Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, April 18, 2012

Harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai







“کچھ کہنے کا وقت نہیں ہے یہ ”
کچھ کہنے کا وقت نہیں ہے یہ -کچھ نہ کہو ‘ خاموش رہو
اے لوگو خاموش رہو – ہاں اے لوگو ‘ خاموش رہو

سچ اچھا ‘ پر اس کے جلو میں ‘ زہر کا ہے اک پیالہ بھی
پاگل ہو ؟ ناحق کو سقراط بنو ‘ خاموش رہو

حق اچھا – پر اس کے لئے کوئی اور مرے تو اور اچھا
تم بھی کوئی منصور ہو جو سولی پے چڑھو ؟ خاموش رہو

ان کا یہ کہنا سورج ہی دھرتی کے پھیرے کرتا ہے
سر آنکھوں پر ‘ سورج ہی کو گھومنے دو – خاموش رہو

مجلس میں کچھ حبس ہے اور زنجیر کا آہن چبھتا ہے
پھر سوچو ‘ ہاں پھر سوچو ‘ ہاں پھر سوچو ‘ خاموش رہو

گرم آنسو اور ٹھنڈی آہیں ‘ من میں کیا کیا موسم ہیں
اس بگیا کے بھید نہ کھولو ‘ سیر کرو ‘ خاموش رہو

آنکھیں موند کنارے بیٹھو ‘ من کے رکھو بند کواڑ
انشا جی ! لو دھاگا لو اور لب سی لو ‘ خاموش رہو







Harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai

baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai

aik lamhay ki tawajoo nahi hasil uss ki

aur yeh dil keh ussay hud say siwa chahta hai

ik hijaab teh e iqrar hai ma’nay manay warna

gul ko maloom hai kaya dast e saba chahta hai

rait he rait hai iss dil mein musafir mairay

aur yeah sehra taira naqash e qaf e pa chahta hai

yehe khamooshi kai rung mein zahir ho gi

aur kuch roz keh woh shokh khula chahta hai

raat ko maan liya dil nay muqadar laykin

raat kay haath pay aab koi diya chahta hai

tairay paymanay mein gardish nahi baqi saqi

aur tairi bezam say aab koi utha chahta hai





Tarqe taluqaat pay…

roya na tu na main…..

lekin ye kya kay chain say….

soya na tu na main..

Wo humsafar thaa……..

Wo humsafar thaa……..

Wo humsafar thaa magar us sey humnawai na thi…

Wo humsafar thaa magar us sey humnawai na thi…

Kay dhoob chaaon ka…..

Kay dhoob chaaon ka aalam raha judai na thi…

Wo humsafar thaa……..

Wo humsafar thaa……..


Adaavatein theen..Taghaaful thaa

Ranjishein theen Magar..

Adaavatein theen..Taghaaful thaa…

Ranjishein theen Magar….

Bicharne walay main sab kuch thaa Bewafai na thi…

Bicharne walay main sab kuch thaa Bewafai na thi…

Kay dhoob chaaon ka…..

Kay dhoob chaaon ka aalam raha judai na thi…

Wo humsafar thaa……..

Wo humsafar thaa……..

Kaajal daaro kurkura surma

Saha na jaaye

Jin Nain mein pee bassay

Dooja kon samaaye

Bicharte waqt un ankhon mein thi hamari ghazal

Bicharte waqt un ankhon mein thi hamari ghazal

Ghazal bhi wo jo kisi ko kabhi sunai na thi

Ghazal bhi wo jo kisi ko kabhi sunai na thi

Kay dhoob chaaon ka…..

Kay dhoob chaaon ka aalam raha judai na thi…

Wo humsafar thaa……..

Wo humsafar thaa……..





