Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, February 23, 2012

Kehte hain tujhse log masiha magar yahan

Hum aa k tere sheher se wapas na jayen gay.
Ye faisala kya hai tujhe dekhne k baad.

Kehte hain tujhse log masiha magar yahan.
Ek shakhs mar gaya hai tujhe dekhne k baad.

Sajdah karon k naqsh-e-qadam chumti rahoon.
Ghar Kaba ban gaya hai tujhe dekhne k baad.

Sajdah karon gi tujhko to kafir kahen gay log.
Ye kon sochta hai tujhe dekhne k baad.

Rehti hai khoi khoi si har waqt ab "Hina"
Ye haal ho gaya hai tujhe dekhne k baad.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...