Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, April 15, 2011

Hawa thami thi zaroor lekin..

Hawa thami thi zaroor lekin..

Wo sham jese sisak rahi thi..

K zard patto ko aandhion ne..

Ajeeb Qis'sa suna dia tha..

K jis ko sun kar tamam pat'te..

Sisak rahe the,
Bilak rahe the..

Jane kis sanhay k gham me..

Shajar jaron se ukhar chuke the..

Boht talasha tha hum ne tum ko..

Har 1 rasta..

Har 1 wadi..

Har 1 parbat..

Har 1 ghati..

kahin se teri khabar na aai..

To ye keh kar
Hum ne dil ko tala..

Hawa thame gi to dekh len ge..

Hum us k raston ko dhond len ge..

Magar hamari ye khush khayali..

Jo hum ko barbad kar gai thi..

Hawa thami thi zaroor lekin..

Bari hi mud'dat guzar chuki thi..

Hamare balon k janglon me..

Sufaid chandi utar chuki thi..

Falak pe tare nahi rahe the..

Gulab pyare nahi rahe the..

Wo jin se basti thi dil ki basti..

Wo log sare nahi rahe the..

Ye almiya sub se balatar tha..

K Hum tumhare nahi rahe the..

K Tum hamare nahi rahe the..

Hawa thami thi zaroor lekin
bari he muddat guzar chuki thi....!!!!!

3 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...