Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, June 14, 2011

Mere Bare Main Wo Hawon Se kab Pochay Ga



Khirkiyon Ke SHeshon Par

Reengtay Hoey Qatray

Youn Phisaltay Hain jasay

Meray Our Badal Ke

Darmayan Koi Hai -Jo

Meray Our Badal Ke

Raaz Ko Samajta Hai

Jab Gatayen Chayen To

Sirf Wo Nahi Rotein

Ankheen Be Barasti Hain

Khirkiyan Bi Roti Hain
 
 


Merey Barey Main Hawaoon Se Wo Kab Pochey Ga...
Khak Jab Khak Main Mil Jaye Gi Tab Pochey Ga...

Gher Basaney Main Khatra Hai K Gher Ka Malik ...
raat Main Dair Se Aaney Ka Sabbeb Poche Ga...

Apna Ghum Sab Ko Batana Hai Tamasha Karna...
Hal -e-dil Us Ko Sunain Gey Wo Jab Pochey Ga...

Jab Bicherna Bicherna Bhi To Hanstey Howey Jana Warna...
Her Koi Rooth K Janey Ka Sabeb Pochey Ga...

Hum Ne Lafzoon K Jahan Daam Lagey Baich Dia...
Dhair Pochey Ga Hameein Ab Na Adab Pochey Ga...


Kaho Naaaaaaaa
Kaho Na
Kaho Na Kay Mera Harf Harf
Meri Khaamoshi
Tumhay Yaad Hai

Kaho Na Kay Dil Aaj Bhi
Meri Yaad Say Abaad Hai
Kaho Naaaaaaa

Tum Gaye Jab Say
Sard Gallion Main Dhoop Aatee Nahi
Chhatt Bulaati Nahi
Tum Gaye Jab Say
Sard Gallion Main Dhoop Aatee Nahi
Chhatt Bulaati Nahi

Umeed Ka Naam Baaqi Nahi Hai
Buss Aik Khalish Hai Kay Jaati Nahi Hai
Appni Duniya Say Baahir Aao To Dekho
Meri Duniya Ka Kia Rang Ho Gaya Hai
Appni Duniya Say Baahir Aao To Dekho
Meri Duniya Ka Kia Rang Ho Gaya Hai

Kaho Na
Kaho Na Mera Harf Harf
Meri Khaamoshi
Tumhay Yaad Hai

Kaho Naaa Dil Aaj Bhi
Meri Yaad Say Abaad Hai
Kaho Naaa

Dard Ghehra Tha
Surkh Aankhon Main Yaad Barh Ayee Thi
Tumsay Harjayee Ki
Dard Ghehra Tha
Surkh Aankhon Main Yaad Barh Ayee Thi
Tumsay Harjayee Ki
Umeed Ka Naam Baaqi Nahi Hai
Buss Aik Khalish Hai Kay Jaati Nahi Hai

Bheegay Saahil Pay Humnay Jo Bhi likha tha
Mit Gaya Tha magar Hai Abhi Zara Sa
Bheegay Saahil Pay Humnay Jo Bhi Likha Tha
Mit Gaya Tha Magar Hai Abhi Zara Zara Sa

Kaho Naaaaaaaa
Kaho Na
Kaho Na Kay Mera Harf Harf
Meri Khaamoshi
Tumhay Yaad Hai

Kaho Na Kay Dil Aaj Bhi
Meri Yaad Say Abaad Hai
Kaho Naaaaaaa



kabi jo ahd e wafa meri jaan terey merey darmyaan tootey
main chahta hon k is se pehley zameen pe yeh asmaan tootey

teri judayee mein hoslon ki shikast dil pe azaab thehri
k jesey munh zor zalzalon ki dhamak se koi chattaan tootey

usey yaqiin tha k us ko merna hai phir b khuwahish thi usk dil mein
k tez chalney se paishtar dast e dushmanaan mein kamaan tootey

sab daleelain sanbhal kar b merey vakeelo yeh soch lena
vahin pe meri shikast hogi jahan b mera byaan tootey

fana k teeley pe khaima e jaan hava k jhonkey se yun gira hai
k jesey badqismati se buzdil shikaryun ki machaan tootey

voh sang hai to girey b dil par voh aina hai to chubh hi jaiega
kahin to mera yaqiin bikhrey kahin to mera gumaan tootey

ujarr ban ki udas rut mein gazal to Mohsin ne chairr di hai
kisey khaber hai k kis k masoom dil pe ab k yeh taan tootey ?


Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai
Usse kehna be-fikar main b nahi hoon

Suna hay wo gumsum rehti hai
Usse kehna hazir zehan main b nahi hoon

Suna hay wo raaton ko jaga karti hai
Usse kehna sota main b nahi hoon

Suna hay wo chup chup k roti hai
Usse kehna hansta main b nahi hoon

Suna hai wo mujhe yaad buhat karti hai
Usse kehna bhoola main b nahi hoon

Suna hy usne wafa ka daawa kia hai
Usse kehna bewafa main b nahi hoon


Tum ne baarishon ko mehz barste dekha hai
main ne aksar barishon ko kuch kehte suntey dekha hai,

Tum dekhte ho barishon ki jal thal her saal,
mene barsat ko barhaa palkon pe machalte dekha hai, 

Kese mangun barstaa saawan apne RABB se??
in ankhon ne bastion ko saawan mei ujarte dekha hai,

Seekh gay hum barishon ko apne undar utarne ka fun,
or phir sab ne hamen har pal hr dum hanste dekha hai...!


Chalo ab hum bichhartey hain

Sulagti dhoop mein ghum ki
Bhari aankhon ke saawan mein
Kaho tum alvida mujh ko
Khudha hafiz kahoon main bhi

Chalo ab hum bichhartey hain…

Safar yeh mukhtasar hoga
Yeh hum ko bhi khabar to thhi
Yeh tum bhi jaanti thhi ke
Koi din ka safar hai yeh
Kisi ek moor par ek din
Bichhar jaayen ge hum yun hi
Tumhari raah ki zid par
Mere raste khulenge

Yehi wo moor hai jis pe
Bichharna hai hamein hans ke
Alag raste pe chalna hai
Alag manzil ki jaanib ab

Chalo ab hum bichhartey hain…

Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tum se
Safar lamba hai mujh ko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bool ke sikkey…
Ke kal jab khaamushi dar pe
Kabhi aa ke sadda dede
To dhar doon uske kaanse mein
Khanakte bol ke sikkey
Tumharey bol ke sikkey

Koi bhi atpata jumla Ke jis me ho
Quran-e-zeest ke aayat ka jaadu
Tum apni pyaari ungli se
Hamari peeth par likh do
Ke kal jab lafz dab Jaayen
Kitaabon ki imaarat mein
Yehi jumla parhunga main
Tumhara atpata jumla!!

Jaga do lams ke jugnu
Mere saare badan par tum
wo jugnu jo karein roshan
Tumhari yaad ko har dum
Ke kal jab bhi andhere se guzar hoga
Yehi jugnu to chamken ge
Tumhaare lams ke jugnu!

Bithaa do pyaar ki titli
Alag qismon ki rangon ki
Meri har shaakh pe chun ke
Ke kal jab zindagi berang hogi to
Yehi titli main dekhun ga
Tumhare pyaar ki titli!

Baha do aankh ka dariya
Mere kaandhe pe sir rakh ke
wo dariya jiss mein hon apne
Bitaaye sab ke sab saawan
Ke kal jab tashnagi meri
yeh jism-o-jaan jalayegi
Yehi dariya piyun ga main
Tumhari aankh ka dariya!!

Tum apne khushnuma naakhun
Chubho do mere seene par
Jhapat kar is qadar gahre
Ke rahti zindagi tak ek bhali si tees rah jaaye


Chalo ab hum bichhartey hain
Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tumse
Safar lamba hai mujhko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bol ke sikkey
Koi bhi atpata jumla
Tum apne lams ke jugnu
Aur apne pyaar ki titli
Aur apni aankh ka dariya
Vohi ek tees laafaani!!!!