Kabhi bay simt ruston per chalo ik bar chaltay hain

Dikhai day koi manzil chalo ik bar chaltay hain

Yahan thum saa gaya hay waqt howa kya hay khuda janay

Jahan gardish main ho dunya chalo ik bar chaltay hain

Yohien daamun bechaaye intezaar-e-ghum main kya rehna

Kehien bay chain lumhon main chalo ik bar chaltay hain

Budal kar daikh laitay hein hum apni zeest ka mausum

Jahan mausum budaltay hon chalo ik bar chaltay hain

Sunna hay kooch karnay say budal jaati hein taqdeerein

Yaqeen rukhtay howay dil main chalo ik bar chaltay hain

Saja kar rakh leye hein dard jo hum nay naseebon main

Kisi goher-e-shifa k paas chalo ik bar chaltay hain

Saza ka ore jaza ka moamla chhordo ab jaanay dau

Jahan na khatm hon sudyaan chalo ik bar chaltay hain

Tumhain koe ozer na ho tau, ye shaukat ko bata daina

Wafa ka imtehaan hay ye chalo ik bar chaltay hain





Sabhi insan hain mager
Faraq sirf itna hay

Kuch zakham dety hain
Kuch zakham bharty hain

Humsafar
Boht hain
Mager
Farq sirf itna hay

Kuch sath dety hain
Kuch chor dety hain

Piyar
Sabhi kerty hain
Mager
Farq sirf itna hay

Kuch jaan dety hain
Kuch jaan lety hain

Dosti
Sabhi kerty hain
Mager
Farq sirf itna hay

Kuch loog nibhatay hain
Kuch loog aazmatay hain





Hum nahin kehte hamari, Teri dunya ho jaye…
Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye,
Itne rangon mein koi rang to apna ho jaye,

Ishq woh “turfa-balaa” hai ke kare jis ki talb,
Us ko maloom na ho, Sheher mein charcha ho jaye,

Do sitaron ko jo dekhoon teri ankhen ban jayen,
Chand ko dheyan mein laaon tera chehra ho jaye,

Har dora hai yeh nigehbaan khari hai kismat,
Kese mumkin hai ke har shasks ka socha, ho jaye,

Hum ko har bazm mein, Har haal mein sach kehna hai,
Sheher ka sheher khafaa hota hai, Acha ho jaye,

Ishq woh kaar-e-musalsal hai nahin jis ki akheer,
Us ki taufiq hai jis shakhs se jitna ho jaye,

Husn ki ankh woh tahsees talb hai amjad,
Bheerr ho charon taraf aur koi tanha ho jaye..





Yeh Battain Jhooti Battain Hain
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain
hain lakhoo roog zamanay mein, kiyon ishq hai ruswa bay’chara
hain aur bhi wajhain wehshat ke, insaan ko rukhteen dukhyaara
haan bay kal bay kal rehta hai, hoo peet mein jiss nay jee haara
par shaam say lay subah talak youn koun phiraay ga awaara ?
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain
*
yeh baat ajeeb sunatay hoo, woh duniya say bay’aaas howay
ik naam suna aur ghush khaya, aik zikar pay aap udaas howay
woh ilam mein aflatoon sunay, woh shair mein tulsi daas howay
woh tees baras kay hotay hain, woh BA MA paas howay
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain
*
gar ishq kiya hai tab kaya hai, kiyon shaad nahi abaad nahi
jo jaan liyeah bin tal na sakkay, yeah ayeesi bhi aftaad nahi
yeah baat tu tum bhi manoo gai, woh qais nahi farhaad nahi
kaya hijar kar daroo mushkil hai ? kaya visal kay nushkhay yad nahi
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain
*
woh larki achi larki hai, tum naam na loo hum jaan gai
woh jiss kay lambay gaisoo hain, pehchaan gai pehchaan gai
haan sath humaray insha bhi uss ghar mein thai mehman gai
par uss say tu kuch baat na kee, anjaan rahay anjaan gai
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain
*
jo hm say kaho hum kartay hain, kaya insha ko samjhana hai ?
uss larki say bhi keh layain gai, goo ab kuch aur zamana hai
ya choorain ya tukmeel karain, goo ab kuch aur zamana hai
yeh kaisa goorukh dhunda hai, yeah kaisa tana bana hai
yeah battain kaisi battain hain, jo logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee sodaaye hain ? *





Daikh Humaari Deed K Karan
daikh humari deed k karan kaisa qabil-e deed howa
aik sitara baithey baithey tabish main khursheed howa
aaj tu jaani rasta takte, shaam ka chaand padeed howa
tu nay tu inkaar kya tha, dill kab na-ummeed howa
aan k is bemaar ko dekhey, tujh ko bhi toufeeq hoi?
lub per us k naam tha tera, jab bhi dard shadeed howa
haan us nay jhalki dikhlaai, aik hi pal ko dareechey main
jaano ik bijli lehraai, aalam aik shaheed howa
tu nay hum sey kalam bhi chora, arz-e wafa k suntey hi
pehley koun qareeb tha hum sey, ab tu aur baeed howa
duniya k sab karaj chorey, naam pe terey Insha nay
aur isey kya thorey ghum thay? tera ghum mazeed howa *






