Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, June 1, 2013

Wo sar se paon talak.

Wo sar se paon talak.

Dhanak, dhoop, chaandni he.

Dhule dhule mosamon ki besakhta.

Ghazal bakht shairy he.

(Mere hunar k sabhi asason se qeemti he.

Wo mujh min ghul mil gayi he lekin.

Abhi talak mujh se ajnabi he.

Kisi adhuri ghari min jab jab.

Wo beirada mohabbaton k bhed kholti he.

To dil ye kehta he.

Jis ki khatir wo apni sansen.

Wafa ki sooli pe tolti he.

Wo asman zada, kehkshan bakht.

Jo us ki chahat ka aasra he.

Wo “min” nhi hon.

Koi to he jo mere siwa he.

Wo shehar bhar k tamam chehron se hat k.

Ik aur meharban he.

Jo us ki khwahish ka asman he.

(Kise khabar, kon he kahan he?)

magr mujhe kia.

K min zamin hon.

Wo jis ki chahat min 
apni sansen luta rahi he.

Wo min nhi hon.

Wo ankhon ankhon min bolti he.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...