Usi Ko Apne Dil Mein Basaya Aur Basaya Kuch Bhi Nahi,
Jidhar Dekha Udar Woh Nazar Aya Aur Nazar Aya Kuch Bhi Nahi,

Duniyaan Walon Ne Bewaja Badnaam Kardiya Mujhe,
Maine Bas Uska Dil Churaya Aur Churaya Kuch Bhi Nahi,

Bas Aik Usi Ko Nahi Khona Chahtay Thay Hum Laikin,
Humne Bas Usi Ko Ganwaya Aur Ganwaya Kuch Bhi Nahi,

Woh Jisko Yaad Kiye Baghair Sotay Nahi Thay Hum,
Usne Bas Humein Hi Bhulaya Aur Bhulaya Kuch Bhi Nahi


ik pagli mera naam jo le sharmaye bhi ghabraye bhi 
galion galion mujh se milne aye bhi ghabraye bhi

raat gaye ghar jane wali gum sum ladki rahon mein
apni uljhi zulfon ko suljhaye bhi ghabraye bhi 

kon bichad kar phir lotey ga kiun awara phirte ho
raton ko ik chand mujhey samjhaye bhi ghabraye bhi

ane wali rut ka kitna khof hai us ki ankhon mein
jane wala door se hath hilaye bhi ghabraye bhi

kiya jane woh kon hai mohsin jis ki khatir raton ko
tez hawa pani par naqsh banae bhi ghabraye bhi
 


Park Ki Puraani Seaton Par
Baitay Baitay Do Saaye Thay
Un Saayon Ke To Dil Bhi Thay
Wo Saaye To Hum Tum Hee Thay

Kiya Bhool Gaye Un Baaton Ko
Jo Bait Ke Hum Kiya Karthay Thay

Wo Teri Hansi Ki Aawazein
Wo Mere Zakhmo Par Jaise Marham
Wo Tere Waaday Aur Dillasay Bhi
Mein Jin Pe Umeed Ki Dorain Bandtta Tha

Wo Tera Mil Ke Bicharna Phir
Mujhe Yaad Hai Wo Haqeeqat Bhi
Aur Phir Tera Na Mujh Se Kabhi Milna
Mera Un Seaton Par Bait Kar Akelay Rona

Phir Yaadon Ki Ghatlee Nikal Kar
Un Mein Kuch Achi Yaadein Chunna
Kuch Pagalpan Ki Baatein Thee
Kuch Chahat Ke Sapnay Bunna

Aur Phir Khatam Hoye Saaray Qissay
Jab Kaghaz Par Tehreer Banay
Mein Bhoola Nahi Hoon Saari Baatein
Magar Kiya Karon inhain Yaad Kar Ke


Bicharrne wale...!

Tujhe khabar hai?

K tere jaane se mera jeevan,

Hazaar khanoun main batt gaya hai,

Tujhe khabar hai bicharrne wale...!

K meri khushian he kho gai hain,

Main kitna tanha sa ho gaya hoon,

Wajood mera tou is safar main ,

Ye dekh zakhmoun se att gaya hai,

Main sochta hoon...

Magar yeh sochen,

Kyon aik nuqte pe jamm gai hain,

Mujhe yeh mahsoos ho raha hai,

K Jese saansen he thamm gai hain...

Mujhe bata de bichrrne wale...!

K khud ko kese sambhalna hai,

Hijar k rastouN pe chalte chalte,

Ye mere paaon lahoo main tarr hain,

Yaqeen ker le main thakk gaya hoon...

Bicharrne wale...! Tujhe Khabar hai?

Main kub ka khud se bicharr chuka hoon...!!!


Zindagi k is lamhay
Main bethi sooch rahe hoon
ke mujhe tum se kitni Mohabat hai,
shayad iska andaza kerna,
Namumkin hai meray liye, 
Mohabat ki koi inteeha nahei hoti,
isay bayaaN kerne ki koi zabaaN nahei hoti,
sirf itna jan lo JanaaN,
jitay taray asmaaN main hain,
jitnay phool zameeN per hain,
meray dil ke nihaaN khanoon main,
itnay hi Deep jalay hain,
Jo Tumharay naam ke hain,
Suno Humsafar!
Zindagi ke kisi lamhay main,
mujh se juda tum maat hona,
Lamha_e _Qayamat hoga wo meray leye,
KE TUMBIN ZINDAGI SE MAUT ACHI HAI..........


