Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, May 28, 2011

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata


~~^~~~Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata~~~^~~
~~^~~~kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata~~~^~~

~~^~~~yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai~~~^~~
~~^~~~jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata~~~^~~

~~^~~~who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi~~~~^~~
~^~to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata~^~

~^~~bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain~~^~
~^~~~hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata~~~^~

~^~~kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain~~^~
~^~~tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata~~^~

~^~~~bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein~~~^~
~^~~~~mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata~~~~^~

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...