Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, February 23, 2012

Kon kehta hai mulaqat meri aaj ki hai

Kesa maftooh sa manzar hai kai sadion say,
Mere qadmon pe mera sar hai kai sadion say,

Khof rehta hai k sailaab na lay jaye kahee'n,
Mere palko'n pe tera ghar hai kai sadion say,

Us k pani mein b pehlay sa woh thehrao nahi,
Ye jo bechain samander hai kai sadion say,

Ashk aankhon mein sulgtay howe so jatay hain,
Yeh meri aankh jo banjar hai kai sadion say,

Kon kehta hai mulaqat meri aaj ki hai,
Tu meri rooh k ander hai kai sadion say,

Yeh mujhe sans bhi khul ke nahi lenay daita,
Meri sheh rag pe jo khanjar hai kai sadion say,

Mein ne jiss k liye her shakhs ko naraz kiya,
Rotth jaye na yahi darr hai kai sadio'n say,

Uss ki aadat hai jarhain kaatthe rehnay ki WASI,
Jo meri zaat ka mehwar hai kai sadion say..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...