Qissa Abhi Hijjab Se Aagay Nahi Barha
Mein Aap, Woh, Janab Se Aagay Nahi Barha

Muddat Hui Kitab-e-Mohabbat Shurru Kiye
Lekin Mein Pehle Baab Se Aagay Nahi Barha

Lambi Musawatein hein Magar Iss Sawar Ka
Paaon Abhi Raqaab Se Aagay Nahi Barha

Tool-e-Kalam Kay Liye Mein Ne Kiye Sawal
Woh Mukhtassar Jawab Se Aagay nahi Barha

Rukhsaar Ka Pata Nahi Aankhen To Khob hein
Darshan Abhi Naqaab Se Agay Nahi Barha

Woh Lazat-e-Gunnah Se Mehroom Hee Raha
Jo Khuwahish-e-Sawab Se Aagay Nahi Barha


~*~SHAAM KA DHALTA SORAJ~*~
Shaam Ka Dalta Soraj, Kuch Kehte Kehte Doob Giya,
~*~
Tanhai k ik roz Aalam main,
~*~
Udasi k ik Din Manzar main,
~*~
Ghum k Gehrey saaye main,
~*~
Shaam Ka Dalta Soraj, Kuch Kehte Kehte Doob Giya...
~*~
Chal rahi thi Pursooz Hawa,
~*~
Lagta tha k Jaise.....
~*~
Koi Saada zoor se Ghonje gi,
~*~
Koi Chekhy ga Chalaye ga,
~*~
Rang Faluk bhi apna Badle ga,
~*~
Ek Surkhi har so Phailey gi,
~*~
Main ne Dekha jo Daltey Soraj ko,
~*~
Ek Karb ka Manzar waizey tha,
~*~
Ek dard ka Fasaana Roshan tha,
~*~
Ek Rang tha sirf Udaasi ka,
~*~
Ek Ehsaas tha sirf Bezaari ka,
~*~
Lagta tha Jaise.....
~*~
Sadihon pe Phaili Kahani ka,
~*~
Aaj Raaz to Afshaa ho ga,
~*~
Aaj saari Duniya Dekhe gi,
~*~
Aaj khob Tamasha hoga,
~*~
Youn Lagta tha k Jaise.....
~*~
Aaj Dil khol k Soraj Roye ga,
~*~
Tab chain ki Neend ye Soye ga,
~*~
Is Dil sooz Hawa main jaise,
~*~
Aaj bohot se Fasaly hone Hain,
~*~
Lekin Fasaly ki is Ghari main,
~*~
Waqt ne barri Na-Insaafi ki,
~*~
Main ne Aankh utha k Dekha jo,
~*~
Bari Hasrat se Majbori se,
~*~
Meri Aankhon main Aankhen daaley,
~*~
SHAAM KA DHALTA SORAJ, KUCH KEHTE KEHTE DOOB GIYA...!!!



Neendain meri aankhon se churaata hey wohi shakhs--
so jaaon tau khaabon main bhi aataa hey wohi shakhs--

jis zakhm ka khaliq bhi koi aur naheen hey --
us zakhm pa marham bhi lagata hey wohi shakhs--

haathon ki lakeeron main bhi talashey wo mujhko--
hathon ki lakeerain bhi mitaata hey wohi shakhs--

rakhta hey mujhey qaid bhi ek band galli main--
rastey bhi niay mujhko sujhata hey wohi shakhs--

har lamha yeh koshish main ussey bhool hi jaaon--
pehlay se siwa yaad bhi aataa hey wohi shakhs-- 

ham jin se tallab roshinian kartey rahey hain--
aata hey tau shmain bhi bujhata hey wohi shakhs--

jo aaiena main apnay liay dhoond ka laaya--
us main bhi hamesha nazzar aata hey wohi shakhs--

us shakhs ki khaatir hoon main dunia se judaa bhi--
laiken maira dunia se bhi naataa hey wohi shakhs--

jis shakhs kay honay se thi es shehar ki rozaq-- 
suntay hain kay es shehar se jaataa hey wohi shakhs--


Sochti hoon ke mein ne...
kion chaha, kion itna eitebaar kiaa...
tum ne chorr hi to jana thaa...

ajab si baat hai...
aankh band ho tumhen sochoon...
har dil ki dharrkan ...tumhen mangey...

is qadar pyar to nahen paao ge...
is terah paas koi aaye bhi to...
yaqeen hai mujh ko...
dhoondhtey raho ge...
lekin...kisey...kahan..

koi nahen hai ab to...
jisko dhoondh paao..
jissey dil ka haal sunao...

koi nahen hai...
khud hi to torr diye tum ne...
chahaton ke sab rishtey..
sab kassmen khud hi torr deen tumne...

sochti hooon...ab to shayed
aitebaar ker hi na paaoon..
jorr liya hai rishta..
is tanhaayee se ..
jo pal pal ehsaas dilati hai...
ke wo meri hai...

haan ye tanhayee meri hai....
aur koi nahen
kabhi nahen....!!!!



