Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, May 31, 2013

Falak par jis traf dekhon

Falak par jis traf dekhon.
Andhera hi andhera he.
Sitare kis liye roothe.

Nhi he chaand bhi roshan.
Idhar ye chandni bhi to.
Kisi masum bache ki trah.

Naraz lagti he.
Zamin zinda salamat he.
Magr kala kafan pehne.

Musalsal so rhi he kiyon?
Mujhe to lagta he.
Falak se chaand taron ne na dekha ho.

Barasti ankh ka manzar.
Wo bheegi rat ka manzar.
K jese.

Koi kashti dubti ho beech darya min.
K jese koi sahil.
Door itna door ho.

Ankhon se ojhal ho.
K jese ik musafir.
Rasta apna bhatak jae.

Mujhe to lagta he.
Falak se chaand taron ne.
Ye manzar dekh rakha he.

Akeli rat ka manzar.
Wo bheegi rat ka manzar.
Barasti ankh ka manzar.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...