dard ruswa na tha zamane main
dill ki tanhaiyoo.n main basta tha
harf-e na-gufta tha fasana-e dill
aik din jo unhain khayyal aaya
poch betheyudaas kyu ho tum
bas yoon hi, muskura k main nay kaha
dekhtey dekhtey sar-e mushgaa.n
aik ansoo magar dhalak aaya
ishq norus tha…. khaam kar tha dill
baat kuch bhi na thi magar humdam
abb mohabbat ka wo nahi alam
aap hi aap sochta hon main
dill ko ilzaam dey raha hon main
dard bewaqt ho gaya ruswa
aik ansoo tha, pee lya hota
husn mohtaat ho gaya us din
ishq touqeer kho gaya us din
haayy kyu itna be-qarar tha dill *





Insha Jee Bohat Din Beet Chukay
insha jee bohat deen beet chukay
tum tanha tha, tum tanha hoo
yeah joog bajoog tu theek nahi
yeah roog kissi ka acha ho ?
kabhi poorab mein, kabhi pacham mein
tum purwa ho, tum pachwa hoo?
jo nagri nagri bhatkaye
aya bhi na mun mein kanta ho
kaya aur sabhi choonchal yahaan ?
kaya aik tumhee yahaan dukhiya ho
kaya aik tumhee par dhoop karee
jab sab par sukh ka saya hoo
tum kiss jungal kay phool miyaan
tum kis bagiyaa ka bayla ho ?
tum kis sagar ke lehar bhala
tum kis badal ke barkha ho ?
tum kis ponam ka ujayaara
kis andhee rain ke oosha hoo
tum kin hathoon ke mehandi ho
tum kis mathay ka teeka ho
kiyon shehar taja, kiyon jog liya
kiyon wehshi ho, kiyon ruswa ho
hum jab daikhain behroop naya
hum kaya jannain tum kaya kaya ho ?
jab soraj doobay sanjh bhaye
aur phail raha andhayara ho
kissi saaz ke lay par jhan’an jhan’an
kissi geet ka mukhra jaga hoo
iss taal pay nachain pairoon mein
aik chup chup behtee nadiya hoo
ho charoon koot sughandh basee
jeevan jangal pehna gajra hoo
yeah ambar kay mukh ka anchal ho
iss anchal ka rung ooda ho
ik goot ro’pehlay taroon kee
aur beech sunehra chanda hoo
iss sundar sheetal shaant samay
haan bolo bolo phir kaya ho ?
woh jis ka milna na mumkin
woh mil jaye tu kaisa hoo ?
kiyon aisay sapnay daikhtay hoo
insha jee tum aap bhi sapna ho
ik beetain likhtay shayar hoo
ik geet ugalte beena hoo
yeah battain mein mein woh sochay
jo kaya batlyain kaisa ho ?
woh jiss kay hat mei kismat kee
aik lambee gehree raikha hoo
woh shakhas puranay qisoon kaa
ik mud’mata shehzada hoo
jo shehar ka rasta bhoola ho
aur jungal mein aa nikla hoo
woh raja kaashi nagree ka
woh wali’e bulkh o bukhara ho
kuch uss kay taj pay kalghee ho
kuch uss ka chand sa chehra ho
woh malik mehal ataariyoon ka
woh roppay soonay walla hoo
ya koye anookha gunn walla
woh jiss ka jug mein charcha ho
ya koyee sajeela banjara
jo nagri nagri ghooma hoo
hum nugri nugri ghoomay tu
jab niklay thay awara hoo
woh landon ho, woh paris ho
woh barlun ho, woh roma ho
woh kabul ho, woh lanka ho
woh sahil seen o rayan ho
ya sahit e neel o dajla ho
woh jeen ka daish washaal kaheen
ya pucham dais amrica ho
woh chooti fuji yama kee
ya ulpus ka barpad ooncha ho
woh chattain gulabi laydan ke
ya neela aab janeva ho
din astanbool ke galiyoon mein
ya sab ke sair praha hoo
kuch sourattain theen, kuch mortain theen
kauch aur bhi shaid daikha ho
jahaan nazrain thereen theetki hoon
jahaan dil ka kanta atka hoo
par hum ko tu kuch yaad nahi
kuch khoya ho, kuch paya ho
in batoon mein, in ghatoon mein
sajoog ka koye lamha ho
hum apnay jo khud aap nahee
phir bolo koun humara hoo
youn samjhoo shehar saraye mein
shab bhar kay liyeah koye utra ho
koye pardaisi, koyee saylaani
woh jis ka door thikana ho
shaam aye sawairay koch kiya
jab dhundhla dhundla rasta ho
jab dhartee sooni sooni hoo
jab anbar pheeka pheeka hoo
aik alam tha, kaya alam tha
woh sacha hoo, ya jhoota hoo
hum apnay aap mein doob gaye
khud pathar ban, khud darya hoo
jeevan ghaas ka tinka jungle
jeevan andhi mein koye pata ho
hum kis say kahain, kis toor kahain
koye baat humaree samjha hoo!
hum uss say millain jo apna hoo
hum uss say kahain jo hum sa ho
jab yeah bhi nahi, jab woh bhi nahi
kaya baat banay, kaya rasta hoo
iss zindaan mein koye rozan ho
iss gunbad mein darwaza ho
aye jogi, aye darwaish qavi
kiyon umaar ganwaye ramta ho
kiyn tun pay rakh bhaboot mallay
tu gorakh naat ka cheela hoo
ya porab pucham kuch bhi nahi
yeah joog bajoog bhi dhooka hoo
jo tujh say juda sab maya hai
ya apnay ko gar pana hoo
kiyon aur pay jee ko rujhata hai
yeah peet ke reet tu phanda ho
jo hara jaan say haar gaya
jo jeeta woh bhi ruswa ho
dhooni na rama, basram na kar
bus alakh jaga kar chalta ho
tu apna reh, tu apna ban
tu insha hai, tu insha hoo *