Tum apni ranj-o-ghum apni pareshaani mujhe de do
Tumhe gam ki kasam is dil ki veerani mujhe de do

Ye mana main kisi qaabil nahi hoon, in nigahon main
Bura kya hai, ye hairaani, ye dukh, mujhe de do

Main dekhoo to sahi duniya tumhe kaise satati hai,
Koi dil ke liye apni nigehbaani mujhe de do

Wo dil jo maine maanga tha magar gairon ne paaya hai,
Badi sahi hai agar pareshaani mujhe de do 


Jahan jahan bersaat uterti daikhi hai
Her sou teri yaad bikherti daikhi hai

Tum se pehlay dil sa buzdil koi na tha
Aur phir iss dil se dunya derti dekhi hai

Dil ke gehray sannatay main raaton ko
Kabhi kabhi ik hook ubherti dekhi hai

Buss ik jeenay ki khwahish thi aur wo bhi
Hum ne apni aankhon merti dekhi hai


Ek chehra nayab dikhayi deta hai,
Khawbon mai bhi khawab dikhayi deta hai,

Kon hai jis ki khatir yeh pagal dil,
Har lamha betaab dikhayi deta hai,

Tere hi jalwon se mere afsane ka,
Roshan eke k baab dekhayi deta hai,

Pehli chahat ka nanha sa poda bhi,
Jiwan bhar shadab dikhayi deta hai,

Sapnon ki jab koi basti basti hai,
Be mousam selaab dekhayi deta hai,

Ghat’ti umr ki dolat kis ko dikhti hai,
Bas maal-o-asbaab dekhayi deta hai,

DUKH jaye jab RAGHIB wo roshan chehra
Phir kis ki mehtaab dekhayi deta hai…!!!!!


Yeh Dasht Yeh Wehshat Yeh Shaam k Saye,
Khuda Yeh Waqt Teri Aankh Ko Na Dikhlaye,

Usi K Naam Se Lafzon Mai Chand Utre Hain,
Who Ek Shakhs K Dekhon To aankh Bhar Aaye,

Kali Se Mai Ne Gul-e-Tar Jise Banaya Tha,
Ruten Badalti Hian Kese Mujhe Hi Samjhaye,

Jo Be Charagh Gharon Ko Charagh Deta Hai,
Usey Kaho K Mere Shehar Ki Taraf Aaye,

Yeh Iztarab-e-Musalsal Azaab Hai AMJAD,
Mera Nahi To Kisi Or Ka Ho Jaye……!!!!!!!!


Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gi

Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab matam ki tarah Khushi wo manati ho gi

Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gi

Dil ki masoom raggin khud he sulagti hon gi
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gi

Roop day kar mujhay is mein shehzaday ka
Bachon ko kahani woh sunati ho gi

Sochta hoon k usay neend bhi aati ho gi
Ya meri tarah ashq bahati ho gi

Woh meri shakal mera naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gi

Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Mere matam ki sada arsh hilati ho gi…...!!!!!!


main aur meri bekhudi ab teray naam hay,
meri tamaam zindagi ab teray naam hay.

socha tha zindagi ka safar tanha karain gay,
iss zindagi ki har khushi ab teray naam hay.

logon ki baat dil pe na lena kabhi sanam,
meri toe sans akhri ab teray naam hay.

jalnay do inko jalnay ki aadat hay purani,
main aur meri dosti ab teray naam hay.

hum say wafa karo na karo jan-e-tamanna,
apni toe sari zindagi ab teray naam hay.

ehsas zindagi ka mujhay denay walay sunn,
lamha meri ghari meri ab teray naam hay.

na faasla koi hay na deewar-e-dushamanaan,
yeh chaand aur yeh chandni ab teray naamhay.

