Agar kabhi meri yad aye.
To chaand raton ki dilgeer roshni min.
Kisi sitare ko dekh lena.
Agar wo nakhal-e-falak se urh kar.
Tumhare qadmon min a gire.
To ye jan lena.
Wo ista’ara tha mere dil ka.
Agar na aye……?
Magar ye mumkin hi kis trah he
k tum kisi par nigah dalo.
To us ki diwar-e-jan na toote.
Wo apni hasti na bhool jaye.
Agar kabhi meri yad aye.
Gurez karti hawa ki lehron pe hath rakhna.
Min khushbuon min tumhen milon ga.
Mujhe gulab ki patiyon min talash karna.
Min aus qatra k ayine min tumhen milon ga.
Agar sitaron min, aus, khushbhuon min.
Na pao mujh ko.
To apne qadmon min dekh lena.
Min gird hoti musafaton min tumhen milon ga.
Kahin p roshan chiragh dekho to jan lena.
K har patange k sath min bhi sulag chuka hon.
Tum apne hathon se'
in patangon ki khak darya min dal dena.
Min khak ban kar samandr min safar karon ga.
Kisi na dekhe hoe jazire par ruk k.
Tumhen sadaen don ga.
Samandron k safar pe niklo.
To is jazire pe kabhi utarna.
No comments:
Post a Comment