Uss Angan Ka Chand
sham samay aaik oonchi seehriyon walay ghar kay angan mein
chand ko utaray daikha hum nay, chand bhi kaysa ? poora chand
insha jee in chahnay wali, daikhnay wali ankhoon nay
mulkoon mulkon, shehroon shehroon, kaisa kaisa daikha chand
har aik chand ke apni dhuj thi, har aik chand ka apna roop
laykin aisa roshan roshan, hansta battain karta chaand ?
dard ke tees tu uth’ti thee, par itni bhi , bharpor kabhi ?
aaj say pehlay kab utra tha dil mein itna gehra chaand !
hum nay tu kismat kay dar say jab paye andhayaray paye
yeah bhi chand ka sapna ho ga, kaisa chand, kahaan ka chand ?
insha jee duniya waloon mein bay sathi bay doost rahay
jaisay taroon kay jhurmat mein tunha chand, akayla chand
in ka daman iss doulat say khali ka khaali hee raha
warna tha duniya mein kitnay chandi chand aur soona chand
jug kay charoon koot mein ghooma seelani hayraan howa
iss basti kay iss koochay kay iss angan mein aisa chand ?
ankhoon mein bhi chitwan mein bhi chand he chand jhalaktay hain
chand hee teeka, chand hee jhoomar, chehra chand aur matha chand
aik yeh chand nagar ka baasi jiss say door raha sunjoog
warna iss duniya mein sab nay chaha chand aur paya chand
anbar nay dharti par phaikee noor ke cheent udaas udaas
aaj ke shab tu andhi shab th, aaj kidhar say nikla chand ?
insha je yeh aur nagar hai, iss basti ke reet yeahi hai
sab ke apni apni ankhain, sab ka apna apna chand
apnay seenay kay mat’la par jo chamka woh chaand howa
jis nay man kay andhyaaray mein aan kiya uj’yaara, chaand
chanchal muskaati muskaati goori ka mukhra mehtaab
bath jhar kay pairoon mein at’ka peela sa ik patta chand
dukh ka darya skh ka sagar iss kay dam say daikh liyeah
hum ko apnay saath he lay kar dooba aur ubhra chaand
jhuki jhuki palkoon kay neechay numnaaki ka naam na tha!
yeah kanta jo humain chubha hai kaash tujhay bhi chubhta chand
roshniyoon ke peeli kirchain, poorab pacham phail gaieen
tu nay kis shay kay dhookay mein pathar pay day tapka chand
hum nay tu dono ko daikha, dono he bay dard khathoor
dharti walla, anbar walla, pehla chand aur dooja chand
chand kissi ka ho nahi sakta, chand kissi ka hota hai ?
chand ke khatir zid nahi kartay, aye mairay achay insha chand *