yeh aarzoo choti si Mussawir ke dil main hay,
woh bhi kahay yeh aashiqi ab teray naam hay.


har pal tujhe yaad yeh dil karta tou hai,
teri khushi ki fariyaad yeh dil karta tou hai,

tumne tou karli bewafaai humse,
phir bhi tujhi se wafa yeh dil karta tou hai,

meri mohabbat ko tune kai ilzaam de diye,
phir bhi tujhe chahne ki khata yeh dil karta tou hai,

todd ke wada tum chal diye,
phir bhi tera intzaar yeh dil karta tou hai,

gham tujhe kabhi chhoo na paaye,
bus yehi dua yeh dil karta tou hai,

tere sare aansoo muhje mil jaaye,
yehi iltijaa yeh dil karta tou hai ,

dil ke badle dil ke anginat tukde mile hume,
toota hua hi sahi tere liye yeh dil dhadkata tou hai,

na mil saki mohabbat teri humein,
phir bhi tujhise mohabbat yeh dil karta tou hai,

tum tou kar na sake iqraar-e-mohabbat,
lekin pyar ka izhaar yeh dil karta tou hai,

har modd per sivaye dagaa kuch na diya tumne,
phir bhi tere liye khuda se takraar yeh dil karta tou hai.


Naqsh yaadon k mitati hy tou ro parti hai
Wo mery khat jo jalati hai tou ro parti hai


Khoon dakhta hai mere marte huey sapno ko
Khwab ankhon mein basati hai tou ro prti hai


Log puuchein jo kabhi gehri udasi ka sabab
Baat logon se chupati hai tou ro parti hai


Yaad karti hai mjhy toot kar us lamhy
Sham chehra jo dkhati hai tou ro parti hai

Wo bary zabt bary hosly wali larki
Gham ko tehreer banati hai tou ro parti hai ...


Wiraan Sa Ujjrra Sa Tanha Koi Shakhs

Kal Raat Akaile Mein Shayad
Kuch Warq Jala Raha Tha..

...Uthte Huwe Sholon Mein
Khud Bhi Ik Shola Nazar Aa Raha Tha..

Jhatak Raha Tha Sar Woh
Aansu Baha Raha Tha..

Aise Mein Kisi Ne Guzarte Huwe Pucha...
Pagal! Kitaab Jala Rahe Ho..?
Tarap Kar Bola Nahi........Khawab..
 


soch k sahrao me khara hoon main
hath philaey terey intazar me khara hoon main

merey lafzo ki aah ko tu samaj na saki
kali rato me aag me khara hoon main

dil toot kar raiza raiza ho gia he
dil ka dard liey wirano me khara hoon main

khuda k liye koe us se mila de mujey
apney hi anso me doob mara hoon main

koe to merey khabo ko tabeer de
toot na jaey isi liye ankhey band kiey para hoon main 

kabi palat ke ik bar dekhna zindagi me
ha aj b unhi raho pe akaila khara hoon main
 


Yeh dolat bhi ley lo yeh shuhrat bhi ley lo
Bhaley chheen lo mujhsey meri jawani
Mager mujhko lota do bachpan ka sawan
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani"
Muhalley ki sab sey purani nishani
Wo bhuriya jisey bachey kehtey they nani
Wo nani ki baton mein parion ka dera 
Wo chehrey ki jhurion mein sadion ka pehra
Bhulaye nahi bhool sakta hey koi
Wo Chhoti si ratein wo lambi kahani
Kari dhoop mein apney ghar sey nikalna
Wo chiriya wo bulbul wo titli pakarna
Wo guriya ki shadi pey larna jhagarna
Wo jhuloon sey girna or gir ker sanbhalna
Wo peetal key chhalon key piyarey sey tuhfey
Wo tooti huee choorion ki nishani
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani"
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani
 


abb nahi neend may aingay,chalo wada raha,
app ka saath nebhaingay,chalo wada raha,

eyhad yeh tark-e- mohoobat ka meri jan nahi toringay,
app ko hum na bhulaingay chalo wada raha,

shab ki tanhai may tum yaad agar aye kabhi,
ek bhi ansoo na bahaingay,chalo wada raha,

roth janay pe na joringay kabhi apnay hatth,
tujh ko hergiz na maningay,chalo wada raha,

apnay ujtay huye iss dil kay neha khanoo may,
teri suraat na sajingay,chalo wada raha,

lay teray hukum pe hum saher tera choor chalay,
abb na lot kay aingay.chalo wada raha,

abb mohoobat ki na umeed rakhin gay,tujh say,
dil may arman na basaingay ,chalo wada raha...


