Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, May 31, 2013

Mere aangan min aao

Mere aangan min aao.
Toot'te patte to dekho.
Meri sab khirkiyon par hijar ka kuhar jama he.
Mere darwazon k bazu.
Tumhare loatne ki chah min shal ho gaye hen.
Mere ghar k charagon ki har ik lou.
Dard min doobi hoi he.
Wo dekho thar-tharahat ben karne lagi he.
Mere takiye pe thehri dhool dekho.
Mere bistar ki chahdar be shikan gum sum pari he.
Wo aatishdan dekho kis qadar soona rakha he.
Wo dekho rat ka khana para he.
Ye dekho chae thandi ho sakti he.
Tumhare khat, kitaben, card, tohfe.
Mujhe milne ki khwahish min
 mere charon taraf bikhre hoe hen.
Wo ik tasweer mere samne gum sum pari he.
Wo ik kone min hasrat thak gai he, so gai he.
Ye barhti shave, ye gadle sleeper.
Mere balon min furqat jam gai he.
Mere honton se chup lapti hoi he.
Tumhare lams ki hiddat nhi to.
Mere poron min sardi tham gai he.
Tumhara hijar had se barh chuka he.
Mujhe tanhai chubhne lag gai he.
Min thak kar tootne wala hoa hon.
Min khud se rabte na tor bethon.
Kahin min hosla na chor bethon.
Kahin min hosla na ...



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...