Ibn-e-Insha
chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib
puch lena tha kisi khak basar se pehle

ishq pehle bhi kiya hijr ka gam bhi dekha
itne tarpe hain na ghabraye na tarse pehle

ji bahalta hi nahin ab koi saat koi pal
rat dhalti hi nahin char pahar se pehle

ham kisi dar pe na thithak na kahin dastak di
saikaron dar the meri jan tere dar se pehle

chand se ankh mili ji ka ujala jaga
ham ko so bar hui subah sahar se pehle






Ibn-e-Insha
Insha G utho ab kooch karo..
Iss shehr me g ka lagana kya

Wehshi ko sukoon se kya matlab
Jogi ka nagar me thikana kya

Iss dil k darida daman me
Dekho to sahi socho to sahi

Jis jholi me sou chhaid huay
Uss jholi ka phailaana kya

Shab beeti,chaand bhi doob chala
Zanjeer parri darwazy par

Kyun dair gaey ghar aaey ho
Sajni se karo gay bahaana kya

INSHA G utho ab kooch karo
Iss shehr me G ka lagaana kya…






Dil hijr k dard se bojhal hai, ab aan milo to behter ho
Dil hijr k dard se bojhal hai, ab aan milo to behter hai,
Is baat se hum ko kya matlab, yeh kaise ho yeh kyun kar ho?

Ik bheek k donon kaasay hain, ek pyaas k donon pyaase hai,
Hum khaiti hain, tum baadal ho, hum nadiya hain tum saagar ho!

Yeh dil hai k jalte seene mein, ik dard ka phora alhar sa,
Na gupt rahe na phoot bahe, koi marham ho koi nishtar hai,

Hum saanjh samay ki chhaya hain, tum charhti raat k chandar maan
Hum jaate hain, tum aate ho, phir mail ki soorat kyun kar ho!

Ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khaali hai,
Chal basti mein banjaara ban, chal nagri mein saudagar ho,

Jis cheez ki tujh ko nisbat hai, jis cheez ki tujh ko chahat hai,
Woh sona hai woh heera hai, woh maati ho ya kankar ho,

Ab Insha ji ko bulana kya, ab pyar k deep jalana kya
Jab dhoop aur chhaya ek se hon, jab din aur raat barabar ho,

Woh raaten chaand k saath gayin, woh baatein chaand k saath gayin,
Ab sukh k sapne kya dekhein, jab dukh ka sooraj sar par ho…





Jo Meri Aankhon Se
Jo Meri Aankhon Sey Khuwaab Dekho
To Aik Bhi Shaab na soo sako Gaye

Kay Lakh chaho na haans Sako Gaye
Hazar chaho na roo sako gay

Kay khuwaab kya hain, azaab hain yeh
Meray dukhoon ki kitaab hain yah

Rafaqatain een mai choot’ti hain
Mohobatain een mai rooth’ti hain

Ghamoo ki bandish hain khuwaab meray
Dukhoon ki barish hain khuwaab meray

Jo Meri Aankhon Se Khuwaab Dekho
Toh Aik Shaab Bhi Na Soo Sako Gaye





Maa mujhay neend nahi aati !!
Ek muddat se mujhay neend nahi aati hai

Maa! mujhay lori sunao na !!
Sula do na mujhay !!

Ratjageh ab to muqaddar hain meri palkon ke!
Neend aaye to le aati hai Baghdad ki yaad

Aankh lagte he koi beewah uthha deti hai
Pait kitna he bharon bhook nahi mit’ti hai
Jalte Basra ki yaad mujhay jaga deti hai
Koi Qandhaar ki waadi se bulata hai mujhay
Ziker Qandoz ka aaye to mujhay lagta hai ..
Kaat k ser koi hansta hai !!
Jalaata hai mujhey !

Bomb ki awazein mujhay kuch nahi kehti hain mager …
Zakham in bachon ke sonay nahi detay hain mujhay !

Maa meri aankhein to pather ki hoi jati hain !
Noujawan lashain yeh ronay nahi deti hain mujhay !

Mere seenay pe rakho haath
rula do na mujhay !

Maa mujhay lori sunao na !
Sula do na mujhay !