Mujhe Ye Zidd Nahi Mere Gale Ka Haar Ho Jao
Akele saath Dena Tum Jahan Be-Zaar Ho Jao,

Bahut Jaldi Samajh Mein Aane Lagte Ho Zamane Ki,
Bahut Aasan Ho, Thode Bahut Dushwar Ho Jao,

Mulakaton Mein Wafa Isliye Hona Zaroori Hai,
Ke Tum Ek Din Judayi Ke Liye Taiyar Ho Jao,

Main Kaisi Chil-Chilati Dhoop Ke Sehra Se Aaya Hoon,
Bas Ab Aisa Karo, Tum Saya-E-Deewar Ho Jao,

Tumhare Paas Dene Ke Liye Jhuthi Tasalli Ho,
Na Aaye Aisa Din, Tum Is Kadar Nadar Ho Jao,

Tumhe Malum Ho Jayega Kaise Ranj Sehte Hai,
Meri Itni Dua Hai Kash Tum Fankar Ho Jao...
 



Mohabbat khoney or paney ka naam sahi

Lekin mohabbat jeet janey ka nam bhi hai

Main ne tumhey paya

Tum ne mujhe paya

Aao aaj aehad karain

Humari mohabbat sada rahegi

Isey khoney na deingey

Rastey ki har deewar ko

Giraney main tum mera saath dogey

Aao wada karain



Saal ka Aakhri Din Hai
Abhi Kuch Dhoop Hai Lekin
Zara Si Dair ko Tay Hai Ke Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhi Hai Anjam Hona Hai
Chalo Mil Baith Ke Apne Khasare Bant Lete Hain
Sab Hi Rang Aur jugno Aur Sitare Bant Lete Hain
Zara Si Dair Ko Tay Hai ke Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhi Hai Anjam Hona Hai
To kyon Naa Kuch Shaam Se Pehle
Jo Kuch Ghariyan Muyasir Hain
Unhi Mein Zindagi Kar Lain,
Kisi ehsaas Ki Shama Jala Kar
Inn Andheron Main
Koye Daam Roshni Kar Lain
Chaloo Hum Dosti Kar Lain
Zara See Dair ko Tay Hai Ke Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhi Hai Anjam Hona Hai.


Kidhar gaya wo mujhe khaak se rehaa ker ke
Pata chale gaa hawaaon se raabta ker ke

Jahaan bhii jaaon gaa dukh mere saath jaaye gaa
Ke jaise jurm kiya hai koii wafaa ker ke

Jo kal kii subha hai merii hai yaa kisii kii nahiin
Main tergii se larra huun ye faisla ker ke

Mitta hii laite hain mehroomi-e-bahaar kaa gham
Tumhaarii bazm main phuulon kaa tazkra ker ke

Kisii ne aag jalaii hai parbaton pe
Koii chala hai samandaron main raasta ker ke


Wisaal-O-Hijr Mein
Ya Khwab Se Mahroom Aankhon Mein
Kisi Ahd-E-Rifaqat Mein
Ke Tanhai Ke Jangal Mein
Khyal-E-Khal-O-Khad Ki Roshani Ke Gahre Baadal Mein
Chamkti Dhoop Me Ya Phir
Kisi Be Abr Saye Mein
Kahin Baarish Me Bhige Jism-O-Jaan Ke Nasrparon Mein
Kahin Hoton Pe Shairon Ki Mahaktie Aabsharon Mein
Chiraghon Se Saji Shaamon Mein
Ya Benoor Raaton Mein
Sahr Ho Runuma Jaise Kahin Baaton Hi Baaton Mein
Koi Lipta Hua Ho Jis Tarah
Sandal Ki Khushboo Mein
Kahin Pe Titliyon Ke Rang Tasweeren Bana Te Hon
Kahin Pe Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshani Khud Ko Chupati Ho
Kahin Kaisa Hi Manzar Ho
Kahin Kaisa Hi Mausam Ho
Tere Saare Hawalon Ho
Teri Saari Misalon Ko
Mohabbat Yaad Rakhti Hai



BAHARAIN KAB GULSHAN MAIN SADA REHTI HAIN.

