Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 9, 2011

Jaanta hoon k munfarid nahin hoon magar

Jaanta hoon k munfarid nahin hoon magar
Koi to baat hay aisi k woh dewana hogaya





nahi ab kisi mein bhi hosla ke nazer bhi mujh se mila sake....
woh jo dard bakhshe the aap ne sabhi aa base hain nigah mein

2 comments:

  1. Mohabbat munfarid Meri,,Tamanna chaar soo teri..,!!

    Magar Tum ho kabi usS k,, kabi isS k,, Siwaa Mery.........!!!

    ReplyDelete
  2. Main aaina tha, woh mera khayaal rakhti thi
    Main toot-ta tha tau chun kar sanmbhal rakhti thi

    Harr ek masley ka hal nikaal rakhti thi
    Zaheen thi, mujhe hairat mein daal rakhti thi

    Main jab bhi tark-e-talluq ki baat karta tha
    woh rokti thi mujhe, kal pe taal rakhti thi

    Woh mere dard ko chunnti thi apni palkon se
    Woh mere wastey khud ko nidhaal rakhti thi

    Woh doobney nahi deti thi dukh ke darya mein
    Mere wajood ki naaow uchaal rakhti thi

    Duaaein uss ki, balaaon ko roak laiti thin
    Woh mere chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

    Ik aisi dhunn ke nahi phir kabhi main ne suni
    Woh munfarid sa hansi mein kamaal rakhti thi

    Ussey nadamatain meri kahan gawaara thin
    Woh mere wastey aasaan sawaal rakhti thi

    Bichar ke uss se main dunya ki thokaron mein hoon
    Woh pass thi tau mujhe lazawaal rakhti thi

    Sehar tha naam , ujaalay ghulam they uss ke
    Woh zindagi ke andhairey ujaal rakhti thi

    Woh muntazir meri rehti thi dhoop mein shayed
    Main laut-ta tha tau chaaon nikaal rakhti thi

    Udas Larka 03332963316

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...