-khud si ruk gayi thi.
Khilkhila kar hans pari.
Aao, zara dekhen.
Tumhare gaal, aanken, baal, chehra to wohi he.
Itni muddat tak kahan gum ho gaye the?
Ab kaho, aya karo ge ?

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...