KALION MAIN
KHOSHBOO TA OMER KAHAN REHTI HAI.

SAWAN AIK HI ZAMEEN PAR
BARASTA TO NAHI.

BADAL KISI DASHT MAIN RUKTA TO NAHI.


JUDA HO JATAYHAIN PATAY BHI DARAKHTON SAY.

FASLAIN BHI
KAT JATIN HAIN KHAITOON SAY.

SAHIL PAY LEHRAY A KARCHALI
JATIN HAIN.

HAWAIN TO BUS CHO KAR NIKAL JATIN HHAIN.


DUNYA MAIN KOI KISI KA HO KAR NAHI RAHA HAI.

TAMAM OMER
KOI YAD KARAY NAHI AESA TO NAHI HUA HAI.

PHIR BICHARNAY K IS
LAMHAY TUM Q UDAS HOTAY HO.

SAMJHO K AIK DOJAY KO HUM NAY
CHAHA HI NAHI THA.

KOI NAGHMA LABOON PAR HUM NAY SAJAYA HI
NAHI THA.

DIL MAIN PALNAY WALAU EHSAS_E_MOHABAT KO DABA DO
TUM.

HAN MAIN AJJ TUM SAY KHETI HUN K MUJHAY BHOLA DO TUM.


MERAY LAFZOON KA YEH HASIL HAI K MAIN NAHI TUMHARAY LIYE...


BICHARNAY SAY KUCH DAIR PHALAY MUJHAY YEH SAB KHENAY WALI..


WAFA KO ANJAAM KA GHERA KARB DENAYWALI.
MERI ZINDAGI SAY
DAMAN CHURANAY WALI.

JATAY HOYE JAB PALTI TO DARD AOR BHI
GHERA THA.

US KI ANKHOON MAIN KAJAL MERI TAKDEER KI TARAH
BIKHRA THA



Chalo Khuwab Aankhon Main Saja Kar Dekhte Hain

Chalo Hum Kisi
Ko Apna Bana Kar Dekhte Hain,

Khoon Ke Rishton Se Aitbaar To
Uth Gaya,

Chalo Benaam Rishtay Bana Kar Dekhte
Hain,

Zindagi Aasan Ho Jaye Shayad Hamari,

Chalo Hath Ki
Lakeerein Mita Kar Dekhte Hain,

Andheri Shab To Kisi Surat
Katti Nahi,

Chalo Ghar Apna Jalla Kar Dekhte Hain,

Humein
Maloom Hai Ke Tum Ne Hamara Hona Nahi,

Chalo Tum Per Ye
Zindagi Luta Kar Dekhte
Hain..
 


aye kuch abr kuch sharab aye
us k bad aye jo azab aye

bam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi main aftab aye

har rag-e-khun main phir charagan ho
samne phir wo benaqab aye

umr k har waraq pe dil ko nazar
teri meher-o-wafa k bab aye

kar raha tha gam-e-jahan ka hisab
aj tum yad behisab aye

na gai tere gam ki sardari
dil main yun roz inqalab aye

jal uthe bazm-e-gair k dar-o-bam
jab bhi ham khanamankharab aye

is tarah apni khamashi gunji
goya har simt se jawab aye

'Faiz' thi rah sar basar manzil
ham jahan pahunche kamayab aye


Ya Rab Hamein Tujhse Koi Gila Bhi Nahi
Wo Naseeb Mein Nahi Tha Isliye Mila Nahi,

Seencha Tha Jis Chaman Ko Apne Dilke Lahoo Se,
Phir Kyon Barsaat Mein Koi Phoool Khila Nahi,

Na Lage Koi Chit Is Dil-E-Natawan Par,
Abhi To Pichhla Zakham Bhi Mujhse Sila Nahi,

Manga Tha Jholiyan Utha Utha Kar Use,
Magar Hamein Duwayon Ka Koi Sila Mila Nahi...

1 comment:

  1. there is a mistake in the second last line of this ghazal
    Wisaal-O-Hijr Mein
    Ya Khwab Se Mahroom Aankhon Mein.

    There should be k instead of h.

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...