Maa mujhay neend nahi aati hai !
Ek muddat se mujhay neend nahi aati hai..



aaj hamen ye baat samajh mein ayee hai
tum mosam ho, aur mosam harjaee hai

tu ne kese morr pe chor diya mujh ko
dil ki baat chupaon to ruswaii hai

tere baad bacha hi kya hai jevan mein
main hon, bhegi shaam hai, aur tanhaee hai

aaj meri ankhon mein sawan utre ga
aaj bohat din baad teri yaad ayee hai


Yun Hi Chup Ki Mohar Laga Kar Kab Tak Gum Sum Betho Ge
Khamoshi Se Dam Ghut’ta Hai Cheyro Koi Baat WaSi

Aaj tO Us Ka Chehra B Kuch Badla Badla Lagta Hai
Mosam badla Dunya Badli Badal Gaye Halaat WaSi




Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Ker Lia Us Ne
Hmaray Baad B Akhir Guzara Ker Lia Us Ne

Hmara Zikr To Us K Labon Par aa Nahin Sakta
Hamen Ehsas Hy Hum Se Kinara Ker Lia Us Ne




Yeh Kamyabian Izat Yeh Naam Tum Sey Hai
Khuda Ney Jo Bhi Diya Hai Mukaam Tum Sey Hai

Tumharey Dum Sey Hain Mairey Lahu Main Khiltey Gulab
Mairey Wajood Ka Sara Nizaam Tum Sey Hai

Kahan Bisaat Jahan Aur Main Kumsin-o-Nadan
Yeh Mairi Jeet Ka Sara Ehtamaam Tum Sey Hai

Jahan Jahan Hai Mairi Dustumi Sabab Main Houn
Jahan Jahan Hai Maira Ehtaraam Tum Sey Hai




Tub Yaad Tumhari Aatee Hai …
Jab Yunhi Kabhi Baithay Baithay, Kuch Yaad Achanak Aa ja Ay
Her Baat Say Dil Bayzar Sa Ho, Her Cheez Say Dil Ghabra JaAy

Karna Bhi Mujhay Kuch Aur He Ho, Kuch Aur He Mujh Say Ho JaAy
Kuch Aur He Sochoon Mein Dil Mein, Kuch Aur He Hontoon Per Aa Ay

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil Ja Ain, Kuch Betay Lamhay Yaad Aa Ain

Tub Yaad Tumhari Aatee Hai …
Jab Chandni Dil Kay Aangan Mein, Kuch Kehnay Mujh Say Aa jaAy
Ik Khwabedaa Se Chote Koi, Ehsaas Pay Meray Chaa jaAy

Jab Zulf Parayshaan Chehray Per, Kuch Aur Parayshaan Ho JaAy
Kuch Dard Bhi Dil Mein Honay Lagay, Aur Saans Bhi Bojhal Ho jaAy

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil JaAin, Kuch Betay Lamhay Yaad Aa Ain

Tub Yaad Tumhari Aatee Hai
Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay, Manzil Ka Na Koi Naam Milay
Ik Hansta Hua Aaghaz Milay, Ik Rota Hua Anjaam Milay

Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say, Is Dil Ko Koi Paygham Milay
Aur Sari Wafaoon Kay Badlay, Mujh Ko He Koi Ilzaam Milay

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil JaAin, Kuch Beetay Lamhay Yaad AaAin

Tub Yaad Tumhari Aatee Hai



Waqt ki sitam kashi ye bhi baraha dekhi
Jab hua diya roshan sir phiri hawa dekhi

Dosti ka ghairo se ho gaya yaqeen mujhko
Munharif jo mein ne bhi chasm-e-aashna deekhi

Rakh di tu ne murjha ker sab nishat ki kaliyan
Teri ye inayat bhi hum ne e saba dekhi

Jo nazar ke aage hai kya woh nazar ka dhoka hai?
Her baqa ke peeche se humne jhankti fana dekhi

Hum liye wafa aazaar un ke paas pohnche jab
Aashnai ke parde mein,berukhi rava dekhi …!!!!




Kahin Aarzo-e-Safar Nahe, Kahin Manzilon Ko Khabar Nahe
Kahin Raasta He Andher Hai, Kahin Paa Nahe Kahin Par Nahe

Mujhy Izteraab Ki Chaah Thi, Mujhy Be_Kali Ki Talaash Thi
Un he Khwahishaat K Jurm Mein Koi Ghar Nahe, Koi Dar Nahe

Koi Chaand Tootay Ya Dil Jalay Ya Zameen Kahin Say Ubal Parray
Hum Aaseer Surat-e-Haal Hain, Humein Hadsaat Ka Dar Nahe

Aye Hawa-e-Ghum Zara Meray Saath Reh, Meray Saath Chal
Meray Saath Meray Qadam Nahe Meray Saath Meri Nazar Nahe

Ye Umar Bhar Ki Riazatein, Ye Nagar Nagar Ki Musafatein
Ye Rog Hain Mah-o-Saal K, Ye Gardishein Hain Safar Nahe… .




Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya
Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya
Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
Khwab,ibaarat,hawa ki tarah
Chand,boond,shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN




Yehi gar zid tumhari hai
Chalo Hum Bhool Jaatey Hain!
Sabhi Waadey, Sabhi Qasmain
Mohabbat Ki Sabhi Rasmain
Nahi, Manzoor Jo Tum Ko
Karain Ranjoor Jo Tum Ko
Tumhaari Shaad-Maani Hi, Azeez-Az-Jaan Hey Jab To
Tumhain Phir Tokna Kesa?
Zyaan, Sood Ki Baabat, Bhala Phir Sochna Kaesa
Chalo Hum Bhool Jaatey Hain..!
Mohabbat Ki Riyazat Main
Wafaaon Ki Musaafat Main
Qadam Kis Ke Kahaan Behkey, Hui Kis Sey Kahaan Larzish
Basaa Di Jis Ney Ik Pal Main, Humaari Aankhon Main Baarish
Ke Jis Ki Tez Boondon Ney
Kisi Tezaab Ki Soorat
Nishaan-E-Manzil-E-Dil Hi, Jala Dala Mita Dala
Magar Jaanan
Kahaan Aasan Hota Hey?
Jigar Ka Khoon Ashkon Mein, Badalna Aur Bahaa Dena
Khas-O-Khashaak Chun Chun Kar
Gharonda Ik Banana Aur…Ussi Ko Phir Jala Dena
Jawaan Sapnon Ki Laashon Ko
Daroon-E-Jaan Chuhpaa Kar…Muskura Dena
Khizaa’ein Paalna Khud Mein, Bahaar’ein Baant’tey Phirna
Kahaan Aasaan Hota Hey..?
Buhat Mumkin Hey Hum Bhi Haar Hi Jaaein
Jawaan Hey Zabt Jo Ab Tak

Muqaabil Ghum Ke Aaey..Aur Dhaey Jaaey
Aur Iss Mein Bhii Taa’ajub Kiyaa?
Tumhaarey Lout Aaney Ki..Bachi Ho Aas Jo Koi
Nawaaey Be-Zubaan Ban Kar
Sisak Kar Phir Sey Utthey Aur..Tum Tak Bhi Puhanch Jaaey
So Tum Sey Ye Guzaarish Hey
Tab Ik Ehsaan Tum Karna
Palat Kar Dekhna Yuun Sard Nazron Sey
Ke Jo Bhii Aas Zinda Ho..
Ussey Yak-Sar Mita Dena
Humein Pathar Bana Dena !!!




Ajb Ik Shor Sa Bapa Hai Kahin,
Koi Khamosh Ho Gaya Hai Kahin,

Hai Kuch Aisa K Jaise Ye Sab Kuch,
Ab Se Pehle Bhi Ho Chuka Hai Kahin,

Jo Yahan Se Kahin Na Jata Tha,
Wo Yahan Se Chala Gaya Hai Kahin,

Tujh Ko Kiya Ho Gaya K Chezon Ko ,
Kahin Rakhta Hai Dhondhta Hai Kahin,

Tu Mujhe Dhondh Main Tujhe Dhondhon,
Koi Hum Main Se Reh Gaya Hai Kahin,




“Ek Baar Kaho Tum Meri Ho”
Hum ghoom chuke basti ban main
ik aas ki phans leye man main
koi sajan ho, koi piyara ho
koi depak ho, koi tara ho
jab jewan raat undhairi ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho
jab sawan badal chaay hoon
jab phagan phool khilaay hoon
jab chanda roop lutata ho
jab soraj dhoop nahata ho
ya shaam nay basti ghairi ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho
haan dill ka daman phaila hay
kyu gori ka dill maila hay
hum kab tak peet k dhoke main
tum kab tak door jharoke main
kab deed sey dill ko sairi ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho
kiya jhagra sood khasare ka
ye kaaj nahi banjaare ka
sab sona roopa lay jaay
sab duniya, duniya lay jaay
tum aik mujhe bohteri ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...