Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, January 28, 2011

Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay

Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay
To Shayed Hum Bhi Apna Rasta Tabdeel Kar Letay

Agar Hum Waqiaa Kam Hoslaa Hotay Muhabbat Mein
Marz Bharne Se Pehlay Dawa Tabdeel Kar Letay

Tumharay Sath Chalne Per Jo Dil Raazi Nahin Hota
Bohat Pehlay Hum Apna Faisala Tabdeel Kar Letay

Tumhari Tarah Jeenay Ka Hunar Aata to Phir Shayed
Makaan Apna wohi Rakhtay Pata Tabdeel Kar Letay

Judaai Bhi Na Hoti Zindagi Bhi Sahal Ho Jati
Jo Ek Dusray Se Masla Tabdeel Kar Letay

Bohat Dundlaa Geya Hai Yaadoon Ki Rim Jhim Mein Dil Saada
Woh Mil Jata To Hum Bhi Aaina Tabdeel Kar Letay

1 comment:

  1. bahut khoob bhai


    bahut shaandaaar gazal

    aaj se qareeb 12 saal pahle ye gazal maine ik risaale mein padhi

    aaj kuch halaat aise huyee k ye gazal yaad aayi
    phir maine google se search kar k abhi yahaan padhi


    bahut khoob soorat blog
    aapke zauq k ham fan ho gaye

    allah tala aapke zauq samaat yun hi buland rakhe


    allah hafiz

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...